pardhte ho kya meri shayri tum

aate ho kya ab bhi yahaan tum?
pardhte ho kya meri shayri tum?

hai na koi raasta milne ka phir bhi,
tera saaya kahin dhoondta hoon phir bhi.

samajhte ho mere ghum ko kya tum,
yaad karte ho woh suhaane se din tum?

dhoondoon to kahan main tumhein,
paas apne kaise bulaaun main tumhein.

ishaara kissi tarah se de sakte ho tum,
sapno mein bhi ek baar aa sakte ho tum?

jaanta hoon main, tune dard diya hai kitna,
dil-phenk nahin, main jaanta hoon tum.

awaaz apni kya sunaa sakte ho tum?
apni baahon mein mujhe le sakte ho tum?

gale se na lagaaya tha jaate waqt tumne,
honthon ki pyaas na bujhaane di tumne,

andhere se kya nikal sakte ho tum?
aate ho kya ab bhi yahaan tum?

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts