ab yaadon ka kaarwan aur likha nahi jaata

likhne ko ab tak bohut kuch hai likha,
par ab yaadon ka kaarwan aur likha nahi jaata,

kat-ti dhoop bhi hai aur judaai bhi,
bas ek saawan ka mausam gujara nahi jaata,

mat soch aye-dil un beeti baaton ko,
waqt ka ek bhi lamha kabhi laut kar nahi aata,

aate aate palko mein sukh hi jaate hain aanshu,
par dard se nikli aah koi us tak nahi pahunchata,

yun to khade hain hum iss aur saahil par magar,
koi lehar mujhe baha le jaaye aisa tufaan bhi nahi aata,

thak gaya hoon aaj khud se lardte lardte,
na jaane yeh aaj mayuish ka daur thehar kyu nahi jaata.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts