rook naa mujhe aaj koi

uske khushi ke pal wo sunane to do,
rook naa mujhe aaj koi,
tere jagaye armaano ko sulane to do,
aashkon ka samandar mujhe bahane to do,

roko naa mujhe aaj koi,
uss samandar mein mujhko dubane to do,
usse muskura ke ek baar sarmane to do,

roko naa mujhe aaj koi,
iss ada pe aaj phir marr jane to do,
khud ko aaj mujhe aazmane to do,

roko naa usse aaj koi,
usse abhi mujhe thoda aur satane to do,
auron ko bhi usse deewana banana to do,

roko naa mujhe aaj koi,
apne ishq ki lash jalane to do,
meri raahon mein usse kaante bichane to do,

roko naa usse aaj koi,
issi bahane usse mere paas aane to do,
usse auron ki baahon mein ittrane to do,

roko naa mujhe aaj koi,
bahut roya, ab khud ko hasane to do,
ab khushi mein bhi usse gaane to do,

roko naa usse aaj koi,
mere khoon se holi manane to do,
mujhe bhula, khud ko usse tadpane to do,

roko naa mujhe aaj koi,
apni maut kaa jashan manane to do,
jo bhi chahiye use tum usko wo paane to do,

roko naa usse aaj koi,
uss kasak ko aaj ek aur ghayal kar jane to do.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts