tuta hua khwaab hoon main mujhe bhool jana tum

dard bhara nagma hoon mujhe na gungunana tum,
tuta hua khwaab hoon main mujhe bhool jana tum,

dard ki manind mujhe dil mein chhupa lena tum,
aanshuon ki tarha mujhe aankh se na bahana tum,

yeh zakham mere paas tere pyar ki nishani hai,
bhool kar bhi in par na marham lagana tum,

jab kabhi tum tannha ho aur meri yaad statyi ho,
bewaffa hoon main yahi apne dil ko samjhana tum,

mera kya hai ek roz jahan se ruksat ho jaounga,
mere baad na aankhon se moti bahana tum,

tere bina jinda laash hoon, mujhe koi ehsaas nahi,
chhukar mere jism ko koi nayi aas na jagana tum,

jo khushi sapne aur umeedein di thi tum ne,
kasam tumhe unki unko bhi saath lejana tum,

tere ghar ke deepak mein jal raha hai mera wajood,
bhool ke bhi na samjhna mujhe begana tum,

raaj ek kanto bhare gulaab ke siva kuch bhi nahi
usse bhool kar bhi seene se na lagana tum.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts