ajeeb hai ab hum dono ke beech yeh rishta

mere paas aao, sunaun ek prem kahani
iss mein the do anjaane, ek ne dil ki baat na maani.

peheli baar mile the, tab hi haath thaama tha,
na jaante the woh dono ke pyar tab shuru hua tha.

bardhti gayi dosti unki, baatein hazaar karte the,
kuch alag se the dono, par unke sapne mila karte the.

zindagi ek doosre ki nazron se woh dekhte chale gaye,
prem ki duniya mein woh dheere-dheere khote gaye.

jab sachche dil se woh boli, mujhe tumse pyar hai,
mazaak samajh kar main bola, mujhe to inkaar hai.

itni door baithe, kaise usko haan bolta,
dil torda uska lekin usse be-hadh pyar tha karta.

yeh kahaani abhi khatam nahin hui, sunte jaao sab,
dono milte hain ek doosre se, pyar aur ghera hua jab.

alag si hain lekin yeh aane waali mulaakatein,
inn dono ke beech hui bin awaaz waali baatein.

ajeeb tha ab dono ke beech yeh rishta,
badal gayi ek ki kismat aahistaa-aahistaa.

apna haath kissi aur ko de chuki thi woh,
magar uske haath ka ehsaas kabhi na bhuli woh,

kyon aaisa kiya, maan jaao mera kehna,
bola woh usse, bas mere saath hai khush rehna.

kaise raaste badal loon main ab, duniya kahegi kya,
pyar to tumse karti hoon, magar ab main karoon kya.

le chalta hoon kahin door tumhe, ek baar maan jaao,
sapne poore karoonga main, bas mere paas aajaao.

agle janam ka tum intezaar karo, iss janam main na milenge,
meethi yaadein ban kar hum, ek dooje ke dil mein rahenge.

anth to hai nahin iss kahaani ka aur na kabhi hoga,
alag-alag jee rahe hain dono, pyar kabhi khatam na hoga.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts