log pyaar kyun karte hain kisi se jab wo nibha nahi sakte

jab bhi koi rishta kabhi tutata hai,
pyar se thamaa koi hath jab chutata hai,

dil mera tujhe karke yaad hota hai udaas,
aur mujhse phir woh ek sawal puchhata hai,

ki log pyaar kyun karte hain kisi ko,
jab woh us pyaar ko nibha nahi sakte,

kyun thaamte hain wo hath apne haatho mein,
jin haatho ko saari umr woh thaam nahi sakte,

kyun nahi samjhate woh us dil ka dard,
jo dil unke haatho yun barbaad hota hai,

kisi ke sapno ka jaal taar-taar hota hai,
kisi ka saara pyaar jab yun bekar hota hai,

woh saare pal jo saath bitaye the kabhi,
jeene nahi deta hai, har pal woh yaad aate hain,

tere hone ka ehsaas mujhe har pal dekhe jaata hai,
sukh chain leke aankho mein ashk de jaata hai,

ye rishta tutane ka dard, har pal bardta jata hai,
marte dam tak woh pyaar har pal yaad aata hai,

ki kash!  phir koi rishta iss tarah naa tute,
ye rishton ka tutana na hamse saha jata hai..

yeh hai mere ehsaas ki duniya

bahut dil na laga is duniya me tu,
yeh hai sirf gunaho ki duniya,
zindagi ke har jawab dhundhke rakh,
yeh hai sirf sawalo ki duniya.

na baat maan yaha tu kisiki dil se,
yeh hai sirf affwaho ki duniya,
mat kar tu kisipe yakeen jaldi se,
yeh hai joothe nakabo ki duniya.

yeh safar yuhi chalta rahe aye sanam,
yeh hai meri khwaishon ki duniya,
rakhta hun tujhe dil me basakar,
yeh hai meri pyaar ki duniya.

payengi na tannha akele khud ko,
yeh hai mere vishwas ki duniya,
khus rahengi tu sada dil me mere,
yeh hai mere ehsaas ki duniya.

aasman bhi kabhi raat ko sota hai

ehsas ke bina pyaar bayan kare jo,
ye ek tarha ka kya samjhota hai?


chand taron se sajta hai asmaan,
aasman bhi kabhi raat ko sota hai?

jisse basaya ho iss dil me humne,
kya wo dil se kabhi apna hota hai?

ek kinare par koi pahunch jaye,
aakar waha kabhi koi kisi ko khota hai?

dil toot jata hai jab pyar nahi milta,
kya khuda kabhi pyar ke liye rota hai?

aaj ek message na unse likha gaya mere liye

aaj raat hogayi unki dua aane ke intezaar mein,
jinko hamare janamdin ka mahine pahle se intezaar hota tha,

aaj befikar hokar so rahe honge kisi ki baaho mein,
jinka dil kabhi iss din hamein milne ko bahut rota tha,

aaj bhi dost aate hain mubarak baad dene ko,
magar unki mubarkbaad ka maza hi kuch aur hota tha,

milo door jate the unse milne ke liye iss din,
wo bhi ghar se na jane kya kya bahane banate the,

aaj ek message na unse likha gaya mere liye,
jo kabhi lakh musibate utha kar mera janamdin mnane aate the,

maze ki baat hai ki iss din bhi sabse chip ke roye hain,
unke sath bitaye palo ka ehsaas kuch aur hi hua kerta tha.

janam din mubarak ho

aaj mera janam din tha,
main intezaar karta raha,
din se raat ho gayi,
aur main chalta raha,


barish mere badan ko bhigoti rahi,
aur tann andar hi andar jalta raha,
magar mein chalta raha,
intizar karta raha,

ki shayed…
kahin se koi jaani pehchani si awaz,
mujhe pyar se bulaa kar kahe,
janam din mubarak ho…!!

magar aaj to har taraf balaa ka sanaata tha,
pure mohalle ne mere janam ke shouk mein,
apne apne gharon mein roshni bhi nahi kiya,
har taraf khofnaak andhera tha,

iss andhere mein, 

barish ka shor,
patton ki khar kharahat,
hawaa ki siskiyaan,
aur bijli ki chamak ne,
mahol ajeeb daraawna sa bana diya tha,

mera dil ghabra gaya,
subah ka bhoola tha iss liye,
shaam ko ghar aagaya,

kya dekhta hoon ke ghar ki dehleez par hamesha ki tarah,
mere intezaar me meri tannhai thi,

us ne aa kar mujhe sahara diya,
phir apne naazuk bajuon mein samet kar,
mujhe mere bistar tak le gayi,

mera sar apni gaud mein rakh kar,
mere baalon mein ungliyan pher kar mujhe sulaney lagi,

phir dheere dheere mere kaan mein gungunane lagi,
janam din mubarak ho,
janam din mubarak ho,

duniya walon se kitni achi thi,
meri tannhai,
meri udaasi,
meri veerani,
meri mehbooba…!!

aaj khud ko hassaunga shayad

mera janamdin main tannha hi manaunga shayad,
logo ke bich na sahi per andhero mein banaunga shayad,
hume pata hai na to koi apna ayega na koi paraya,
isliye kosis karunga sab kuch bhulne ki or khud ko hassaunga shayad.

woh lamhein yahan bikhar jaate hain

itne baadlon mein kuch baadal sapne kehlate hain,
itne anjaano mein kuch ajnabi apne kehlate hain,

naa bhulenge kabhi woh lamhein, nazar kehte the jo kal tak,
issi kasmakash me woh lamhein yahan bikhar jaate hain,

sachhe hain ehsaas itne, sazde karte har shakhs jahan,
najuk hai ye khawaab itne, jinhein ashkon se sehlate hain,

hain mom ki tarah yaadein humari, jal ker bhi jo jamti rahin,
hai hamari bhi kuch khawaishein jo reh-reh kar pighla jate hain,

hum hain uss nashe mein ab tak, jab yaaron ka sath tha,
ulajh jate hain utna inme, jitna inhein hum suljhate hain,

sochta hoon jab beete pal, kho jata hoon bas wahi,
hothon se muskaye to kya, dil se hum karhaate hain,

guzar gaya waqt haseen to kya, ehsas dil mein hain,
milenge phir kahi jald, yahi soch ker dil behlate hain

All Time's Favourite Posts