woh main nahi to kaun hai

le kar gaya dil jo tera, woh main nahi to kaun hai,
phir yaad kar kuch to bata, woh main nahi to 
kaun hai?

peecha kare har pal tera, chedha kare khawaabon mein bhi,
tujh ko sataye jo sada, woh main nahi to 
kaun hai?

kajra bana mera, gazra bana mera, kangan bana mera, payal bana mera,
kya kya bana tere liye woh, main nahi to 
kaun hai?

neendein churayi, magar hone na di tujhko khabar,
dil main tere aakar basa, woh main nahi to 
kaun hai?

shayar kahe duniya jise woh hai  jaan-e-jaana,
jis par huye tum bhi fida, sanam woh main to 
kaun hai?

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts