roti ye zamin bhi hai,
rota ye aashman bhi hai,
par ye aur baat hai ki,
unki koi sadaa nahi sunta..
bichardna unse bhi tha,
bichardna uss khuda se bhi hai,
par ye aur baat hai ki
bichard kar phir koi jahan nahi milta..
mumkin hai iss jahan me,
har koi yaha pyaar kare,
par ye aur baat hai ki,
kuch ko sachha pyaar nahi milta..
yun to mumkin hai ki
har sagar me tufaan utthe,
par ye aur baat hai ki,
har lehar ko uska sahil nahi milta..
main khada hoon aaj bhi ussi raah par
ye aur baat hai ki,
meri raah se abhi unka raashta nahi milta..
aaj bhi ummeed hai ki,
kahi to koi apna mile,
yeh aur baat hai ki,
iss duniya ki bheed me koi apna nahi milta..
rota ye aashman bhi hai,
par ye aur baat hai ki,
unki koi sadaa nahi sunta..
bichardna unse bhi tha,
bichardna uss khuda se bhi hai,
par ye aur baat hai ki
bichard kar phir koi jahan nahi milta..
mumkin hai iss jahan me,
har koi yaha pyaar kare,
par ye aur baat hai ki,
kuch ko sachha pyaar nahi milta..
yun to mumkin hai ki
har sagar me tufaan utthe,
par ye aur baat hai ki,
har lehar ko uska sahil nahi milta..
main khada hoon aaj bhi ussi raah par
ye aur baat hai ki,
meri raah se abhi unka raashta nahi milta..
aaj bhi ummeed hai ki,
kahi to koi apna mile,
yeh aur baat hai ki,
iss duniya ki bheed me koi apna nahi milta..
No comments:
Post a Comment