ek khwahish hai

ek khwahish hai, jhalak mil jaye us chehre ki,
ki is deedaar ke baad koi tamanna na rahe,

ek khwahish hai, us dil tak pohoche yeh sadaayein,
ki do dilon ki dhardkano mein koi doori na rahe,

ek khwahish hai, rishta juyd jaye us naam se,
ki phir juda rehne ki koi majboori na rahe,

ek khwahish hai, woh pyar mile unse,
ki is dil ki koi aur aarzoo na rahe,

ek khwahish hai, woh haath thaam le is tarah,
ki phir is dil ki koi kamzori na rahe,

ek khwahish hai, tanhai mein uska saath mile,
ki phir kisi mehfil ki zaroorat na rahe,

ek khwahish hai, maut aa jaye unki baahon mein,
ki phir zindagi se koi shikayat na rahe.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts