us raat main so naa paaya

us raat tum to so gayi par main naa so paaya,
tumhe raat bhar sote huye dekhta raha,

dekhta raha ki tum neend mein
kitni baar muskuraati ho,

dekhta raha ki paseene ki
jhunjhulaahat mein kitna chatpataati ho,

aahista-aahista leta tha saansein
khalal naa pard jaaye tumhare khwaabon mein,

kyonki jaanta hoon ki halki awaaz se bhi
tum aksar jaag jaati ho,

us raat main so naa paaya,
pehron tumhe dekhte jo rehna tha,

yeh mauka main kho naa paaya,
kayi baar chaaha ki tumhe chhu kar dekhoon,

kayi baar haath bardhaaya par tumhe chhu naa paya,
tumhaare uthte-girte se badan par,
main tumhaari saansein ginta raha,

tumne to anjaane mein hi sahi,
haath rakh diya mere seene par,

lekin main chaahkar bhi,
tumhaari dhardkane naa sun paaya,

raatbhar tumhaari saansien,
mere jism se takraati rahi,

raat bhar tumhari yeh nazdikiyaan,
lekin ek doori ka ehsaas karwaati rahi,

kitni hi baar tumhara woh dupatta bhi,
tumhare badan se sarak jaata tha,

khidaki se jhaankta woh chaand bhi shaayad
meri haalat pe taras khaata tha,

main kabhi moond leta palkein
or kabhi woh baadlon mein chhup jaata tha,

aaj jab bhi main tumhare kareeb aata hoon,
tumhe kuch simta or sakuchaya sa paata hoon,

kyon bhool jaati ho ke tum jaan ho iss raaj ki,
tumhaari nazdikiyon mein,
main aksar paap rahit ho jaata hoon.


No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts