iss safar pe hum tannha kyun, na jaane nikle

shor hai shahar mein deewano ka,
sanam aaj phir nazar se katil ban nikle.

hume hukm tha ki unki gali se na guzrein,
hum bhi sar pe kafan baandh ke nikle.

suna hai unko bhi hai shayri se lagaav,
to hum bhi apna hunar aazmaane nikle.

yun to aadatan khamosh rahte hain,
kuch mehfil magar hum bhi jamane nikle.

saath unka, haantho ki chhuan, shokh nazar,
aaj yaadon ke kaafile mujhko sataane nikle.

dard iss dil mein kuch jada hai,
mumkin hai asar meri duaon mein nikle.

har shaks mohabbat ka zahar pee gaya,
ek besabar hum hi iss daur mein nikle.

andaaza hua tab iss shahar ke jalne ka,
jab apne ghar ki aag bujhaane nikle,

jis shaqs ke lafzon ne ghayal rakha tha,
wahi to chingar-e-zakhm-e-dil nikle.

hum to paak hi the ishq ki raahon pe sada,
shikwe itne kahaan se phir na jaane nikle.

ghar na aayegi chingaari yakin tha magar,
hawa ke mujhse kuch ranj puraane nikle.

jab log yahaan mohaabbt ke liye mit-te the,
bahot arsha hua hai woh zamaane nikle.

ek muddat se na bahe the magar ashk,
aaj seene ke kuch dard bahaane nikle.

inn raahon pe fanaa ho gaye taare kayi,
iss safar pe hum tannha kyun, na jaane nikle.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts