hamara pyar bhi ek din amar prem kehlayega

ek pyar hai mera jo mera suroor hai,
nashe mein uske yeh shayar aaj choor hai.

kahani na kehna isse dastaan mein likhna chahata hoon,
lage hain mele khushion ke to ghum aaj door hai.

ek pyar hai mera jo mera suroor hai,
aankhein jiski shabnami dil thoda masoom jaroor hai,

nahi samajhta iss be-dard duniya ko,
uske liye to yahan harr koi huzoor hai.
na samajh sahi par pyar hai mera jo mera suroor hai.

chahata hoon usse main kitna,
yeh khud pata lagana numumkin hai.
chand sa chamakta uska chehra,
to khawabon se bhara uska jehan
 hai.

tim-ti-mati chandani mein,
thandi hawa se uska lehrata aanchal,
saath hoti hai jab woh mere,
to hota mujhe bhi guroor hai.

haan chahana kisi ko koi gunha nahi,
ek pyar hai mera jo mera suroor hai.

maut bhi na kar payegi kabhi judaa humein,
dekhna dhoondke milayegi harr raah humein,

koi to hamari chahat ki bhi kabr ko sajayega,
kehlayegi yeh dastaan bhi sacchi aashiqui ki,
hamara pyar bhi ek din amar prem kehlayega.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts