banke saanwali saloni dulhan meri, tum meri zindagi mein chali aana

banke saanwali saloni dulhan meri,
tum meri zindagi mein chali aana,
karna nigahon se waar mujhpe,
aur mere dil ki rag rag mein bas jaana.

na reh paunga main tujh binn ab,
ab bas tum hi ho meri jaan-e-jaana,
banke saanwali saloni dulhan meri,
tum meri zindagi mein chali aana.

na jaane kya hota khushi or kya gum hai,
jab se dekha hai tumhein,
dil bhi kehta bas tum or hum hain.

na ginta main ab gali,
bhool gaya ab sara gharaana.
bas yaad hai to teri mehek,
aur tera woh payaal chankana.

banke saanwali saloni dulhan meri,
tum meri zindagi mein chali aana.

karna shringaar kuch adaaon ke,
phook dena kuch saansein inn bejaan fizaon mein,
raat nahi to din kya hai,
tum bas meri shaam mein guzar jaana.

hoga jab dil yeh bechain mera,
tum apne pyar ke geet gungunana,
banke saanwali saloni dulhan meri,
tum meri zindagi mein chali aana.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts