khud ko mitaaye rakha hai

jaane kab se maine apne dil mein,
dard chupaaye rakha hai,
sheeshon ke sagar mein,
ek swapan mehal basaaye rakha hai,

aur saagar ki ret par,
tera aaskk banaaye rakha hai,
tum aao kabhi mujh se milne uss sagar mein,
maine tumhari yaad mein,
palkon ko bichaye rakha hai,


din ke ujaale mein,
raat ki tanhaaiyon mein,
har lamha har pal maine,
mohabbat ki shamma ko jalaye rakha hai,

bas ek kayamat ki der hai warna to maine,
kabse teri mohobaat mein,
khud ko mitaaye rakha hai.

aaja aaja ab to aaja

ab na tera sath hai, na tu mere paas hai,
dil tardapta hai mera, raat rooi saath hai,

aaja sanam lout ke tu, sunle ye fariyaad hai,
chandni tu hi batla de kitni kali raat hai,

aa mere ghar mein gull khila de,
mere sanam aa bhi jaa,
aaja aaja ab to aaja,
aankhiyo me aayi barsaat hai,

tere bin ye chandni bhi, abb andheri raat hai,
aaja pas mere sanam, keh rahi har saans hai,

aake mujh ko tu hansa de, hassi to tere sath hai,
“raaj“ kyun tu fariyaad karta hai,
woh to patthar zaat hai.

mujh pe bharosa nahi unhein

mujh se gile hai, mujh pe bharosa nahi unhein,
yeh soch kar hum ne bhi to roka nahi unhein..!

woh shakhs kabhi chaand sitaron se yeh poochhe,
hain kaun si woh raat jab socha nahi unhein..!

alfaaz teer ban ke utarte rahe dil me,
sunte rahe chup chaap hum, kabhi toka nahi unhein..!

yeh mohabbat nahin usool-e-wafa hai,
hum jaan to denge, magar dhoka nahi tumhein..!

mohabbat se wo dekhte hain sabhi ko

mohabbat se wo dekhte hain sabhi ko,
bas hum par hi kabhi ye inayat nahi hoti,
main to ek sheesha hoon, tutna meri fitrat hai,
esliye mujhe pattharo se koi sikayat nahi hoti...

aye dil tujhe samjhau kaise

tu hi bata aye dil tujhe samjhau kaise,
jisse chahata hai tu usse nazdik lau kaise,

yun to har tamanna, har ehsaas hai wo mera,
magar us bereham ko, ye ehsaas dikhau kaise…

aakhir kyu ussi ko mil naa sakaa

mein woh insaan hun jo phool, phal, or chaaun, dekar bhi,
hawa, tufan, sardi, garmi, khaamosh dil pe sehta gaya,

mein diya hoon woh jo tez hawaaon se roz lard kar bhi,
dekh jalte parwaane ko ishq ki aag mein jo jalta gaya,

mein wo sahil hoon badnasib jo samndar ke paas rehkar bhi,
apni hoton se zindgi bhar kabhi bhi, jo kabhi mil na saka,

mein wo bhanwra hoon jo bana ke, kalli ko phool chamaan,
khushboo phoolon ki ked akhir kyu mein kar naa sakaa,

yeh reet duniyaa hai jise bhi dil chahe bahut,
woh hi insaan aakhir kyu ussi ko mil naa sakaa.

kaise koi ajnabi apna ban jata hai

kaise koi ajnabi apna ban jata hai,
ek pal ka saath aapka dil choo jata hai,
jaane ke baad aapka yeh pal bohut yaad aata hai,
dil na jane kyu samajh nahi pata hai,
kaise koi ajnabi apna ban jata hai...

dhadkano me hich-kichahaat si hoti hai,
tanha akele jab uski yaad aati hai,
iss veerane dil me aahat si hoti hai...

jab bi dhoonda humne aashiyana ashiquie ka…
aankho me aashko ki barsaat si hoti hai….!!

kissa mohabbat ka phir se jawaan kar do

bas ek choti si haan ker do,
hamare naam is tarha sara jahan kar do,

wo mohabbtain jo tumare dil me hain,
un ko zuban par lao or bayan kar do,

aaj bas aap kaho or kehte hi jaao,
hum bas sunte rahe, aisa be-zuban kar do,

wahi purani dastan heer ranjha ki,
kissa mohabbat ka phir se jawaan kar do,

aa-jao ke aisa toot ker chahon tumhein,
hamari mohabat ko mohabbat ka nishan kar do,

apne dil me is tarha chupa lo mujhko,
rahon humesha issi me, aisa mera makan kar do…!!!

hum is dil ko rok lete hain

yaad aati hai to hum is dil ko rok lete hain,
aanchal na mile to ashk haathon se ponch lete hain,

marham na mila to zakhmon ko bahne dete hain,
dard dil me rakh kar dhadkan ko sahne dete hain,

machle jazbaat to yeh dil ka dosh hi hoga,
aapki yaad me aaj fir koi khamosh hoga,

yaad karte hain tumhe har saans ke aane jaane pe,
sunte hain aapki hasi har kisi ke muskuraane pe,

aati hai aahat tumhari kisi ke bhi paas aane pe,
par hum kuch nahi kahte logo ke ilzaam lagane pe,

aapke na milne pe bhi yeh zindgi ko jee lenge,
har zakhm duniya ke hum has ke bhi see lenge,

saans aate saans jaate yaad bas tu aayegi,
saanson se saanson ki yeh dhun saans me gun-gunaayegi ..

rook naa mujhe aaj koi

uske khushi ke pal wo sunane to do,
rook naa mujhe aaj koi,
tere jagaye armaano ko sulane to do,
aashkon ka samandar mujhe bahane to do,

roko naa mujhe aaj koi,
uss samandar mein mujhko dubane to do,
usse muskura ke ek baar sarmane to do,

roko naa mujhe aaj koi,
iss ada pe aaj phir marr jane to do,
khud ko aaj mujhe aazmane to do,

roko naa usse aaj koi,
usse abhi mujhe thoda aur satane to do,
auron ko bhi usse deewana banana to do,

roko naa mujhe aaj koi,
apne ishq ki lash jalane to do,
meri raahon mein usse kaante bichane to do,

roko naa usse aaj koi,
issi bahane usse mere paas aane to do,
usse auron ki baahon mein ittrane to do,

roko naa mujhe aaj koi,
bahut roya, ab khud ko hasane to do,
ab khushi mein bhi usse gaane to do,

roko naa usse aaj koi,
mere khoon se holi manane to do,
mujhe bhula, khud ko usse tadpane to do,

roko naa mujhe aaj koi,
apni maut kaa jashan manane to do,
jo bhi chahiye use tum usko wo paane to do,

roko naa usse aaj koi,
uss kasak ko aaj ek aur ghayal kar jane to do.

tum saath nibhana kya jano

tum aag lagana sikh gaye, 
tum aag bujhana kya jano ,
tum dil ko jalana seekh gaye, 
tum dil ko lagana kya jano,

soo baar agar roothe ho to, 
hum tumko mana hi lete the,
ek baar agar hum rooth gaye, 
tum humko manana kya jano,

do kadam chale, phir chord diya... 
jo waade kiye woh tord diya ,
tum saathi badalte rehte ho, 
tum saath nibhana kya jano,

kabhi pyar karo to samjhoge, 

tum pyar me tardapna kya jano...

ki mehboob ke pass wafa hi nahi

sitaroon tum to so jaao, 
ki mehboob ke pass wafa hi nahi,
dhoondta hai tu khud ko kis ki nazar me,
jis ki nazar me tera koi mukaam hi nahi

pooch na koi sawal us be khabar se,
jis ka koi jawab hi nahi,

bana raha main sawali us ke dar pe,
sab kuch tha meri jholi me ek mohabbat hi nahi,

shikwa nahi mujhe koi kisi se,
shayed meri hi kismat me woh hamsafar hi nahi,

na pooch daastane ulfat kya hua aye raj,
sahta raha sitam us sitam gar ke tanha koi humdard hi nahi..

andhera hi andhera mila

raah takate huye dhal gayi zindagi,
par khushi na milli, dard behisab mila,

meri takkdeer me jo tune likha,
bas wahi to mila, phir karu kya gilla,

zindagi ki raaho me angaare bichaaye tune mere,
booye to maine phool the, phir shool kyu mila,

dhalta suraj bana ab jeewan mera,
kuch na chaaha kabhi, 

par andhera hi andhera mila...

woh saath do pal ka bhi nibha na sake

dil se door jinhein hum kar na sake,
paas bhi hum unhein paa na sake,
mita diya jisne pyaar humare dil se,
hum unka naam bhi likhkar mita na sake.

phulo ki khushbu, chandani raat ki rangat,
woh saath gujare pal hum bhoola na sake,

woh masum sa chehara,
chehare pe hanssi dekh kar,
hum unhein kabhi hal-e-dil suna na sake,

dosti pe jinki humne kiya tha bharosa,
woh saath do pal ka bhi nibha na sake,
ab kaise kar le yakeen kisi ki mohobbat par,
kyu ki hum aaj tak unka pyaar dil se mita na sake..

tum tak hi pahuch jaata hun main

har baar khud ko dhund ker, 
khud se milta hun main,

tum mille the kabhi jinn raahon me,
phir unhin raahon par kahi ruk naa jaaun,
ye soch ker unn raaho se,
tumhaare nishaan ko mitata hun main….

tum ab phir na miloge kabhi,
sath mera na dogge kabhi,
tum ab kahi nahi ho,
har baar ye soch ker,
khud ko batata hun main,
khud se khud ko samjhaata hun main….

jab kabhi koi khawaab sajjata hun main,
khud ko hi nahi ussme pata hun main,
har baar khud se hi haar jaata hun main,
haar baar khud se hi haar jaata hun main…

chalta hun… kisi bhi raah,
tum tak hi pahuch jaata hun main,
tum tak hi pahuch jaata hun main…!!

wo na milte to hi accha tha

kabhi baatein,
kabhi yaadein,
kabhi beeti mulakatein,
bahut kuch aata hai unke yaad aane se...

wo na milte to hi accha tha,
bekaar me mujhe mohabbat se nafrat ho gayi....

kis mord pe la ke chord diya

takdeer bata tune mujhko,
kis mord pe la ke chord diya,
ek mord tak to saath diya,
ek mord pe la ke patak diya.

khud pyar kiya,
khud thukraya,
fir pyar bhara dil tord diya,

ek mord pe aa ke mil bhi gaye,
ek mord pe aa ke bichhard diya,

us mord tak to saath diya,
iss mord pe la ke chord diya,
takdeer bata tune mujhko,
kis mord pe la ke chord diya...

sirf meri tanhaiye ne saath diya

jitne lamhein is zindagi ne khushi ki dekhi hai,
usme aap shaamil to ho lekin,
jitna intezaar baad main diya hai aapne,
usme sirf meri tanhaiye ne saath diya.

woh har pal aapki yaadoon main kho jana,
barda hi rangein nasha tha lekin,
jitne gham baad mein diya hain aapne,
usme sirf mere aanhsoo ne saath diya.

milgaya tha humsafar mujhe,
umeed thi saath nibhane ki lekin,
jin andheron main saath chalda tha aapne,
usme sirf meri bebasi ne saath diya,

woh apke pyar main ji lena,
lagta tha yehi zindagi hai lekin,
jo bewafai baad main di hai aapne,
usme sirf meri maut ne saath diya

andhera hi andhera mila

raah takate huye dhal gayi zindagi,
par khushi na milli, dard behisab mila,

meri takkdeer me jo tune likha,
bas wahi to mila, phir karu kya gilla,

zindagi ki raaho me angaare bichaaye tune mere,
booye to maine phool the, phir shool kyu mila,

dhalta suraj bana ab jeewan mera,
kuch na chaaha kabhi, 

par andhera hi andhera mila...

yaadein

mohabbat ka teri ek yahi to sila hai,
tujhe yaad kar ke mera dil hi jala hai,
yaadon ko teri bhala kaise bhula du.?
sab kuch luta kar ek yahi to mila hai….!!

mere kismat me sachi chaahat hi nahi

mujhe aapse koi shikayat ab nahi,
shayad mere kismat me sachi chaahat hi nahi.
meri takdeer ko likh kar to bhagwan bhi mukar gaye,
jo hum unse puchhein to bolate hain ki ye meri likhawat hi nahi...

meri takdir hi mujhe bewafa milegi

ek hasrat thi ki unke dil me panah milegi,
kya pata tha unse mohabbat ki saja milegi,
na apno ne samjha na giaron ne jaana,
kya pata tha meri takdir hi mujhe bewafa milegi...

marzi sirf tumhaari hai

chaaho to chord do, 
chaaho to nibbha lo,
mohabbat to hamari hai, 
par marzi sirf tumhaari hai..

maine chaha bhi kya tha

wo nadan kabhi samajh hi na saki,
meri mohabbat ko... aye khuda....

warna..

maine chaha bhi kya tha usse....?
sirf uske siwa..

iss duniya ki bheed me koi apna nahi milta

roti ye zamin bhi hai,
rota ye aashman bhi hai,
par ye aur baat hai ki,
unki koi sadaa nahi sunta..

bichardna unse bhi tha,
bichardna uss khuda se bhi hai,
par ye aur baat hai ki
bichard kar phir koi jahan nahi milta..

mumkin hai iss jahan me,
har koi yaha pyaar kare,
par ye aur baat hai ki,
kuch ko sachha pyaar nahi milta..

yun to mumkin hai ki
har sagar me tufaan utthe,
par ye aur baat hai ki,
har lehar ko uska sahil nahi milta..

main khada hoon aaj bhi ussi raah par
ye aur baat hai ki,
meri raah se abhi unka raashta nahi milta..

aaj bhi ummeed hai ki,
kahi to koi apna mile,
yeh aur baat hai ki,
iss duniya ki bheed me koi apna nahi milta..

ab usse kabhi hum na mile

usne chaha ke usse hum na mile,
hum ne chaha ke usse kabhi gum na mile,

agar khushi milti hai..
usse hum se juda rah kar to,

yahi dua karenge ke,
ab usse kabhi hum na mile..

unki mohabbat ke abhi nishan baki hai

unki mohabbat ke abhi nishan baki hai,
naam lab par hai aur jaan baki hai,
kya hua agar wo dekh kar muh pher lete hain,
ye tasalli to hai ki unhein hamari pahchan baki hai..!!

khud ko itna badal lenge ek din

hum bhi khud ko itna badal lenge ek din,
ki log tarash jaayenge humein pehle jaisa dekhne ke liye..

naseeb ke khel

naseeb ke khel ko bhi ajeeb tarah se khela hai hum ne,
jo na the naseeb me ussi ko toot kar chah baithe...!!!

abhi chord gaye apne

kabhi haar gayi takdeer, to kabhi toot gayee sapne,
kabhi gayiron ne barbaad kiya, to kabhi chord gaye apne !

khamoshi

ek khamoshi bekrar kar jaati hai,
ek khamoshi ikarar ban jaati hai,
agar pyar karo to kabhi khamosh mat rehna......

kyoki, kabhi sirf ek khamoshi,
zindgi bhar ka intezaar ban jaati hai....

ab jate jate zindagi bhi ro parda

mili pyar kerne ki saza aisi ke raj ro parda,
teri talash mein aye zalim halat bhi ro parda,

tujhe toot kar chaha aur itna chaha,
teri wafaa ki khatir wafa bhi ro parda,

mera naseeb, meri kismat, mera mukadar bane tu,
tujhe maangte maangte dua bhi ro parda,

kitab-e-dil mein mere jab tujh pe likhna suru kiya,
khatam karte karte kitaab bhi ro parda,

tujhe mangte mangte dekha jab khuda ne,
mujho tardapta dekh, wo khuda bhi ro parda,

meri barbaadi ka kissa jisne bhi suna,
sunte sunte wo bhi ro parda,

tere liye marte dekha zindagi ne,
ab jate jate zindagi bhi ro parda..

bas hassi doondhate hain

tannha raahein ya ki,
jab ho kisi ka saath,
kush rang shamaa ya ki,
sooni ho meri raat,

ab poocho mat kya haal hai,
mera tumhaare bagair..
bas hassi doondhate hain,
jab khaas ho teri baat.

roo raha hun main

aap to kehte the ki,
mujhe kabhi rone nahi denge,

aaj main khoon ke aansu ro raha hun,
aap mere aanshu poochti kyu nahi...!!

kab tak tera intezaar karun

tujh se roo-ba-roo hokar baatein karun,
nigahein mila kar wafa ke waade karun,

thaam kar tera hath baithu tere samne,
teri haseen surat ke main nazare karu,

sharma kar nazaro se tera kuch chupke keh jana,
teri nigahon ke wo ishare samjhoo,
teri har ek adda par kar doo kayi shayari,
har laffz me waffa ke daawe karu,

sambhale nahi sambhalti ‘jaana’ ye dil ki tadap,
tu hi bata main kab tak yun aahein bharu, kab tak tera intezaar karun..

allfaz bagawat ker baithe

maine thaan liya tha ki,
ab aur shaayari nahi likhenge,
par unhone dard hi kuch aisa diya ki,
allfaz bagawat ker baithe...

How people replace us from their life..??

How people replace us from their life..??
One day we are everything,
the next day we are nothing....

Some day they pray to get us,
And another day they regret to love us...

Time changes... Views change... People change...
It hurts, but it happens...!

cheen lo ye saansein meri

tum chaho to cheen lo ye saansein meri,
magar naa cheen sakoge dil se yaadon ko.

wo to saaf mukaar gaye

mere seher me kuch aise bhi log mile jo dil me uttar gaye,
aur kuch aise bhi mile jo dil se uttar gaye,
muskil me thama haath anjaano logo ne,
jo humse pyar kerte the,

wo to saaf mukaar gaye...

badi hi jatan se palla hai maa ne

badi hi jatan se palla hai maa ne,
har ek mushkil ko talla hai maa ne,
ungli pakad kar chalna sikhaya,
jab bhi girra to samhala hai maa ne.

chaaro taraf se humko the ghere,
zaalim bade the mann ke andhere,
baithe huye the sab muh phere,

ek maa hi hai deepak mere jeewan mein,
andhakar mein dube huye the hum,
kisa aise mein ujjala hai meri maa ne.

milega na duniya mein maa sa koi,
meri aakhein badi to woh sath rooyi,
bina uski loori ke na aati thi nindiya,
jaadu sa kar dala hai maa ne.

badi hi jatan se palla hai maa ne,
har ek mushkil ko talla hai maa ne.



बड़ी ही जतन से पाला है माँ ने,
हर एक मुश्किल को टाला है माँ ने,
उंगली पकड़कर चलना सिखाया,
जब भी गिरे तो संभाला है माँ ने |

चारों तरफ से हमको थे घेरे,
जालिम बड़े थे मन के अंधेरे,
बैठे हुए थे सब मुंह फेरे,

एक माँ ही है दीपक मेरे जीवन में,
अंधकार में डूबे हुए थे हम,
किया ऐसे में उजाला है माँ ने |

मिलेगा ना दुनिया में माँ सा कोई,
मेरी आंखें बड़ी तो वो साथ रोई,
बिना उसकी लोरी के न आती थी निंदिया,
जादू सा कर डाला है माँ ने |

बड़ी ही जतन से पाला है माँ ने,
हर एक मुश्किल को टाला है माँ ने |
teri ek hassi pe ye dil kurbaan kar jau,
aitraaz na ho agar to tera dil chura le jau,
na behne du kabhi in aankho se aanshu,
tu kahe to tere saare sitam main le jau.

hassta hua rakhu tere labo ko hamesha,
chhu kar jinhe woh pyaari muskaan de jau,
dil se laga ke rakhu tumhein,
dar bhi lagta hai kahi tujhme kho jau.

sunta hi rahu tumhari dhadkano ko,
aur apne dil ki har baat kah jau,
gum ko kabhi kareeb na aane du,
aur tumhein zindagi ki khushiya tamaam de jau..

main kyon yaha akela reh gaya?

manzile bhi teri thi aur rasta bhi tera tha,
ek tera pyar pa lu bas yahi sapna mera tha,

ek main akela reh gaya aur poora jaha bhi tera tha,
mere sath rehne ki kasam bhi teri thi,

fir akele chhord jane ka khayal bhi tera tha,
hatho me hath lekar mujhe hasane ki soch bhi teri thi,

meri aankho mein aanshoo dene ka sil-sila bhi tera tha,
main kyon yaha akela reh gaya?

mera dil sawal karta hai,
kismat to teri thi, kya khuda bhi tera tha,

tabhi dil ne kaha mujhse ki…

usse pyar banane ki galti bhi teri thi,
uss par yakeen karne ka khayal bhi tera tha,

usse kyon gum hoga tere jane ka?
kyonki sacha pyar uska nahi, sacha pyar to sirf tera tha.


ek baat suno kuch yun hua

ek baat suno kuch yun hua..

wo mujse mili, main usse mila,
ikraar hua, izhaar hua,

mujhe pyar bahut, usse pyaar hua,

fir yun hua,
wo chord gayi, main tanha raha,
na pyar raha, na izhaar raha...

kis roz bichard jaana hai ye kaun jaanata hai

kis hahd tak jaana hai ye kaun janata hai,
kis manzil ko paana hai ye kaun jaanata hai,

do pal jo mille to jee bhar ke jee lo,
kis roz bichard jaana hai ye kaun jaanata hai..

ek baat suno kuch yun hua

ek baat suno kuch yun hua..

wo mujse mili, main usse mila,
ikraar hua, izhaar hua,

mujhe pyar bahut, usse pyaar hua,

fir yun hua,
wo chord gayi, main tanha raha,
na pyar raha, na izhaar raha...

yaadon se khudh ko churdana aasan nahi hai

ruthe walo ko manana aasan nahi hai,
dil laga kar bhul jana aasan nahi hai,
yaadein to har waqt zinda rehti hai,
in yaadon se khudh ko churdana aasan nahi hai,

sab kuch likha hai us khuda ne hamara,
apni marji se maut ko panna aasan nahi hai,
jene ko to jee leghe har haal me lekin,
tere bina zindagi bitana aasan nahi hai....

bhool jate tumhein

hamari rooh me na samaye hote to bhool jate tumhein,
itna kareeb na aaye hote to bhool jate tumhein,


ye kahte huye ki mera rishta nahin tumse ab koi,
ankhon me mere aanshu na aaye hote to bhool jate tumhein.

ye na soch ki mera dil dukhata nahi

khaamosh hoon sirf aapki khusi ke liye,
ye na soch ki mera dil dukhata nahi..

kab tak reh paoge door hum se

kab tak reh paoge aakhir yun door hum se,
milna pardega aakhir kabhi jarur hum se,

nazre churane wale ye berukhi hai kaisi,
keh do agar hua hai koi kasoor hum se,

gar hum cheen loon tumse ye jashan-e-aazadi,
tum mangte reh jaoge apna garoor hum se,

agar samajh hi nahi paye ho to jaan lo ye ab,
hai fiza mein mohabbat ka sara dastoor hum se,

kab tak bacha paoge khud ko wafa ki raah se,
chale aaoge is raah mein aisa hai suroor hum se,

ek baar aajaoge agar jahan-e-wafa mein tum,
kho hi jaoge aisa hai chasm-e-baddur hum se.

meri kasam hai jeena hoga

unhein nafrat thi humse,
toh izhaar kyun kiya,

dena tha zehar to pyar kyu kiya,

de kar zehar bole peena hoga,
jab pee gaye to bole..

tumhein meri kasam hai...
jeena hoga

khuda se aaj phir mujhe rushwai hai

khuda se aaj phir mujhe rushwai hai,
kismat se apni huyi lardai hai,
meri taqdeer me sirf tanhai hai,
khushiyon ne li hamesha ke liye vidayi hai...

ab wo khus hain

maine to maangi thi duaao me khuda se khusi unke liye,
aur khuda ne unse mujhse judaa ker ke keha ki ab wo khus hai...

kitna akela hoon is jahan me

kitna akela hoon is jahan me ,
bikhar raha hoon apni yaadon me,

apne aanshoo ko is duniya se kaise chupaon,
humesa nikalte hain aankho se raat me,

aye hawa ab na laana kabhi unka paigam,
usko bhulaane me laga hoon andheri raaton me,

jaane meri saans ab ruke na ruke....

All Time's Favourite Posts