kya tumhein yaad hai woh dilbar deewaana sa

kya tumhein yaad hai woh dilbar diwaana sa,
kuch to pagla sa, kuch woh mastaana sa.

bhool se dil-jalon ki mehfil mein aa gaya woh,
hua uske bhi dil ka phir jalna-jalaana sa.

gham zada tere dil ko thaama, kis dilkashi se,
lubha hi gaya chalkake ankhon se paimaana sa.

kabhi usko bhi jafayein sehni to pardi hongi,
kabhi uski bhi ankhon ne bahaya tha fasaana sa.

khil ke mila woh ajnabi, har ek se aashnaa sa,
goya ke ho woh koyi, shahan-shaah puraana sa.

nigaah-e-mast mein uska, ummeed ke diye jalaana,
kaisa laga uska, diwaana bana, jee ko churaana sa.

tere lafzon mein jhalakti hai ek surat uski,
kaise laga, logon ka usse tera deewana banana sa.

rehta tha jo duuba, apni hi dhun mein magan,
rehne laga anjuman mein, ab juda sa, begaana sa.

bheegi nazzaron se takna, teri berukh adaayein,
aaine se bhi dekha na gaya, uska kumhlaana sa.

ab to woh roye, to rota hi chala jaata hai,
karta hai shayri se, hasraton ka bujhaana sa.

waqt aa hi gaya, hans ke widaa kyun nahin karte,
har baat pe yeh kya ki, bura bhala sunaana sa.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts