jaane kahan hain manzilein, jaane kahan raah-e-dagar

jaane kahan hain manzilein, jaane kahan raah-e-dagar,
phir iske kyun shikve karein, koi nahi jo humsafar.

haste rahein - rote rahein, baithe rahein - chalte rahein,
kya kya karein, kya naa karein, beete nahi shaamo-sahar,

har shaam par woh aag hai jalti jo tere naam se,
ek hai shama seene mein bhi, roye jo mere haal par,

tere hi kadamon k nishan rahein yaadon ke tanha registaan mein,
woh shaks kis taraf gaya poochha karein deewaro-dar,

subho ki hawa bhi hai yahaan, lekin badi hairan hai,
kisko jaga kare ab, khushbu se kar ke tar-batar,

hota agar main aayina, rakh leta usko kaid kar,
har zakham se deta raahat bankar woh mera doctor.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts