jahan dekhta hu tu hi nazar aati hai

jahan dekhta hu tu hi nazar aati hai,
teri tasveer se sara sansar nazar aata hai,

yeh kis duniya mein tum lekar aaye ho mujhe,
khushiyo se har geet bahar nazar aata hai,

tere payar ne jo kuch mujhe diya hai,
saat janam sath rahega, itna kuch mujhe diya hai,

aaj tum ho mere liye zindagi se bardkar,
pehli baar uppar wale ne kuch saugat mein diya hai,

tord kar saare bandhan tere bandhan me bandhuga,
aaj tere dil ne yeh paiygam mujhe diya hai,

mujhe bharosa nahi iss du-mohiya duniya pe,
parr uss waade par bhi bharosa hai,
jo tumne mujh se kiya hai.

this is the time when I should say

beautiful stars in the sky and the flowers light blue,
its a dream world, just me and you.

birds are flying high in the sky,
you are smiling, but a bit shy.

clouds had covered the shining moon,
I believe there will b a shower very soon.

this is the time when I should say,
that I love you every second of every day.

how much I love you, you can find in my eyes,
it is as deep as the oceans, and as high as the skies.

ek khoobsurat sapna hoon main

patthar ko jo pighla de
woh parwana hoon main,
haan tune theek suna hai
tera deewana hoon main,

ghumon ko jo bhula de
woh dawai hoon main,
bas ek milne ka ehsaas
na ki lambi judaai hoon main,

dil-walon ke labon pe likha
ek khoobsurat afsana hoon main,
koi shikwa nahi mujhe kisi se
mijaaz aashikana hoon main,

rone wale ko jo hansa de
ek aisa shaayar hoon main,
thanda chaand sitara nahi
tappta angara hoon main,

jagah jo har dil mein bana le
aapka apna raaj hoon main,
tanhaai ki aanhein nahi
mehfilon ka taraana hoon main,

koi nahi jaanta pehchaanta mujhe
na hi kissi ka paraya hoon main,
mujhe duniya walon haqikat na samajhna,
ekkiswin sadi ka bas ek khoobsurat sapna hoon main.

aa khud mein aaj chupa loon tujhko

bahon mein bhar kar sula doon tujhko,
aa khud mein aaj chupa loon tujhko,

bhari duniya mein mujh sa na milega koi,
aa aisa ek ahsaas, dila doon tujhko,

nind bhari ankhon se jab bhi dekho,
sirf dekhna chaho mujhko,
aa itna pyar karna sikha doon tujhko.

mujh pear subah, mujh pear hi teri sham ho,
aa itna apna deewana bana doon tujhko,

bahon mein bhar kar sula doon tujhko,
aa khud mein aaj chupa loon tujhko. 

banda majboor hai mohabbat mein teri

mohabbat ka dawa karate hain duniya wale,
wafa ka daman thamate hain bahot kum dilwale.

hum nahi jatate ki mohabbat hai tumse,
tum hi jaan lo kya kehna hai dil ko dil se.

hum bhi rah-e-mohabbat mein jaan lutayenge,
jab tak hai zinda, tera naam dil se na mitayenge.

ashkon se mere chalakata hai wafa ka samandar,
har lehar uthati hai tujhe pane ka arman lekar.

banda majboor hai mohabbat mein teri,
varna jhukana nahi fidarat mein meri. 

jab se woh aayi hai meri zindagi mein

kuch sujh nahi raha tha, 
bechain sa dil tha mera,
par dil ne chain paya,
jab se woh aayi hai meri zindagi mein.

lamhe bitata tha main yun tanha akele yaha, 
usko hi sath pata hoon,jab se woh aayi hai meri zindagi mein.

uske bina ab main akele reh nahi pata yaha,
khud se baatein karta hoo,
jab se woh aayi hai meri zindagi mein.

yun sochta na tha hamesha kisike liye main,
ab main sochne laga hoon,
jab se woh aayi hai meri zindagi mein.

ankhon ko pehle adat na thi kisiko dekhne ki,
bandh ankhon se usse dekhta hoon,
jab se woh aayi hai meri zindagi mein.

main ek raahi tha pehle bina mazil ka yaha,
khud ko mazil ke sath pata hoon,
jab se woh aayi hai meri zindagi mein.

koi mayine nahi rakhta tha pyar mere liye pehle,
pyar ki ehmiyat ab janta hoon,
jab se woh aayi hai meri zindagi mein.

apne aap mein hi khoya rehta tha main pehle,
khud ko uske bin tannha pata hoon,
jab se woh aayi hai meri zindagi mein.

kisi ke liye kuch mangta nahi tha khuda se pehle,
uske liye har khusi mangta hoon,
jab se woh aayi hai meri zindagi mein.

tujh mein doob jaana hi humein manjoor tha

meri aawargi thi mera junoon tha,
tere pyaar ke nashe mein,
main ek dum chur tha.

logo ne kaha tera pyaar gehra sagar hai,
magar tujh mein doob jaana
hi humein manjoor tha.

bas ek pal

ek pal kaafi hai zindagi jeene ke liye,
ek pal kaafi hai mohabbat karne ke liye,
ek pal kaafi hai tumhein paane ke liye,
ek pal kaafi hai tumhein apna banane ke liye,

yeh ek pal lagta hai bahut chota sa,
par yehi pal ek umr sa hota hai,
jis mein kuch log apni zindagi bita lete hain,
jis mein kuch log apni umr guzar dete hain,

humne bhi ek aisa hi pal jee liya hai,
issi ek pal mein apna astitva dhoondh liya hai,
humne bhi tumhe iss ek pal mein paa liya hai,
issi ek pal mein tumhein apna bana liya hai,

ab yeh ek pal hi humari poori zindagi hai,
yeh ek pal hi humara poora sansaar hai,
ab yeh ek pal hi humari bandagi hai,
yeh ek pal hi humara poora jahaan hai.


in my heart you will reside forever

whenever I am down and out
I turn to you and you were always there,
wishing me and guiding me always to achieve
that something which is just not possible with out you.

you showed me the true essence of love,
and I am grateful to the lord for giving me such a true friend,

you were there when I had a smile,
you were there when I was in tears,
you were always there for everything I ever wanted.


if ever you wondered what you mean to me,
this is what I feel about you,
never far from you
never far from the fragrance of your sweet love,


in my heart is where you are
and there you will reside forever.

tum kab aaoge

subah se ho gaye shaam ki tum kab aaoge,
dil mein armano ki sez saj chuki tum kab aaoge,

shor mein dhadkan chup si gayi tum kab aaoge,
chandni bhi chand ki ho chuki tum kab aaoge,

zindagi ki bhi shaam dhal rahi tum kab aaoge,
meri saason ko mehkane tum kab aaoge,

phir palkon pe viraah ki badli chaayi tum kab aaoge,
bekaraar barasne ko meri mohabbat tum kab aaoge.

kaise gujari woh raat na pucho

kaise gujari kayamat ke woh raat na pucho,
tha unka mere haathon mein haath na pucho,

chal rahi thi dhadhkan par ruki huyi thi saansein,
madhoshi mein huyi woh karamaat na pucho,

anjaane the woh, hum bhi the naadan se,
kaise huye jaahir dono k jazbaat na pucho,

chuu le unhein ya kare thoda intzaar,
bekhud se ho gaye humare khyalaat na pucho,

seene se lag kar pighlne lage the woh,
unki nigaahon ne kiye kya kya sawalat na pucho,

khuda ka reham tha ya tha mere ishq ka asar,
kis tarah huyi haasil ye saugaat na pucho,

kaise gujari kayamat ki woh raat na pucho,
tha unka mere haathon me haath na pucho.


I will be forever yours

I will be forever yours
because when I’m in your arms
I feel like nothing else matters
more than anything in the world.

I will be forever yours
because when we look at each other
I can see how much love is there
our eyes tell us the closeness.

We share is something really special
really deep I will be forever yours
because only with you
I feel safe and secure.

And so loved
I will be forever yours
because I wouldn’t want it any other way
just let the love be as pure as it’s and as true.

woh chaand jaisi ladki

woh chaand jaisi ladki,
woh sitaron jaisa aanchal,
woh phool jaisi komal,
woh paanv jaise makhmal.

woh moti jaisi aakhein,
woh hirni jaisi chaal,
woh chandi jaisa rang hai,
woh sunehre hai baal.

woh bole to bole sangeet hai,
woh hanse to hai saaz,
woh kaanton sa chubhta hai,
woh phoolon sa andaaz,

woh gussa jaise bijli,
woh julfein hai ghatayein
woh aansu jaise barkha,
woh saasein hai hawayein.

woh bindiya jaise jugnu,
woh chudiya woh kangan,
woh paayal karti chan chan,
woh khushboo jaise chandan.

woh chandni si sheetal,
woh chaand pe hai rehti,
woh udti hai gagan me,
woh jharno si hai behti.

woh dil ki hai haan dhadkan,
woh dil se mere kehti,
woh chaand jaisi ladki,
woh chaand jaisi ladki.

I know you love me

I know you love me,
I can see the sparkle in your eyes,
When I am around,
And the tingle of sadness when I am not.
I know you love me,
When you hug me tenderly.

I know you love me,
When you can tell the sadness in my voice,
When you know that I have been crying,
Then you do anything to please me.

I know you love me,
When you call me for no reason at all,
Just to ask how am I?
That's when I know you miss me.

I know you love me,
When you smile at me in that special way,
Its that secret that only you and I know.

I know you love me,
When you support me even when I am wrong,
You don't leave me when I am down an out,
Your loyal to me and stay by my side.

I know you love me,
When you get hurt when I mention someone else,
I can see the rage in your eyes,
and I feel the bliss within.

I know you love me,
When you give me a surprise,
It doesn't matter what day it is,
Its just to show that you care.

Thank you, buddy!
I love the way you love me!

tum mujh ko ache lagte ho

ek baat kahon gar sunte ho
tum mujh ko ache lagte ho,

kuch chanchal se
kuch chup chup se,
kuch pagal pagal lagte ho,

mujhe chahane wale aur bahot
par tum mein hai ek baat bahot
tum apne apane lagte ho,

ek baat kahon gar sunte ho
tum mujh ko ache lagte ho,

yeh baat baat mein kho jana,
kuch kehte kehte ruk jana,

jo baat hai dil mein keh daalo,
yeh kis uljhan mein rehte ho,

ek baat kahon gar sunte ho,
tum mujh ko ache lagte ho

aashiq hoon deewana na banana muhj ko

kacha deewar hoon thokar na lagana mujh ko,
apni nazron mein basa kar na giraana mujh ko,

tumko aankho mein tasavir ki tarah rakhta hoon,
dil mein dhardkan ki tarah tum bhi basana mujh ko,

baat karne mein jo mushkil ho tumhin mehfil mein,
main samajh jaaunga nazron se bataana mujh ko,

vaada utna hi karo jitna nibha sakti ho,
khawab poora jo na ho woh na dikhana mujh ko,

apne rishte ki nazaakat ka bharam rakh lena,
main to aashiq hoon deewana na banana mujh ko.

ban jaa meri zindagi ki main tumhein itna pyar dunga

dil mein bas jana dharkan banke,
ke iss kadar tumhein chupa lunga,

aankhon mein banke kajal tere rahunga,
nazar na lage iss kadar tujh ko dhak 
lunga,

tumhein sabke samane uthane ke liye,
main khud ko iss kadar gira dunga,

ban jaa meri zindagi,
ki main tumhein itna pyar dunga,

ban ke teri bindiya,
main tera chehara sawar d
unga,

kabhi ban ke teri chudiyaan,
iss kadar tujhe saja dunga,

ban jaa koi nagma jo
main sabko suna dunga,

ban jaana meri rooh ki
iss kadar apne ander chupa 
lunga,

saanso mein ghul jana khushbo banke,
main iss kadar meheka 
lunga,

kabhi ban ke tere haatho ki mehendi,
main iss kadar tujhe rang dunga,

ban ke there maathe ka sindoor,
tumhein koi shikayat ka muka nahi dunga. 

All Time's Favourite Posts