tu mujhe yaad karti hai wo hi bahut hai

tu mujhse shikyate kar ya mujhse mohabbat kar,
bas tu mujhe yaad karti hai wo hi bahut hai,

tujhse mil hi leta hoon tu chahe ya na chahe,
tu darwaza khula rakh soti hai wo hi bahut hai

tu muje bhula de ya muje rakh harpal yaad tu,
bas mera naam yaad rakhti he wo hi bahut hai,

jo pina hi hai zehar to ye mouka mujhe de monika,
mujhe zehar pine ki aadat yun hi bahut hai.


maut bhi naa de payegi mujhko sakun

takdeer mein ho andhere to,
ujaalo ki umeed kaise kare,
nakaamiyo se ho naata jurda to,
shoharato ki raah kaise tikein.

thokerein hi ho naseeb mein to,
aashiyaano ki guhar kaise kare,

pyaar ka pyasa ye dil,
sehta hai sab unke fareib,
phir bhi chahata hai ussi ko,
kaisa hai ye dil mazboor.

naa milega sakun tujhko kahi,
darta hoon mein ke,
maut bhi naa de payegi mujhko sakun

kuch aise bhi shaks hain

bekhof muskurate hain,
gulab, kanton ke saye mein.
kuch aise bhi shaks hain,
jinhen phoolon se shikayat hai.

kuch log auron ke liye hi paida hote hain

duniya mein kuch log auron ke liye hi paida hote hain,
barbaad hokar bhi apni ye aadat sanjoye hote hain,

naffe aur nuksaan ka gainit unhein nahi aata,
auron ki khushi mein khud ko khoj rahe hote hain.

tum chaho to kya nahi kar sakte

tum chaho to mujhe apne keshuon mein chupa sakte ho,
tum chaho to mujhe apne dil ki har baat bata sakte ho,

tum chaho to mujhe sahra se nikal sakte ho,
tum chaho to mujhe saiban day sakte ho

tum chaho to mujhe tardpte dhoop se bacha sakte ho,
tum chaho to mujhe apne wajood mein chup sakte ho,

tum chaho to andheri raat ki chadar bana sakte ho,
tum chaho to ek diya roshni ka jala saklte ho,

tumhein malom hai ki yah zindagi kuch dino ki hai,
tum chaho to isse hans kar guzar sakte ho,

tum chaho to mujhe apne zindagi bana sakte ho,
tum chaho to mujhe apnaye dil ki har baat bata sakte ho.

tum chaho to kya nahi kar sakte,
tum chaho to sab kuch kar sakte ho.

tujh bin jiya jaaye naa

teri hi baatein hain,
teri hi yaadein hain,
tujh bin jiya jaaye naa,

teri judai se bahut tanhai hai,
door ho ker kaise jiyun main bata.

aaja ‘o’ harjayi,
chain maine khoya hai,
dil khamosh roya hai,

tujh bin main tardpu yaha,
bheegi si palko se,
armaan tutate hain,

aaja tu to hai meri jaan,
hum aahein bharte hain.

kuch dino tak juda hum rahenge

abhi kuch dino tak, juda hum rahenge,
abhi kuch dino tak, khafa hum rahenge,

abhi kuch dino tak, kisi baat pe bhi,
hum aankhon ko apni kiya nam karenge,

abhi kuch dino tak, andheron mein baithe,
tumhare khayalon mein khoya karenge,

abhi kuch dino tak, hum aankhon ke dar pe,
ashkon ke moti sajate rahenge,

abhi kuch dino tak, mohabbat ke maare,
raaton ko uth uth ke roya karenge,

abhi manzilon ke safar pe akele,
hum kadmon ko tannha bardate rahenge,

pyar aur intezaar jo tumse kiye hai,
tamam umar unko nibhate rahenge,

abhi kuch dino tak, juda hum rahenge,
abhi kuch dino tak, juda hum rahenge.


hidaayatein na mujhe deejiye to acha hai

hidaayatein na mujhe deejiye to acha hai,
jo deni hai woh saza deejiye to acha hai.

meri wafa ka bharam tordna to aasan hai,
bhula ke mujh ko zara dekhiye to acha hai.

woh ja chuke mere sheher se hua arsa,
na uski jaane ki rut pucheye to acha hai.

har ek kadam pe zamaane mein dukh hi milte hain,
talaash kar ke khushi laiye to acha hai.

jo mujh ko dete hain elzaam bewafai ka,
unhein bhi aayena dekhlaiye to acha hai.

ye bekarar-e-dil hi hai zindagi ka,
na isse ghabraeye to acha hai.

tujhe jara afsos na hua mujhe barbad kar ke

aaj phir bahut ro liya unhein yaad kar ke,
kabhi kerwate badal ke, 
kabhi takiya sirhane rakh ke,

mile jo dard mein, sanjo rakhein humne,
kyu bewajha roye teri tasweer dekeh ke,

teri dosti kamaal, teri judaai be jawaab,
sange dil tujhe kya mila mujhe barbad kar ke,

dard ke lamhon mein rona to aata hi hai,
tujhe jara afsos na hua mujhe barbad kar ke?


even though we are miles apart, I feel as if your here

sometime ago,
when I signed onto the net.
a sweet girl said hello,
that’s when it all began.

we talked for hours,
constantly nonstop.
never had much to say,
but we could never stop.

and from that day on,
my heart began to race.
the feeling got to be even more,
when you let me see your face.

and then you asked me,
if you could give me a call.
right then I knew,
I was beginning to fall.

you gave me your number,
and I gave you mine.
and I hoped forever,
you would always be mine.

and now here we are,
so much time already passed.
still in contact with each other,
and I know it’s going to last.

never in my wildest dreams,
did I think it would be this way.
that I would fall so deep in love,
with someone so far away!!!!!!!

even though we are miles apart,
I feel as if your here.
all I do is close my eyes,
and I see your face so clear.

woh hain jo humse khafa khafa rahte hain

dil hai to dard hona hi chaiye,
ishq hai to asar hona hi chaiye,
ki woh to ishq ki ebadat ka sila hai,
husan hai to befikar hona hi chaiye. 

ke unko aashiqi ka ilzaam nahi dena hai,
mohabbat ka koi hasi paigam nahi dena hai,
woh chahat hi kya jo dil mein kashis paida na kare,
ki unko sacchi mohabbat ka kya enaam nahi dena hai. 

mere yeh asqh teri kahani kahte hain,
jo malik hai dil ke woh door dil se rahte hain,
hum to unki yaadon mein ashq bahai chale jaate hain,
aur woh hain jo humse khafa khafa rahte hain.

iss safar pe hum tannha kyun, na jaane nikle

shor hai shahar mein deewano ka,
sanam aaj phir nazar se katil ban nikle.

hume hukm tha ki unki gali se na guzrein,
hum bhi sar pe kafan baandh ke nikle.

suna hai unko bhi hai shayri se lagaav,
to hum bhi apna hunar aazmaane nikle.

yun to aadatan khamosh rahte hain,
kuch mehfil magar hum bhi jamane nikle.

saath unka, haantho ki chhuan, shokh nazar,
aaj yaadon ke kaafile mujhko sataane nikle.

dard iss dil mein kuch jada hai,
mumkin hai asar meri duaon mein nikle.

har shaks mohabbat ka zahar pee gaya,
ek besabar hum hi iss daur mein nikle.

andaaza hua tab iss shahar ke jalne ka,
jab apne ghar ki aag bujhaane nikle,

jis shaqs ke lafzon ne ghayal rakha tha,
wahi to chingar-e-zakhm-e-dil nikle.

hum to paak hi the ishq ki raahon pe sada,
shikwe itne kahaan se phir na jaane nikle.

