I don’t write poems I write you

I don’t write poems
I write you... only you.

you became a name
and play on my lips,
you are the moon rising
and the sun setting,

you are the sky
in which I have set
many birds to fly,

you are the earth
in which I have planted
innumerable wandering trees,

you are the space
between the earth and the sky,
I write this space
I don’t write poems,
I don’t write poems
I write you... only you. 

pardhte ho kya meri shayri tum

aate ho kya ab bhi yahaan tum?
pardhte ho kya meri shayri tum?

hai na koi raasta milne ka phir bhi,
tera saaya kahin dhoondta hoon phir bhi.

samajhte ho mere ghum ko kya tum,
yaad karte ho woh suhaane se din tum?

dhoondoon to kahan main tumhein,
paas apne kaise bulaaun main tumhein.

ishaara kissi tarah se de sakte ho tum,
sapno mein bhi ek baar aa sakte ho tum?

jaanta hoon main, tune dard diya hai kitna,
dil-phenk nahin, main jaanta hoon tum.

awaaz apni kya sunaa sakte ho tum?
apni baahon mein mujhe le sakte ho tum?

gale se na lagaaya tha jaate waqt tumne,
honthon ki pyaas na bujhaane di tumne,

andhere se kya nikal sakte ho tum?
aate ho kya ab bhi yahaan tum?

aaj tak naam pukaarti hain tera

raaton ki woh gehri saansein,
aaj tak naam pukaarti hain tera,

garmi ki boonden maathe par
aaj tak tapkaati hain khushbu teri,

jism jab simatne lagta hai
aaj tak baahein yaad aati hain teri,

pyaase honth maangte hain
aaj tak tere honthon ka meetha pyaala,

iss badan ka akelapan
aaj tak bas chahata hai pyar tera.

baaton mein meri sirf yaadein hain

dil mein mere sau dard hain,
baaton mein meri sirf yaadein hain,

anjaan yeh naye raaste hain,
ab tere intezaar mein hum hain.

jaanta hoon kabhi na aayegi tu,
lautegi na woh meethi khushboo.

tera haath kabhi na chu paaonga,
teri dhadkan ko kaise sunn paaoonga.

yeh sau dard jo mere dil mein hain,
samajhti inko bas tu hi hai.

yeh yaadon se bheegi baatein jo hain,
tu hi jaanti hai inki keemat kya hai.

yeh anjaan se jo naye raaste hain,
inki manzil bataa mujhe kya hai.

roshan ab meri yeh zindagi nahin,
woh zindagi kya jis mein tu nahin.

tujhe bhool jaana mere liye mumkin nahin

aaye na yaad tu, aisa koi din nahin,
tujhe bhool jaana, mere liye mumkin nahin,

bas gayi hai tu meri ragon mein,
maujudki hai teri jahaan dekhoon main,

lakhon bahaane banaa kar bhi dil na maane,
jitna tujhe main bhulaana chahoon,
utna hi tujhe apne paas paaoon main.

mohobbat laut kar na aayi

tapke jab ek ek boond aasmaan se,
girte hain aanshoon mere madham-madham se.

yaad aate hain woh pyar bhare din,
jab muskurate hue kat-te the mere din.

ab chaa gayi hai udaasi kuch iss tarah mujhpe,
khushiyan bhi chherd jaati hain dhoke se mujhe.

jaaoon to kahaan jaaoon tere bin main,
bhatak raha hoon zinda laash ki tarah main.

khaali hai dil, na ismein jagah rahi kissi aur ki,
zindagi se chali gayi tu, mohobbat laut kar hi na aayi.

ajeeb hai ab hum dono ke beech yeh rishta

mere paas aao, sunaun ek prem kahani
iss mein the do anjaane, ek ne dil ki baat na maani.

peheli baar mile the, tab hi haath thaama tha,
na jaante the woh dono ke pyar tab shuru hua tha.

bardhti gayi dosti unki, baatein hazaar karte the,
kuch alag se the dono, par unke sapne mila karte the.

zindagi ek doosre ki nazron se woh dekhte chale gaye,
prem ki duniya mein woh dheere-dheere khote gaye.

jab sachche dil se woh boli, mujhe tumse pyar hai,
mazaak samajh kar main bola, mujhe to inkaar hai.

itni door baithe, kaise usko haan bolta,
dil torda uska lekin usse be-hadh pyar tha karta.

yeh kahaani abhi khatam nahin hui, sunte jaao sab,
dono milte hain ek doosre se, pyar aur ghera hua jab.

alag si hain lekin yeh aane waali mulaakatein,
inn dono ke beech hui bin awaaz waali baatein.

ajeeb tha ab dono ke beech yeh rishta,
badal gayi ek ki kismat aahistaa-aahistaa.

apna haath kissi aur ko de chuki thi woh,
magar uske haath ka ehsaas kabhi na bhuli woh,

kyon aaisa kiya, maan jaao mera kehna,
bola woh usse, bas mere saath hai khush rehna.

kaise raaste badal loon main ab, duniya kahegi kya,
pyar to tumse karti hoon, magar ab main karoon kya.

le chalta hoon kahin door tumhe, ek baar maan jaao,
sapne poore karoonga main, bas mere paas aajaao.

agle janam ka tum intezaar karo, iss janam main na milenge,
meethi yaadein ban kar hum, ek dooje ke dil mein rahenge.

anth to hai nahin iss kahaani ka aur na kabhi hoga,
alag-alag jee rahe hain dono, pyar kabhi khatam na hoga.

naa jane kyun har baar kuch aise dost bana jaate hain

har baar hosla karte hain,
phir khud hi tut jaate hain,

iss dil ko khud hi samjha kar,
iss dil se haar jaate hain.

phir se ret ko muthi mein pakad kar
phisalta paate hain,

ankhoon mein samandar ko samette samette,
chalkta paate hain.

har baar kuch chaah kar ,
woh khud hi kar jaate hain.

intezar karvate karvate ,
khud hi intezaar karta paate hain,

naa jane kyun is dil ko,
samjha hi nahi paate hain.

apne aap khud ko mana hi nahin paate hain,
woh kya samjhenge jasbaat jinhe ehsaas hi nahi,
naa jane kyun har baar kuch aise hi dost bana jaate hain.

you have never been mine

after you, after what use to be,
I have been lost, all alone at sea.

the things we did, the things we said,
twirl around endlessly in my head.


I think of tender hugs and that stolen kiss,
the times apart, the talks I will always miss.

my broken heart beats a somber wistful tune,
my broken heart weeps at the very sight of june.


what you did back, then I could never understand,
what you have done, now I am starting to comprehend.
I can only blame chance, I can only blame time,
I cannot blame you, for you have never been mine.


the days go by, and the days go fast,
yet I still sit here wishing on the past.
some days I smile, some days I am moving on,
but those some days are just a pair out of a ton.


eventually I will mend, eventually I will heal,
eventually I will forget the instances to feel.


when that time comes, when I am finally free,
when I let go of all the torment within me,
do not ponder what was, or do a double take,
do not return to me, realising to part was a mistake.

bas teri baatein kiya karte hain

dost jab mujhse mila karte hain,
bas teri baatein kiya karte hain.

jazbaat milkar teri yaadon ke saath,
ek hangama kiya karte hain. 
dost jab mujhse mila karte hain,
bas teri baatein kiya karte hain.


tu zindgi ki mehfilon mein masruf,
hum to mar mar ke jiya karte hain,
dost jab mujhse mila karte hain,
bas teri baatein kiya karte hain.

jab kisi musibat mein fass jaate hain,
hum tera naam liya karte hain, 
dost jab mujhse mila karte hain,
bas teri baatein kiya karte hain.


logon ko shaq ke nasha kerte hain,
jaam ashkon ke piya kerte hain, 
dost jab mujhse mila karte hain,
bas teri baatein kiya karte hain.


woh puchte hain haal kaisa hai raaj,
jawaab khamoshi se hum diya karte hain,
dost jab mujhse mila karte hain,
bas teri baatein kiya karte hain.


dil toot jaata hai

dil toot jaata hai...
jab apna koi raah mein yun tannha chord jaaye,
sapna kabhi poora hone se pehle toot jaaye,
zehan mein ghuli huyi koi umeed chord jaaye.

dil toot jaata hai...
jab apna koi, yun berukhi se rooth jaaye,
ro ro ke, jab kabhi yeh aankhein sookh jaaye,
didar-e-mohabbat ki tammannayein choot jaaye.

dil toot jaata hai...
jab bahaar aane se pehle hi, nazaare rooth jaaye,
dil ki laggi, dil mein hi dabi.. aur zabaan sookh jaaye,
dil ke armaan, apne hi haathon toot jaaye. 

ungliyon ke beech se nikli huyi raitein

ungliyon ke beech se nikli huyi rait,
dil kehta hai.. kar koshish, isse tu samait,

lehar mita deti hai samunder par likhe naam ko,
kaise bachaye hum chalakte huye iss jaam ko?

baarish ke aane se, suraj bhi chip jata hai,
pyaar bhi na jaane, kaise kaise mord pe leke aata hai,

apne hi bana aashiyaane ko, panchi chord jaate hain,
dabe dabe honton mein, hum tera naam, tera pyaar chipa jaate hain,

tutne se isse kaise roke, kanch to aakhir kanch hota hai,
khushi ke pal milne aasan nahi, lagta hai jaise jeeta jaagta dhoka hai,

rok kaun paaya hai.. khushbhu ko, yeh to hawa mein ghum ho jayegi,
hum saath rahe na rahe, mujhe har pal teri yaad aayegi..

ungliyon ke beech se nikli huyi raitein,
nahi jaante aaj hum, kaise isse sammatein. 

me and my feelings mis-judge

me and my feelings
always be together,
never think of wrong anytime
or never think of harm.

helping, loving
caring, being true,
all that I want to do.

yet my feelings are felt by none
and mis-judge do they do,
calling me a baseless man
and think all bad I do,.

is helping, loving, caring, being true
such a big mistake
for all I get for doing all this
is sorrow and distress.

sorrow and distress
aren’t the result of my deed,
it just is a wrong interpretation
by my friends and all. 

agar main tujhe rok sakta

agar main tujhe rok sakta, tujhe beshumar pyaar karta,
na rota aise tutte badal ki tarha, ha main bhi muskurata.

haal aisa na hota mera, main bhi jeene ki chah rakhta,
un do palon mein zindagi na kaid hoti, ha inhein aise na dohrata.

sapne beshumar hote mere, tujhe jeevan ka har sukh deta,
teri ek choti si muskaan par yaar main yeh jahan kurbaan kar deta.

dil ki baatein tujhe sunata, tere jeevan ko ek jannat banata,
khud se na phir karta baatein, ha aise na dil ko apne behlaata.

iss zindagi ko jeena hi pardega

abhi baaki hai zindagi, isse jeena hi pardega,
amrit ho ya zaher, isse peena hi pardega.

waqt se pehle doston kuch bhi naseeb hota nahi,
agar khali kar gayi zindagi haath,
toh raja ko bhi ek din fakeer hona pardega.

iske aage-piche hai milan, judai, khushi, ruswai,
par agar kismat saath ne de,
to har tabahi ka saath dena hi pradega.

bas kisi ka nahi chalta iske jor ke aage,
jashan ho ya maatam,
iske shor ko sehna hi pardega.

jaane kyu abhi bhi baaki hai yeh berukhi si zindagi,
humein mile khushi, ya hum ho dukhi.
saanson ke aage humein jhukna hi pardega.

yeh mukadder ki baat hai

takleef kya, araam kya, mukadder ki baat hai,
kya kisko mile kaam mukadder ki baat hai.

mehfil mein log aate hain, aaya hi karenge,
kis-kis ko mile jaam mukadder ki baat hai.

hon laakh log dost magar humsafer nahi,
kitne chalenge saath mukadder ki baat hai.

koshish sabhi kerte hain par bhagwaan ki ichha,
kitna ho kiska naam mukadder ki baat hai.

dariya ka kinaara ho aur saath mein hanseen,
aisi ho koi shaam mukadder ki baat hai. 

maine dhundha hai mere yaar ko un bhoole-bisre vaadon mein.

un sapno mein, un lamhon mein, un yaadon mein, un baaton mein,
maine dhundha hai mere yaar ko un bhoole-bisre vaadon mein.

iss dharti mein, us ambar mein, in barish ki boondon mein,
maine dhundha hai mere yaar ko sagar ki uthti lahron mein.

iss dhadakte dil ki dhadkano mein, in saanson ki gahraion mein,
maine dhundha hai mere yaar ko apni hi parchai mein.

inn bante bigadte rishton mein, inn uthte girte jazbaaton mein,
maine dhundha hai mere yaar ko apne haathon ki lakiron mein.

chand ki tannhai mein, taaron ki angdaayi mein,
maine dhundha hai mere yaar ko apni har duaon mein. 

meri tanhaai ka aalam bhi sabse niraala hai

meri tanhaai ka aalam bhi hai niraala sabse,
maine to khawab mein bhi khud ko tanha paaya.

hum apni hi samhadi mein tahalte rahe

teri thokaron se sambhalte rahe,
ashk aankhon mein machalte rahe,

tune lagayi thi dil mein ishq ki aag,
kambakht tab se ussi mein jalte rahe,

apne dil ke tukdon ko chun kar,
unhein kadmon tale kuchalte rahe,

hum bhi wahi hain, dil bhi wahi hai,
bas mehbub hi unke badal rahe,

tere bin kahaan jiya hai tera raaj,
bas apni hi samhadi mein tahalte rahe,

jism-e-haalaat kya bayaan karein hum,
tere bin maut ke daaman mein palte rahe,

ashk aankhon mein machalte rahe,
bas apni hi samhadi mein tahalte rahe.

gila shikwa hi kar daalo ke kuch waqt katt jaye

gila shikwa hi kar daalo ke kuch waqt katt jaye,
labon pe aap ke yeh khamoshi aachi nahi lagti.

aise main kahon tum mere ho

raat ka andhiyara ho,
har pal teri yaad ka nazara ho,
dil ne phir toot ke tujhko pukara ho,
aise main kahon tum mere ho...

zakhamon se dard rista ho,
jab aankhon mein ashk bilkhata ho,
sanso ki sar-gum madham ho,
aise main kahon tum mere ho...

yaandon ke bhanwar ghulte ho,
shabdon ke khanjar chubhate ho,
jab har baat teri rulati ho,
aise main kahon tum mere ho...

mana ab nahi tum mere ho,
par meri yaadon mein kaho tum mere ho,
ek baar kaho tum mere ho,
bas ek baar kaho tum mere ho... 

gaye waqt ko phir se bulana chahta hoon

main pichhli zindagi mein laut jana chahta hoon,
haan gaye waqt ko phir se bulana chahta hoon,

nigahein pher li tumne apni shaadi ke baad,
aur ab to main bhi tumhein bhool jana chahta hoon,

mujhe kya bhula ke gair ho gayi ho tum,
main tumhein aaj bhi pehle hi jitna chahta hoon,

barda taklif hai tumhein khone ka khuda ki kasam,
sach puchho main tumhein ab bhi pana chahta hoon,

bahut sata rahi hai zindagi mujhe tere bina,
aa paas aa.. teri bahon mein marna chahta hoon,

na karne de mujhe aaraam, teri yaad kahin,
main iss duniya se bahut door jana chahta hoon,

kayi din kayi raaton se main soya nahi hoon,
ab teri goud mein ser rakhker sona chahta hoon,

hasrat -o- armaan sab dil ke mitana chahta hoon. 

tumhe bhulaane ki koshish to bahot ki thi humne

yaadein zakham bankar dil mein reh gayi varna,
tumhe bhulaane ki koshish to bahot ki thi humne,

antim lafaz bankar dil par chhap si gayi hain teri baatein varna,
unhein mitaane ki koshish to bahot ki thi humne,

tumhaari yaad ki gehraai thi, koi kachha rang naa tha,
jo koshish karne par dhull jaata varna,
uss rang ko chudaane ki koshish to 
bahot ki thi humne,

teri yaad mein rone se fursat nahin milti varna,
muskurane ki koshish to 
bahot ki thi humne,

yaadein zakham bankar dil mein reh gayi varna,
tumhein bhulane ki koshish to bahot ki thi humne..

woh boli tumhari har baat peheli hai

woh boli mere baad kis ko chahoge,
main bola kisi  ko chaah kar bhoolna gunnah hai,

woh boli kitne badal gaye ho tum,
main bola bahar hamesha raha nahi karta,

woh boli bahot khush hoge tum apni zindagi se,
main bola zindagi kise aziz nahi.

woh boli ab bhi jalate ho chirag,
main bola roshni mujh se khafa hai,

woh boli kabi zindagi ko dekha hai,
main bola meri aankhon mein dekh sakti ho,

woh boli mujhe ab chord kyun nahi dete,
main bola maut mujh se roth gayi hai,

woh boli mujh se aaj bhi bahot pyaar karte ho,
main bola dard kabhi bhi wafa nahi hota,

woh boli ab kahan guzarte ho sham,
main bola kya shamein ab bhi hoti hai?

woh boli tumhari har baat peheli hai,
main bola zindagi naam issi ka hai.

jo tum hote jeenvan saathi humaare

jo tum hote jeevan saathi humare,
kitne sundar hote yeh din rein humhare...

ek dusare ki bahon mein khoya rahata,
jeevan ka andhiyara,
aankhon se aankhein mil jaate,
prem ki bhasa sab pard jaate,
saanso mein saanse kho jaate,
jeevan ki bagiyaa mein mehkate phool saare,
jo tum hote jeevan saathi hamare...

dhardkan se dhardkan mil jaate,
rom-rom mein bijali si doud jaati,
tu shabnam se shola ho jaati,
madhoshi ke alam mein beetate,
bas din rein humahre,
jo tum hote jeevan saathi hamare...

kabhi ruthate, kabhi mannate,
kabhi yun hi sote se tujhe jaagate,
tere hoton ki madhusala apne adharo se pee jaate,
teri kesuon ke ghere chaao mein,
bas thak kar hum so jaate,
aankho mein khilte sukhad swapan humare,
jo tum hote jeevan saathi hamare...

main ban jaata vishwas tumahra,
tum ban jaate aas humaari,
apnepan ki muskarhat se beetate jaate din rein humaare,
jo tum hote jeenvan saathi humaare... 

aasmaan rang badalta rehta hai

aasmaan rang badalta rehta hai,
koi rota aur koi hansta rehta hai,

ek diya hai tumhari yaadon kaa,
jo hawaa se ulajhta rehta hai.

ghum ki kali raat mein jeena padta hai,
aashkon ki barsaat mein jeena padta hai,

kya hoti hai dil ki haalat mat puchho,
jab mushkil haalat mein jeena padta hai.

wakt ki kaid mein aa jaaye jab zikar tera,
lamhon ki khairat mein jeena padta hai.

bichard kar bhi kyun mujhko khud se bichardne nahi dete

jeene bhi nahi dete aur marrne bhi nahi dete,
bichard kar bhi kyun mujhko, 
khud se bichardne nahi dete? 

waqat ke sang sang kyun mujhko chalne nahi dete,
beet chuka hai jo sab kuch, kyun usko beetane nahi dete?

hath hai khali aur yeh dil zakhamon se bhara,
rulate ho khud hi mujhko aur phir rone bhi nahi dete.

jeene bhi nahi dete aur marrne bhi nahi dete,
bichard kar bhi kyun mujhko, khud se bichardne nahi dete? 

in yaandon ke karan hi aaj bhi dil bhar aaya hai

kis baat par rota hai, kis baat par sisskata hai,
na jaane kya kho kar yeh machalata hai,

jo hai pas mere woh aaj bhi bahoot kam hai,
mera khud ka dil, mujhe lagta bahot sangdil hai,

jeewan mein jo paya tha, woh hi to khoya hai,
phir dil ko kya dukh hai, kis baat par aaj roya hai?

jo milte hain, jab woh bichard jaate hain,
kis liye apni yaadein aise chord jaate hain?

in yaandon ne hi to, iss dil ko sataya hai,
in yaandon ke karan hi, aaj bhi dil bhar aaya hai. 

dil ko humne samjhaya tha

dil ko humne samjhaya tha,
khawab mein tha..
kuch samjh na paaya tha.

khawab ko samjhaya tha,
dil tha chanchal..
khawab ne dil ka sath nibhaya tha.

dil ne khawab par kar bharosa,
zindagi se fareb khaya..
toota dil toota khawab
fareb bahoot muskuraya tha.

zindagi ki yahi kahani
na jaane, dil ne kitani baar dohari tha.

dil ne diya sath, khawabon ka
fareb se zindagi ne har baar maat khaya tha.

lardte hain teri yaadon se tujhko bhulane ko

lo mil gaya zakham umar bhar rulane ko,
shukaria tera, mera sath chord jaane ko,

toote sapne, toota dil, rishta bhi toot gaya,
soch raha hoon, kya rah gaya, ab jeevan beetane ko?

yaadon ke yeh saaye, kyun rah jaate hain,
til-til armaano ko iss kadar tardpaane ko?

din mein hosh nahi, raaton ko nind nahi,
lardte hain teri yaadon se, tujhko bhulane ko,

lo mil gaya zakham umar bhar rulane ko,
shukaria tera, mera sath chord jaane ko. 

dil tujh se lagane ki saza paayi hai

dil tujh se lagane ki saza paayi hai,
charo taraf sirf tanhai hi tanhai hai,

barso ki preet ki yeh keemat tune chukai hai,
sadak par neelam huhyi meri rihaai hai,

mann mein tardap, tann par zakham, aankh meri bhar aayi hai,
ek hi baat aaiy hai mann mein,
aakhir kyun uss haiwaan ne insaan ki shakal payi hai?

jai mahakaal

aadi hai, anant hai, woh kaal ka bhi kaal hai, 
somya hai utna hi, woh jitna ki vikraal hai.

sish jatta-jut se prasphoothit hai gangotri,
lep hai bhasm ka aur vastra hai digambri, 

aur aabhusano ke naam pe bas saapon ka jaal hai, 
aadi hai, anant hai, woh kaal ka bhi kaal hai.

kailash pe aashin jo, nishchal aur achal, 
lok hai jiska kahi, himgiri sam atal, 
patr ke roop mein sushojit kapaal hai, 
aadi hai, anant hai, woh kaal ka bhi kaal hai.

khojte manik sabhi jab manthan ki loot mein,
yogi sara pee gaye, vish ek hi ghhut mein,
kant neelkant woh, chandra sushobhit bhal hai, 

aadi hai, anant hai, woh kaal ka bhi kaal hai.

damru ki dhun mein mast, ganga ki dhar le,
jise sab tyaag de, usko bhi sweekar le, 
bhola hriday jiska, par nainyon mein jwaala hai, 
aadi hai, anant hai, woh kaal ka bhi kaal hai.

grihast bhi, vairaag bhi, woh devo ke dev hain, 
bramhand ke niyata, jo syam mahadev hain, 
aadi hai, anant hai, woh kaal ka bhi kaal hai...

bhasma hi satya aur satya hi shiv hai,
bhola bhi shiv aur shiv hi rudra hai,
devo ke hitkaari, yeh ashuron ke bhi east hain,

aadi hai, anant hai, woh kaal ka bhi kaal hai...

shiv hai vishwesar aur anishwar bhi shiv hain,
nathon ke nath, gananath bhi shiv hain,
koi sath ho na ho par sath mere shiv hain..


!! Jai Mahakaal !
!! Har Har Mahadev......!!

ek raaj na badla, ek mahadev na badle

manzilein bhi badle, rasthe bhi badle,
zindagi bhi badli, hakkdar bhi badle,

taarikhein bhi badli, saal bhi badla,
khwaishein bhi badli, kirdaar bhi badla,

rituein bhi badli, marham bhi badla,
shoharat ke rang bhi badle, ranjh bhi badla,

hukumat ne nakab bhi badla, algaaw bhi badla,
aawam ne taaz bhi badla, kalam bhi badla,

girra bhi, utta bhi, par rabb na badla,
chhupaya kitna bhi, par rabb na badla,

roya bhi, hansa bhi, par chitt na badla,
badlaw ke iss dour mein, sab badle,
ek raaj na badla, ek mahadev na badle!


!! har har mahadev !!

khud hi khud ka dil ab torda karte hain

khwabon ko bana bana kar torda karte hain,
khud hi khud ka dil ab torda karte hain,

zakham khate rahe hain itne barso tujhse,
zakham khane ki ab aadat ko piroya karte hain,

har kisi ka ghum kyun lagta hai apna,
har ek ke ghum par, ab roya karte hain,

dard sehna hai ban gaya hakikat ab meri,
bahano se khud ko dard diya karte hain,

do din bhi na roye agar yeh aankhiyan,
phir yaad tujhko kar roya karte hain,

jaane wala chala gaya chord kar kuch zakham,
unhi zakhmon se aur zakhmon ko paaya karte hain,

khwabon ko bana bana kar torha karte hain,
khud hi khud ka dil ab torda karte hain. 

tannha safar ke raahi ka yeh akhiri salaam sabko

chalta hoon mehfil se, yeh aakhiri salaam sabko,
tannha safar ke raahi ka yeh akhiri salaam sabko,

nirasha naa hansi, naa ghum hai naa hai khushi,
ranj-o-ghum se ajnabi yeh aakhiri paigam sabko,

kyun yeh badal meri aankhon mein sama rahe,
bhojhil nazron se behta yeh aakhiri jaam sabko,

mere wajood ki kahani kabhi gaayi naa jayegi abb,
shayad kisi ko yaad rahe yeh aakhiri naam sabko,

naa kalam ki kadra na kisike umeedon pe khada,
bhoola dena mujhe, diya yeh aakhiri kaam sabko,

khatm hui aaj dastan-e-saccha pyar yaaron,
uttar bojh kandho se diya, yeh aakhiri inaam sabko,

chalta hoon mehfil se yeh aakhiri salaam sabko,
tannha safar ke rahi ka yeh aakhiri salaam sabko. 

never say you don’t like her

never give up if you still want to try,
never wipe your tears if you still want to cry,
never settle for the answer if you still want to know,
never say you don’t like her if you can’t let her go...

tum par mera kya hakk hai

jab jo bhi tumne kaha, maine mana,
kuch to sunna ne ka mujh ko bhi hakk hai.
teri chuppi ke sannate ko dil se nawaza,
kuch to sissak ne ka mujh ko bhi hakk hai.

tere intezaar ka jo diya maine jalaya,
uski law mein jala ne ka mujh ko bhi hakk hai.
na jaane kya hua teri iss duniyan mein,
apne ghumo ki duniya mein rahne ka mujh ko bhi hakk hai.

wafa khud ki kismet mein shayad likhi nahi,
khud ki kisamt par mera kya bas hai.
apno ki baaton mein akar dil mera jo dukhaya,
tumhe maff kya karu.. tum par mera kya hakk hai. 

pal pal woh pal main yaad karu

dosh du kisko?
apni hi soch ka dosh hai,

nahi woh pass mere,
mujh ko nahi koi hosh hai,

pal pal woh pal yaad karu,
anshu ka sirf sath hai,

hath mein nahi woh hath,
kuch nahi mere pass hai,

tardap dil ki kaise main bayan karu,
marr hi na jaau kahin, 
kasie yah baat kahu,

tardap dil ki sulagati hi jaati hai,
raah koi iss dil ko nazar nahi aati hai,

nai subah ko kaise main salam du,
beetati nahi yeh raat, kaise koi raah karu,

pal pal woh pal main yaad karu,
anshu ka hai sirf sath
aur aaj kaa baat karu? 

All Time's Favourite Posts