gar main usko bhoola deta to mere pass kya rehta

agar aanshu baha deta to mere pass kya rehta,
woh mujh ko hoosla dete to uske pass kya rehta.

nishan mujh ko nahi milta koi us tak pohachne ka,
mujhe apna pata dete to uske pass kya rehta.

musafir sare hi phaal kha ke apni rah chal dete,
sare tehni jhuka dete to uske pass kya rehta.

uski yaadon ne hi ab tak mujhe abaad rakha hai,
main usko hi bhoola deta to mere pass kya rehta.

woh ehsas mohabbat ke na jane kahan kho gaye

woh ehsas mohabbat ke, na jane kahan kho gaye,
laut ke na aayi phir kabhi khushiyan, woh jazbey jo gaye.

woh jo niharaa karte the humein neend mein,
aaj wahi jhunjla jaate hain agar poocha kyun, so gaye?

letkar ek saath, banate the zindagi ki tasveer,
chhat pe putey they kuch khawab rangeen, shayad dho gaye.

kya kuch tha un dino mein, jo ab nahi reh gaya,
ho chala hai yakeen, ke ab hum, ek-duusre ke aadi ho gaye.

ab roz-marre ki zindagi bhi lagti pahaad si humein,
aur lage bhi kyu na? aakhir ek se ab hum jo ho do gaye.

kya tumhein yaad hai

woh guzre pal kya tumhein yaad hain?
woh humari mulakat kya tumhein yaad hai?

hum mile the jaise..
dubte huye suraj ki roshni badlo se hai milti,
jaise barish ki boonde is dhra se hai milti,
bago mein koi titli gulab ke phool se hai milti,
aisa tha humari mulakaat ka manzar,
kya tumhein yaad hai...

woh guzre pal kya tumhein yaad hain?
woh tumhara muskurana
muskurate hue mujhse baatein karna,
kya tumhein yaad hai...

bina kuch kahe mere sawaalon ka
jawab deti tumhari woh jhuki huye nazar,
aisa tha humari mulakat ka manzar,
kya tumhein yaad hai...

woh guzre pal kya tumhein yaad hai?
woh humara bichadna kya tumhein yaad hai
hum bicharde the jaise koi
ho pyaasa registhan mein,
jaise koi ho ghira tufaano mein,

tardapta raha mein tumari yaadon mein,
jaise chand amawasya ki raat mein,
kuch aisa tha humara bichrdna,
kya tumhein yaad hai...

mera woh jeete je mar jaana,
ashkon ki dharaon ka
katil lehron mein badal jaana,
kuch aisha tha woh manzar
kya tumhein yaad hai?

ab uska aur intezaar na kar

apne pyaar ki yun numaish na kar,
khuda se koi sifarish na kar,
sapne hote hi hain tutne ke liye,
unke sach hone ki umeed na kar.

apne ghumo ki yun numaish na kar,
apne nasib ki yun aazmaish na kar,
jo tera hai tere dar pe khud aayega,
roz usse paane ki khwaish na kar.

apne tannhai ki yun numaish na kar,
un yaadon so yun parda na kar,
jo beet gaya bhool ja usse,
ab chup chup kar, yun roya na kar.

apne zameer ki yun numaish na kar,
haddo ki dehliz yun paar na kar,
zindagi ko kaafi barbaad kiya tune,
ab uska aur intezaar na kar. 

zindagi ka ek aur varsh kam ho chala

zindagi ka ek aur varsh kam ho chala,
kuch purani yaadein piche chord chala,

kuch khwaishein dil mein rah jaatin hain,
kuch bin mange mil jaatin hain,

kuch chord kar chale gaye,
kuch naye jurdenge iss safar mein,

kuch mujhse bohat khafa hain,
kuch mujhse bohat khus hain,

kuch mujhe mil kar bhool gaye,
kuch mujhe aaj bhi yaad kerte hain,

kuch shayed anjaan hain,
kuch bohot pareshan haiin,

kuch ko mera intezaar hai,
kuch ka mujhe intezaar hai,

kuch sahi hai,
kuch galat bhi hai,

kuch galti ho to maaf kegeye,
aur kuch accha lage to yaad kegeye.

khud mein ek insaan rakho tum

geeta ya kuran rakho tum,
mann mein itna dhyaan rakho tum,

tut na paaye mann ka mandir,
har dil mein bhagwaan rakho tum,

dharti banegi pyaar ka saagar,
auroan ka ehsaan rakho tum,

bunn jaaoge tum bhi paygmber,
khud mein ek insaan rakho tum,

bardh jaayegi dil ki kheemat,
pyaara sa mehmaan rakho tum,

jeet hi loage duniya ek din,
jazboan ka tufaan rakho tum,

yaad rakhegi duniya tum ko,
apni ek pehchaan rakho tum,

kaam nahin hai koi mushkil,
dil mein yeh eemaan rakho tum,

duniya tum ko chaahegi,
bas chaahat ka armaan rakho tum,

dil hai tumhaara moam ke jaisa,
iss par na chattaan rakho tum,

pachtaaoge tum kisi din,
dil mein na shaitaan rakho tum.

ek hum the jo tutte khawabo ki tasveer banate rahe

ek hum the jo tutte huye khawabo ki tasveer banate rahe,
ek woh the jo gairo ke sang apni takdeer banate rahe,

woh kahte the humein ki humse juda na hona,
hum tum se juda ho kar jee nahi payenge,

agar kahbi khayal bhi aye tumhein bichardne ka
tere iss khyal se hi hum marr jayenge.

aaj dekhta hoon unko to khud par taras aata hai,
kitna jhoota hota hai inn hasin ladkiyon ka wada,

aye-khuda ab na milana kabhi aise husn ke thekedaro se,
woh to pyar mein mar na sake,
lekin hum issi gam se marr jayege. 

All Time's Favourite Posts