chaand ki justju rahi barson,
mujhe teri aarzu rahi barson,
sadiyan judaai ke beetein to jana,
mere khwabon mein tu hi rahi barson,
main hi unko samajh nahi paya,
yun unse guftgu rahi barson,
woh gulbadan jab kabhi bhi aaye,
ghar mein khushbu rahi barson,
main apne aib kahan chhipata,
unki nazar har taraf rahi barson,
maut ke saye mein bhi dekho,
zindagi ru-b-ru rahi barson.
No comments:
Post a Comment