bethi yaadon

aaj main tannha baihti yaadon ko nakhuon se
maazi ki raakh kured raha hoon,

us aakhri shaam ki yaad ab tak
dil ke kisi kone mein pada ro raha hai,

jab mere sath saans lete hue aanshu
chilla chilla kar keh rahe the,

hamein chhord kar mat jaao
magar mere lab khamosh the aur tum,
mere aanshu ki aawaz sun nahi paaye the,

shaam dhire dhire dhalti jaa rahi thi,
parinde apne baseron ko laut rahe the,
aur tum mere dil ka basera chhord kar jaa rahe the

kahin door, shayad bahut door,
darakht khamosh khade the aur main
darakht ke kandhe par sar rakh kar ro raha tha,

tumne aakhri baar meri aur murd kar dekha aur
tumhari nigahon mein na jaane kya tha keha,

meri palkon pe thehra aakhri aanshu
ek nokeeli salakh ki maanind
dil mein utar gaya tha,

aah…. woh shaam kitni andheri thi,
amavas ki raat se bhi jada andheri,

magar na jaane kyon
itna waqt beet jaane ke baad,

aaj maine shaam ki gulaabi hatheli pe likha..
“meri bichhdi koi shaam ek baar laut kar aao,
main tumhare intezaar mein hoon".

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts