so jaate hain hum teri yaadon ki chaadar ordh kar

zindagi tera pichha bahut door tak kiya,
ab chala jaun main kaise tujhse muh mord kar,

jisne chaha tha mujhe kabhi tut kar,
aaj jaa rahi hai woh mujhe tord kar,

humein to tannhaiyon ki aadat daalni hi hogi,
khush rehna tum sada kisi aur se naata jord kar,

raat ke andheron mein jab dil ghabrata hai,
so jaate hain hum teri yaadon ki chaadar ordh kar,

jinke liye chord aaye the hum ye duniya,
dekho aaj woh chale hain humein chord kar.

pyar ka aanjam kya hota hai

yeh pyaar kya hota hai?
pyaar ka saath kya hota hai?

kyun khote hain achche dost?
iss dil ka yeh haal kyon hota hai?

chal pardte hain hum jis pyaar ki raha pe,
kyun koi humare saath nahi hota hai?

raha pe chalne se pehle kyun log sochte nahi,
iss raha ka aanjam kya hota hai?

kahi kho jaati hai yeh raha,
kyun mera yeh safar kabhi pura nahi hota hai?

milta hai jo bhi humsafar iss safar mein,
kyun woh humsafar saccha nahi hota hai?

chord jaata hai haath mera
root jaata hai pyaar mera,


to phir yeh pyaar kya hota hai?
pyar ka aanjam kya hota hai?

kya yeh dard ka sirf ek paigam hota hai??

kiski lagi baddua

tu hi bata zindagi jo bhi hua kyon hua,
khoyi hai kyon har khushi, kiski lagi baddua,


tu hi bata zindagi jo bhi hua kyon hua,
khoyi hai kyon har khushi, kiski lagi baddua.

kise kise jawab dun, bhuja bhuja yeh dil hai kyon,
kya main kahoon bikhra kyon mera sapna sara,

tu hi bata zindagi jo bhi hua kyon hua,
khoyi hai kyon har khushi, kiski lagi baddua.

bheege bheege din, kali raatein,
aashun ke jaise barsatein,


bheege bheege din, kali raatein,
aashun ke jaise barsatein,
puche mujhse jo dil ki baatein,


kya main kahoon dard kyon dil ko mila,

tu hi bata zindagi jo bhi hua kyon hua,
khoyi hai kyon har khushi, kiski lagi baddua.


suna suna sa hai ab yeh mann,
doobi doobi si hai ab dhadkan,


suna suna sa hai ab yeh mann,
doobi doobi si hai ab dhadkan,

jaaon kahan ab yahi hai uljhan,

kya main kahoon khoya kyon rasta mera,

tu hi bata zindagi jo bhi hua kyon hua,
khoyi hai kyon har khushi, kiski lagi baddua.


khoyi hai kyon har khushi kiski lagi baddua,
kise kise jawab dun, bhuja bhuja yeh dil hai kyon,
kya main kahun, bikhra kyon sapna mera,
tu hi bata zindagi jo bhi hua kyon hua...??

tannha hun magar saath hai tannhai

hum se yun na mila karo aye tannhai,
shayad hai itni siddat mein ruswaai,

tannha baitha baatein kerta hun,
tannha hun magar saath hai tannhai,

baitha rehta hun saath uske baatein kerte,
ke kabhi apni si lagti hai tannhai,

hum se yon na mila karo aye tannhai,

shayad hai itni siddat mein ruswaai,

waqt gujarte maloom nahi hota,
baatein kerte kerte sula deti hai tannhai,

hassta rehta hun saath uske,
ke hassti hai tannha dekh ker meri tannhai,

kuch kehti nahi mere bare mein,
bina kahe kuch keh jaati hai meri tannhai,

tannha baithe baatein kerta hun,
tannha hun magar saath hai tannhai,

hum se yun na mila karo aye tannhai,

shayad hai itni siddat mein ruswaai.

wrong timing

when you got in
I went out,
such is the wrong timing
of your compassion.

then we talk
about the proper timing
of our desires,

you set the time, the place, and the mood
now it is not just desire but love.

yes, love..
but sometimes I still wonder
what love is?

when two people meet at the proper time,
the proper place, and the proper mood,

when everything seems right and yet
feels so wrong,

when everything is supposedly proper
and yet there is still this
feeling of impropriety,

I am (x) years old and you are (y)
and I am just asking
when we all want to be inside
the room of ecstasy,

and yet they all want us out.

just because they also feel
that the timing may be right
but it simply does not look all right,

and then you are a little
bit irritated and you ask finally.

jaane kab se kar raha hai koi tumhara intezaar yuhi chalte chalte

socha kabhi yuhi phir mil jaoge tum chalte chalte,
aur sath nibhaoge yuhi tum mera chalte chalte.

kya khabar thi na aaoge tum,
aur na kabhi yuhi tham loge mera hath chalte chalte.

reh gaye ab hum tannha in rahon mein,
jin par kabhi tumne kiye the waadien yuhi chalte chalte.

barda tardpati hai, rulati hai tumhari yeh yaadien,
jo de gaye the tum kabhi yuhi chalte chalte.

bas ab ehsas hai tumhara, 

pata hai.. na tum ho na hai saya tumhara,

jane phir bhi kyon dhundti rehti hai,

yeh aankhein un raho mein tumhein,
jin par kho gaye the tum kabhi yuhi chalte chalte.


kya kabhi tum aaoge nahi un waadon ko pura karne,
jo kabhi kiye the tumne yuhi chalte chalte.


yaad karna jara na aane se pehle,
jaane kab se kar raha hai koi tumhara intezaar yuhi chalte chalte.

naa hum jaante hain naa woh jaante hain

ye raat mere naseeb ki hogi kitni lambi,
naa hum jaante hain naa woh jaante hain,

kiya hai kya asar mere zindagi ne mujh pe,

naa hum jaante hain naa woh jaante hain,

kiya hai maine khud ko samay ke hawaale,
samay mein hai chhipa kya yeh koi kya jaane,

samay ki ye jaddozehat rahegi aur kitni,

naa hum jaante hain naa woh jaante hain,

naseebon ka khel yeh naa koi jaan paayaa,
naseeb se koi bichdaa, naseeb ne milaayaa,

neseeb mein hai kya ab koi aur aane waala,

naa hum jaante hain naa woh jaante hain.

All Time's Favourite Posts