ghar na aayegi chingaari yakin tha magar,
hawa ke mujhse kuch ranj puraane nikle.

jab log yahaan mohaabbt ke liye mit-te the,
bahot arsha hua hai woh zamaane nikle.

ek muddat se na bahe the magar ashk,
aaj seene ke kuch dard bahaane nikle.

inn raahon pe fanaa ho gaye taare kayi,
iss safar pe hum tannha kyun, na jaane nikle.

tujhse milne ki khushi mein yeh haal hai mera

kismat pe naaz karun ya rab ka shukr manaun,
iss udaas zindagi mein jo phir tujhe ek baar paaun.

tujhse milne ki khushi mein yeh haal hai mera,
ruh ke pairyon ko teri yaadon se mehkaaun.

jab se tune vaada kiya hai milne ka,
veeraan ghar ko bahaar ke phulon se sajaun.

dil jo har waqt rota tha apni bebasi mein,
sehme, zakhmi dil pe wafa ke marham lagaun.

aaj dil ne bhi mahsus kiya hai jaane tamanna,
tere naam ke aage se bewafaai ka daag mitaaun.

ummeed ki ek chingari jo bhej di hai tune,
kyon na iss andhiyare dil pe main bhi ek deep jalaaun.

kaafi hai itna intezaar raaj,  bas thoda aur sahi,
unki aankhon se bhi piyenge abhi ashqon se hi dil bahlaaun. 

yaad unki aayi to gunaah kar baithein

yaad unki aayi to gunaah kar baithein,
phir haste haste palkein nam kar 
baithein,
yaad ka saaya jo lehraya to tardap 
baithein,
phir se mehfil mein khud ko akela kar 
baithein.

ya khuda yeh dil kyu banaya tune,
phir iss dil ke haathon majboor ho 
baithein,
haal-e-dil kya bataye hum kisi ko,
khud ko duniya se chahat mein hum alag kar
baithein.

iss masoon dil ki nadaani koi dekhe zara,
iski dhardkano pe kisi ko dil hum de baithe,
mohabbat ka sitam to dekhiye zara,
har lamhe ko kisi ki yaad mein kaid kar 
baithein,

jaante hain bardi mushkil hai raah mohabbat ki,
phir bhi is safar ki kisi ke liye shuruat kar baithe,
ab aur kya bataye hum dil ka haal bas yeh jaan lijiye,
ab to uski raah ke sab kaante hum apne naam kar 
baithein.

saath tanhaiyon ka pakda diya

mujhe chahat ki pyaas thi unki,
unhone dard ka samandar pila diya,

haath khali na rahe mera isliye,
saath tanhaiyon ka pakda diya.

mita hua to kuch likha hua,
khat woh pakda gayi,

keh gayi ki bhula dena mujhe tum bhi,
par har arsa woh mujhe yaad aati gayi,

aye mere khuda.. kaisi woh khudgarz nikali,
khud bhi tannha rahi aur mujhe bhi rula gayi,

kehti hai ki woh bhul chuki hai sab kuch,
phir bhi uske dil mein ab tak pyaar mera hi hai basa hua,

kaisi yeh reet.. kaisi yeh chot hai aye khuda,
meri jism aur meri jaan hai mujhse juda,

khila khila hai manjar charo taraf mere,
par deep dil ka mere hai bhuja hua..

ajeeb apni yeh zindagi hai

ajeeb apni yeh zindagi hai,
sameto jitna bikhar rahi hai,

hum ek pal ko bhi jee na paye,
yeh lamha lamha guzar rahi hai.

ajeeb apni yeh zindagi hai,
mohabbaton ko samjh na paye,

haseen rishte nahi nibhayein,
hain khawaisho ke hi piche bhage,
hasraton ko galle lagayein,

yeh aaj aakhon mein jo nami hai,
yeh apne khawabon ki bebasi hai,
ajeeb apni yeh zindagi hai.

na jaane kyon tumse itna pyar karte the hum

na jaane kyon tumse itna pyar karte the hum,
zindagi tujhi se suru hoti thi aur tujhi pe khatam,

ek din aankh khuli aur toot gaya sapna,
humne dekha tum the geyro ki bahon mein sanam,
aur kahi dooorr sirf tannha khade the hum,

ab ek ek pal jeete hain aur marte hain hum,
ek jara si khusi ko taraste hain hum.

jante hain tum kabhi nahi aaogi

jante hain tum bhula chuke ho par
humein bhi yaad karne ki shayad addat si ho gayi hai,

ha pathar ki murat ho tum par
humein bhi pathar pe sar patkne ki shayad addat si ho gayi hai,

ab kisi chot par aah nahi nikalti,
har sitam sehne ki shayad aadat si ho gayi hai,

nahi thamte laakh kehne par bi aanshu,
inhein bina baat behne ki shayad aadat si ho gayi hai,

jante hain veeran rahega yeh aashian humara par
par humein bhi tinke sametne ki shayad aadat si ho gayi hai,

jante hain tum kabhi nahi aaogi
par humein bhi raah dekhne ki shayad aadat si ho gayi hai.

mano mohabbat nahi ehasaan kiya hai

iss tarah sataya hai pareshaan kiya hai,
mano ki mohabbat nahi, ehasaan kiya hai,

socha tha ki tum dusaron jaise nahi hogi,
tum ne bhi wahi kaam meri jaan kiya hai,

mushkil tha bahut mere liye rishta tordna,
ye kaam bhi tum ne mera aasaan kiya hai,

har roz sajaate hain teri judaai mein phool,
aankhoon ko teri yaad mein viraan kiya hai.

mujhe tum apna bana lo

rang khwaishon ke kitne roz hai bante,
gham-e-judai mein hum har pal hai jalte,
in andheron mein ujalo ke nishan bana do,
bohat kiya intezaar ki mujhe tum apna bana lo,
haan mujhe tum apna bana lo….

jayein kahan ki hosh mein kahan rehte hain,
sitam-e-zamana kaise ro ro ke hum sehte hain,
har dard-e-mohabbat se hume nizat dila do,
bahot kiya inkkar ki mujhe tum apna bana lo,
haan sanam mujhe tum apna bana lo….

khwaab-o-khayalon mein khoye zamana beeta,
tujh bin marta hoon, main nahi ek pal bhi jeeta,
band ho chuki saansen apne, deedar se chala do,
bahot jiya sansar... ki mujhe tum apna bana lo,
haan mujhe tum apna bana lo….

loote musafir sa teri rah mein khada hoon,
poori na hone wali ek chaah mein pada hoon,
nibha ke sath mera, yeh saccha pyar bana do,
bahot beete malhar ki mujhe tum apna bana lo,
haan tum mujhe apna bana lo….

hum teri sunne ko kitne baras ab tarse,
ashq na jane kitne meri aankhon se barse,
dariya-e-ishq mein khila mujhe ek kamal bana do,
bahot kiya izhar ki mujhe tum apna bana lo,
haan mujhe tum apna bana lo...! 

tere zikar bina har baat hai tanha

tere bin mere jazbaat hai tanha,
kitni yeh jawaan raat hai tanha,

kis se karoon bayaan jazbaaton ko,
lab par aate khayalaat hai tanha,

tum de gaye the apni ek nishaani,
uss muskaan ki sougaat hai tanha,

hai saji haseen sitaaron ki mehfil,
chand se apni mulakaat hai tanha,

bas gaye ho yun mere lafzon mein,
tere zikar bina har baat hai tanha,

dhoondhe tujh ko nazrein gali gali,
behte ashkon ki barsaat hai tanha,

bulaati hai paas tujhe yaadein meri,
wo mohabbat ke lamhein hai tanha.


All Time's Favourite Posts