I don’t write poems I write you

I don’t write poems
I write you... only you.

you became a name
and play on my lips,
you are the moon rising
and the sun setting,

you are the sky
in which I have set
many birds to fly,

you are the earth
in which I have planted
innumerable wandering trees,

you are the space
between the earth and the sky,
I write this space
I don’t write poems,
I don’t write poems
I write you... only you. 

pardhte ho kya meri shayri tum

aate ho kya ab bhi yahaan tum?
pardhte ho kya meri shayri tum?

hai na koi raasta milne ka phir bhi,
tera saaya kahin dhoondta hoon phir bhi.

samajhte ho mere ghum ko kya tum,
yaad karte ho woh suhaane se din tum?

dhoondoon to kahan main tumhein,
paas apne kaise bulaaun main tumhein.

ishaara kissi tarah se de sakte ho tum,
sapno mein bhi ek baar aa sakte ho tum?

jaanta hoon main, tune dard diya hai kitna,
dil-phenk nahin, main jaanta hoon tum.

awaaz apni kya sunaa sakte ho tum?
apni baahon mein mujhe le sakte ho tum?

gale se na lagaaya tha jaate waqt tumne,
honthon ki pyaas na bujhaane di tumne,

andhere se kya nikal sakte ho tum?
aate ho kya ab bhi yahaan tum?

aaj tak naam pukaarti hain tera

raaton ki woh gehri saansein,
aaj tak naam pukaarti hain tera,

garmi ki boonden maathe par
aaj tak tapkaati hain khushbu teri,

jism jab simatne lagta hai
aaj tak baahein yaad aati hain teri,

pyaase honth maangte hain
aaj tak tere honthon ka meetha pyaala,

iss badan ka akelapan
aaj tak bas chahata hai pyar tera.

baaton mein meri sirf yaadein hain

dil mein mere sau dard hain,
baaton mein meri sirf yaadein hain,

anjaan yeh naye raaste hain,
ab tere intezaar mein hum hain.

jaanta hoon kabhi na aayegi tu,
lautegi na woh meethi khushboo.

tera haath kabhi na chu paaonga,
teri dhadkan ko kaise sunn paaoonga.

yeh sau dard jo mere dil mein hain,
samajhti inko bas tu hi hai.

yeh yaadon se bheegi baatein jo hain,
tu hi jaanti hai inki keemat kya hai.

yeh anjaan se jo naye raaste hain,
inki manzil bataa mujhe kya hai.

roshan ab meri yeh zindagi nahin,
woh zindagi kya jis mein tu nahin.

tujhe bhool jaana mere liye mumkin nahin

aaye na yaad tu, aisa koi din nahin,
tujhe bhool jaana, mere liye mumkin nahin,

bas gayi hai tu meri ragon mein,
maujudki hai teri jahaan dekhoon main,

lakhon bahaane banaa kar bhi dil na maane,
jitna tujhe main bhulaana chahoon,
utna hi tujhe apne paas paaoon main.

mohobbat laut kar na aayi

tapke jab ek ek boond aasmaan se,
girte hain aanshoon mere madham-madham se.

yaad aate hain woh pyar bhare din,
jab muskurate hue kat-te the mere din.

ab chaa gayi hai udaasi kuch iss tarah mujhpe,
khushiyan bhi chherd jaati hain dhoke se mujhe.

jaaoon to kahaan jaaoon tere bin main,
bhatak raha hoon zinda laash ki tarah main.

khaali hai dil, na ismein jagah rahi kissi aur ki,
zindagi se chali gayi tu, mohobbat laut kar hi na aayi.

ajeeb hai ab hum dono ke beech yeh rishta

mere paas aao, sunaun ek prem kahani
iss mein the do anjaane, ek ne dil ki baat na maani.

peheli baar mile the, tab hi haath thaama tha,
na jaante the woh dono ke pyar tab shuru hua tha.

bardhti gayi dosti unki, baatein hazaar karte the,
kuch alag se the dono, par unke sapne mila karte the.

zindagi ek doosre ki nazron se woh dekhte chale gaye,
prem ki duniya mein woh dheere-dheere khote gaye.

jab sachche dil se woh boli, mujhe tumse pyar hai,
mazaak samajh kar main bola, mujhe to inkaar hai.

itni door baithe, kaise usko haan bolta,
dil torda uska lekin usse be-hadh pyar tha karta.

yeh kahaani abhi khatam nahin hui, sunte jaao sab,
dono milte hain ek doosre se, pyar aur ghera hua jab.

alag si hain lekin yeh aane waali mulaakatein,
inn dono ke beech hui bin awaaz waali baatein.

ajeeb tha ab dono ke beech yeh rishta,
badal gayi ek ki kismat aahistaa-aahistaa.

apna haath kissi aur ko de chuki thi woh,
magar uske haath ka ehsaas kabhi na bhuli woh,

kyon aaisa kiya, maan jaao mera kehna,
bola woh usse, bas mere saath hai khush rehna.

kaise raaste badal loon main ab, duniya kahegi kya,
pyar to tumse karti hoon, magar ab main karoon kya.

le chalta hoon kahin door tumhe, ek baar maan jaao,
sapne poore karoonga main, bas mere paas aajaao.

agle janam ka tum intezaar karo, iss janam main na milenge,
meethi yaadein ban kar hum, ek dooje ke dil mein rahenge.

anth to hai nahin iss kahaani ka aur na kabhi hoga,
alag-alag jee rahe hain dono, pyar kabhi khatam na hoga.

All Time's Favourite Posts