aakhir kyu ussi ko mil naa sakaa

mein woh insaan hun jo phool, phal, or chaaun, dekar bhi,
hawa, tufan, sardi, garmi, khaamosh dil pe sehta gaya,

mein diya hoon woh jo tez hawaaon se roz lard kar bhi,
dekh jalte parwaane ko ishq ki aag mein jo jalta gaya,

mein wo sahil hoon badnasib jo samndar ke paas rehkar bhi,
apni hoton se zindgi bhar kabhi bhi, jo kabhi mil na saka,

mein wo bhanwra hoon jo bana ke, kalli ko phool chamaan,
khushboo phoolon ki ked akhir kyu mein kar naa sakaa,

yeh reet duniyaa hai jise bhi dil chahe bahut,
woh hi insaan aakhir kyu ussi ko mil naa sakaa.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts