hidaayatein na mujhe deejiye to acha hai,
jo deni hai woh saza deejiye to acha hai.
meri wafa ka bharam tordna to aasan hai,
bhula ke mujh ko zara dekhiye to acha hai.
woh ja chuke mere sheher se hua arsa,
na uski jaane ki rut pucheye to acha hai.
har ek kadam pe zamaane mein dukh hi milte hain,
talaash kar ke khushi laiye to acha hai.
jo mujh ko dete hain elzaam bewafai ka,
unhein bhi aayena dekhlaiye to acha hai.
ye bekarar-e-dil hi hai zindagi ka,
na isse ghabraeye to acha hai.

No comments:
Post a Comment