jai mahakaal

aadi hai, anant hai, woh kaal ka bhi kaal hai, 
somya hai utna hi, woh jitna ki vikraal hai.

sish jatta-jut se prasphoothit hai gangotri,
lep hai bhasm ka aur vastra hai digambri, 

aur aabhusano ke naam pe bas saapon ka jaal hai, 
aadi hai, anant hai, woh kaal ka bhi kaal hai.

kailash pe aashin jo, nishchal aur achal, 
lok hai jiska kahi, himgiri sam atal, 
patr ke roop mein sushojit kapaal hai, 
aadi hai, anant hai, woh kaal ka bhi kaal hai.

khojte manik sabhi jab manthan ki loot mein,
yogi sara pee gaye, vish ek hi ghhut mein,
kant neelkant woh, chandra sushobhit bhal hai, 

aadi hai, anant hai, woh kaal ka bhi kaal hai.

damru ki dhun mein mast, ganga ki dhar le,
jise sab tyaag de, usko bhi sweekar le, 
bhola hriday jiska, par nainyon mein jwaala hai, 
aadi hai, anant hai, woh kaal ka bhi kaal hai.

grihast bhi, vairaag bhi, woh devo ke dev hain, 
bramhand ke niyata, jo syam mahadev hain, 
aadi hai, anant hai, woh kaal ka bhi kaal hai...

bhasma hi satya aur satya hi shiv hai,
bhola bhi shiv aur shiv hi rudra hai,
devo ke hitkaari, yeh ashuron ke bhi east hain,

aadi hai, anant hai, woh kaal ka bhi kaal hai...

shiv hai vishwesar aur anishwar bhi shiv hain,
nathon ke nath, gananath bhi shiv hain,
koi sath ho na ho par sath mere shiv hain..


!! Jai Mahakaal !
!! Har Har Mahadev......!!

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts