farkk sirf itna hai

talash hai ek rooh ki jo mujhe dilse pyar kare,
warna jism to paiso se bhi mil jate hain....

sabhi insaan hain magar farkk sirf itna hai,
koi zakham deta hai to koi zakham bharta hai....

humsafar bahut hain magar farkk sirf itna hai,
koi saath deta hai to koi chord deta hai....

pyar sare karte hain magar farkk sirf itna hai,
koi jaan deta hai to koi jaan leta hai…..!!

magar tum nahi ho

sab kuch mere saath hai magar tum nahi ho,
wohi din wohi raat hai magar tum nahi ho,

wahi sham ki mehak, suraj wahi jaha tut the sitaare,
phir tanha meri haalat hai magar tum nahi ho,

pyaar ka mord jahan saath chorde gaye tum,
khoye wahin khyalaat hai magar tum nahi ho,

bardhti betaabi ye bekashi aur meri ye tanhai,
labon pe sirf teri baat hai magar tum nahi ho,

woh waqt jo guzrata tere hum raah kabhi,
ruke wahi lamhein hain magar tum paas nahi ho.

uss berahem ko mujh pe rahem aata nahi hai

dard hai ki mohabbat ka jata nahi hai,
us berahem ko mujh pe rahem aata nahi hai,

didaar-e-yaar ko hum tadapte rahe,
khuda bhi uska didaar karata nahi hai,

duwa ye aati hai honton pe bar bar,
maut aane se pahle bas ek bar,

mere mehboob ka didaar hojaye,
dil hai k koi aur khuwaab sajata nahi hai,

woh aayegi zaroor dil ye kahta hai,
ussi ki yaadon me khoya khoya ye rahta hai,

ab ruk ne ko hai ye saanse meri,
aur ye waqt hai ki dhreere chalta nahi hai,

dard hai ki mohabbat ka jata nahi hai,
uss berahem ko mujh pe rahem aata nahi hai....

dheer dheere ye ujjala mujhse door ja raha hai

dheer dheere ye ujjala mujhse door ja raha hai,
bus ab to yahi andhera mujhe pass bula raha hai,

ek ke baad ek har koi apna saath chhurda raha hai,
bus ek saaya hi hai jo ab mera saath nibha raha hai,

barso hue tujhse bichhde hue humko aye sanam,
par har hawaa ka jhoka mujhe aaj bhi teri yaad dila raha hai,

raj kahan is kaabil hai jo likh sake koi sher ya ghazal,
bus ye to tera khayal hai jo humse likhwa raha hai..

pyar karne walo ki saza hi kuch aur hai

tanhaiyon mein rone ka mazaa kuch aur hai,
dilon ke tootne ki wajah kuch aur hai,

na aanshu,
na maut,
na zindgi,

pyar karne walo ki saza hi kuch aur hai...!!!

haan mujhe woh rula gayi

sab kuch ek pal me badal gaya,
lagta hai sab kuch mujhse chhin gaya,
mila koi mujhe jo pyar karna sikha gayi,
par pyar ke naam par woh mujhe rula gayi.

rulaya bhi to aisa...
ki khud apna kandha bhi de gayi,
chaahat kya hai usne mujhe bataya,
or wahi pyar ka matlab puchne mere paas aa gayi.

dhokha sa lagta hai ab sab,
wafa ke naam par bewafa tarssa gayi,
vishwas kiya maine us par,
phir bhi usne kaha ki usse ab mujhse pyar nahi.

aye raahi..

agar mujhe tujh par vishwas na hota to,
tujhe apne kareeb to na aane deta,
pyar ke naam par yun dokha na khata.

kya bigarda tha maine tera,
jo mujhe is kadar majboor bana gayi,
kya kahoon kuch kaha bhi nahi jata,
teri yaado ka safar ab saha nahi jata.

sang dil sanam tune yeh kya kiya,
rulayi 
bhi aur kandha bhi kudh hi de gayi.
mila humsafar aisa jo pyar to karna sikha gayi
par pyar ke naam par bewafa rula gayi,
haan mujhe woh rula gayi...


deeya umeed ka palkon par jalaaya na karenge

ab hum kisi ki bhi tamannaa na karenge,
ab raah bhi kisi ki dekha na karenge,

mere dard se waakif na ho jaye mera saya,
ab is andhere dil me ujaala na karenge,

aakhen jali, rooh jali, dil jla, jism jala,
deeya umeed ka palkon par ab jalaaya na karenge...

wo sham thehar jayegi

sham ke sannate mein teri yaad mere dil ko tardapayegi,
teri khushboo ek pal ke liye mere dil mein utar jayegi,
wo sham thehar jayegi…

tere badan ke sparsh mehsoos karunga jab main,
meri ungliyaan tere balon ko sehlayegi,
wo sham thehar jayegi…

tere deedar ke liye tardap rahe hai din raat hum,
jab tu mere samne aa ke ek lamha muskurayegi,
wo sham thehar jayegi…

aarzu-e-dil poori kar de zalim meri,
aa ke jab tu mujhe apne sinne se lagayegi,
wo sham thehar jayegi…

mere dil-o-dhadkan mein tu hi tu hai,
teri julfon ki ghata jab mere aksh pe chayegi,
wo sham thehar jayegi…

sab chutata chala gaya

zimmedariyon ke dariya me dubta chala gaya,
zindagi ki chaah me main ubbta chala gaya,

dusro ki galtiyaan aur dusro ke faysaloon me,
apne askh ko sada main dhundata chala gaya,

apno ko nakaar ker dusro ki maan ker,
har ahem faiyshloon me chukta chala gaya,

sach ko yun hi daba ker gham ki sidhi charda,
rishta sachaayion se tutata chala gaya,

subah ke suraj sa main tez roshani tha,
iss tarah ye dariya dil sukhata chala gaya,

aakhiri ghadi me mera aakhiri ye faiysala,
sab sameet loon, par sab chutata chala gaya..

hum gumnaam galiyon me saffar kerte hain

ab hum bhi gumnaam galiyon me saffar kerte hain,
andhere me roshni ki umeed magar kerte hain,

anjaan musaafir se ab darne ki baat nahi,
peet par waar to apne humsafar kerte hain..

dhardkano se hoker gujarta hai tera naam

meri saasein sameet rakhti hai,
tere naam ko khud se...
har baar dhardkano se hoker,
gujarta hai tera naam..

phir se ek baar unhein pukaar kar dekhun

main apne aap se ek zang haar kar dekhun,
phir se ek baar unhein main pukaar kar dekhun,

wo waapis aaye ya na aaye ye marzi unki,
ek baar chaahat ka naseeb sawar kar dekhun,

unhein chahta rahun sirf unhein hi pyaar karun,
ek aur haalat se khud ko guzaar kar dekhun,

sirf dard hi hai mohabbat to phir kya hua,
toofan-e-ghum mein khud ko utaar kar dekhun,

mohabbat ka ujjda chaman hai ye dil mera,
phir se ek baar isse main ujjaard kar dekhun.

wo dusro ke sath bahut khus rahegi

kabhi kabhi hamein apne pyar ko bhoolna pardta hai,
ye soch ker ki wo dusro ke sath bahut khus rahegi..

tumne kabhi suna hi nahi

meri aankhein buhut kuch kehti thi,
tumne kabhi parda hi nahi,

mere ishare buhut kuch kehte hain,
tumne kabhi dekha hi nahi,

meri khamoshi buhut kuch kehti thi,
tumne kabhi suna hi nahi,

jane anjaane me..
tumne hume kabhi mujhe jana hi nahi.

haathon se tumne haath jab churda liya hai

haathon se tumne haath jab churda liya hai,
na chaah kar maine bhi tumhein bhula diya hai,

laakhon muskuraahtein, laakhon khushiaan maine tumko di,
par tumne mujhe khoon ke aansoo rula diya hai,

dekhe the jo khawaab tere saath jeene ke,
apne hi haathon har khwaab ko jala diya hai,

dekha maine khawaabon me tujhko aasmaan tak,
par tumne mujhe mitti me mila diya hai,

pehli baar aaya hoon tujhko akela chord ker,
is se pehle naa tujhse kabhi kuch bhoola paaya hai..

ab sirf tum hi yaad aate ho

rimjhim is sawan mein,
barish ki sargam mein,
ye thandi aur mast hawaein,
dhara aur bundon ke sangam mein,
pagal man ko kyon tarsate ho,
ab sirf tum hi yaad aate ho..

inn mast sanson ki lay se,
tann mann aur hariday se,
mera rom-rom tujhe pukare,
apne prem ki say se,
chup ke aankhon se kya jatate ho,
ab sirf tum hi yaad aate ho..

mere dil pe mera hi adhikar naa raha,
hamare prem ke aage sansaar naa raha,
kya kahun apne hriday ki kamna,
tujhe chord ke khud se bhi pyar naa raha,
dil par dard ki chap ka anubhav dilate ho,
ab sirf tum hi yaad aate ho..

ek annmool rishta

meri tanhaayi ka mujhse,
bada hi annmool rishta hai,
kabhi mera sahara wo, 
kabhi uska sahara hum…

usne mujhe chhu kar nahi dekha

kashti ke musafir ne samandar nahi dekha,
dekha hai mere dil ke bahar andar nahi dekha,
patthar kehte hain mujhe mere chahne wale,
main mom hoon usne mujhe chhu kar nahi dekha.

muddat se jis ke waaste dil bekarar tha

muddat se jis ke waaste dil bekarar tha,
wo lout kar na aayi magar ussi ka intezaar tha,

jo humsafar thi chord gayi raahon me mujhe,
main phas gaya bhanwar me aur wo dariya ke paar the,

manzil kareeb aayi to tum door ho gaye,
itna to tum batao ki kaisa yeh pyaar tha,

deewar bana di ye kis ne dono ke darmiyan,
na wo sukon se bethi na mujhko karar tha,

ye baat umar bhar samajh na paya “deewana”,
kyun dil mera us bewafa se itna pyar tha..

meri zindagi bhi be-wafa lagti hai

bichar ke tujhse zindagi saza lagti hai,
yeh saans bhi jaise mujh se khafa lagti hai,

tardap uthate hain hum dard ke maare,
zakhmon ko jab tere yaadon ki hawa lagti hai,

agar ummeed-e-wafa karun to kis se karun,
mujh ko toh meri zindagi bhi be-wafa lagti hai ..

subah kab huyi shaam kab nikal gayi

kitne gamon ke badal aaye kitni aanshuen tal gayi,
dil tha ki phir behal gaya jaan phir sambhal gayi,

khayalon ke jahan mein tere hussn ki sham kya thi,
dard ka chand bujh gaya, andheri raat dhal gayi,

jab bhi tujhe yaad kiya meri subah mehak uthi,
jab tere gum ko jagaya to raat meri machal gayi,

har baat karni thi saaf ye soch ke chale the hum,
kehne mein unke samne baat kuch badal gayi,

agar wo samajhe mere khayalat is ghazal se,
ehsaas na hua subah kab huyi shaam kab nikal gayi.

hum ek nahi sau-sau raat jaage hain unke intazaar me

hum ek nahi sau-sau raat jaage hain unke intazaar me,
lagta hai ek sau saal ka waqt aur lagega unke ikraar me,

koi baat nahi yeh unki marzi hai, kab pyaar karna,
jaan kar bhi anjaan bane mera dil kyon aas rakhta hai bekaar me,

unki aankhon me madhoshi hai labho pe halki si hansi bhi,
inhein apnaane ka mauka de de, kaash humein is jeewan ke safar me,


woh sochte hain ki sirf mere geeto me base hue hain woh,
par meri dharkan ke maalik hain woh har pal base hue hain mere nazar me,

kyon itna pyaar karte hain tumse, kya baat hai tum me,
aakhir kyon ho rahe hain nisaar tum pe, sochta hoon aksar me.

unhone kaha mujhe bhul jana

unhone kaha kabhi baat na karna,
maine kabhi unse baat na ki,

unhone kaha kabhi mera naam na lena,
maine unka kabhi naam bhi na liya,

unhone kaha kabhi saamne na aana,
main kabhi unke saamne na gaya,

unhone kaha mujhe bhul jana,
pehli baar maine unki baat nahi maani,

chah kar bhi unhein bhulne ki,
saari koshishe ho gayi nakam.

uske wafa k badle hamesha wafa dena

yaad rakhna or phir bhula dena,
unki aadat hai yun saza dena,

apni mohabbat ki zara sadgi to dekho,
jo chord jaye, usko bhi dua dena,

wo kehte hain mohabbat mein kuch fasla rahe,
hum chahte hain apna sab kuch luta dena,

ek guzarish hai, agar maano to,
ab jise bhi shadi karo, jiske sath bhi raho,
uske wafa k badle hamesha wafa dena........!

haath raj ka tune churdaya kaise

main heyran hoon teri is jazbaat par,
ke tu ne yeh kadum uthaya kaise,

un rang berange khwaboon ko,
plastic ka cover phenaya kaise,

jab teri aankhon me veeraniyo ke saye the,
phir tere hontoon ne muskuraya kaise,

woh aag jis me tu jalti thi shaamo subah,
tunne us ke sholon ko bhujhaya kaise,

shayed tu bhi chal pari hai jamane ke sath,
warna haath raj ka churdaya kaise..

is dil ne aaj phir ek choti si tammana ki hai

is dil ne aaj phir ek choti si tammana ki hai,
bas ek jhalak aap ko nazar bhar ke dekhne ki guzarish ki hai,

bahut roka hai maine isse par yeh ab na rukega,
meri halat ka hai yeh gawah,

phir bhi tum se kuch na kaheinge,
bas kuch pal ke liye in nazron ko woh nazar de do,

jiske liye yeh bhi janmon se tarsa hai ,
aur main bhi jiske liye yeh bhi roya hai,
aur main bhi tumse kuch mangoon yeh haque to nahi hai,
lekin phir bhi yeh zidd pe ada hai,

us pyar ki khatir jo kabhi hamne kiya tha,
un lamhon ki khatir,

bas kuch pal ke liye in nazron ko woh nazar de do,
ek pal ke liye phir se hathon me hath lekar,

is duniya ki baaton se be khabar ho kar,
kuch lamhe tumhare saath ke churane ki mohlat de do,

iss beraham ke zakhmon ko marham de do,
bas kuch pal ke liye in nazron ko woh nazar de do,

tumse yeh kaisa rishta banata ja raha hai,
khud bhi kabhi samajh nahi payi,

lekin yeh to jaan gaya hoon,
ki kabhi koi bhi isae tord nahi payega,

tumse pyar ki koi hadd nahi tey kar sakti,
jahan rukta hoon toh aur bardh jaata hai,

woh chali gayi itni door kya karoon

yeh husn or jism ka noor kya karoon,
woh chali gayi itni door kya karoon,

rakhte hain unhein hum apne dil mein,
yeh thikaana nahi manzoor kya karoon,

bohot koshish ki humne manaane ki,
woh nasshe mein hain choor kya karoon,

ujaad kar zindagaani bedardi se woh,
kahe khud ko be kasoor kya karoon,

unke roushan din, bechain meri raatein,
yeh hain duniya ka dastoor kya karoon,

rehte hain woh har kisi ke dil mein,
kahe khud ko woh hoor kya karoon,

poochte hain log daastaan-aye-ulfat meri,
na rahi daastaan toh ghuroor kya karoon,

bebas hokar baithe hain haar kar hum,
pata ho toh bataana zaroor kya karoon,

woh pooche yaadein hain ya khatm huyi,
rishta na raha jab toh behas fizul kya karoon,

log kahe tumne dil kyun lagaaya raaj,
aur koi kaam nahi huzoor kya karoon.

teri yaad aayi

jab jab tanhai me aansu gir aaya, teri yaad aayi,
maine tujhe iss hadd tak bhulaya, ki teri yaad aayi,

nahi jaanta ki kya kata, main kata ya umar kati,
kissi ne mujhe pagal keh ker bulaya, teri yaad aayi,

maine tujhe iss hadd tak bhulaya, ki teri yaad aayi,
iss andher nagri me, jab in begaane chehron me,

kissi ne mujhe seene se lagaaya, teri yaad aayi,
maine tujhe iss hadd tak bhulaya, teri yaad aayi,

jab kissi devdaas ne, yaad me paaro ki,
maikade me jaam lagaaya, teri yaad aayi,

maine tujhe iss hadd tak bhulaya, teri yaad aayi,
meri har bahaar patjhar thi, mera har jahaan ghamo ka pahard,

jab kissi ne hansa ker rulaaya, teri yaad aayi,
maine tujhe iss hadd tak bhulaya,teri yaad aayi,

jab bhee kissi aadami ne, kissi gair ki khaatir,
apni palkon ko bhigaya, teri yaad aayi,

maine tujhe iss hudd tak bhulaya,teri yaad aayi,
jamaane ke galiyaaron mein ,kissi heer ne raanjhe ko,

apni god me sulaya, teri yaad aayi,
maine tujhe iss hudd tak bhulaya,teri yaad aayi,

jab kissi zinda shaks me, kissi laash ko dekha,
mujhe aaina nazar aaya,teri yaad aayi,


maine tujhe iss hudd tak bhulaya,teri yaad aayi..

I can’t give up on us

I can’t let you go
I can’t let you walk out of my life
I can’t let you close the door
I can’t let you run of in the wild
I can’t loose you ever
I can’t give up on us

but rather......

let me love you the way I should have
let me make you happy the way you should been
let me be for there for you like lovers do
let me take care of you and never let you fall
let me take you as you with no more moans
let me take your hand and walk with pride
let me give my all this time
let me take you to nevaland forever and a day

please…..

koi ye to bataye ke hum tannha kyu hai

koi ye to bataye ke hum tannha kyu hai,
wo jo apna tha wohi aur kisi ka kyu hai,


yahi duniya hai to aisi ye duniya kyu hai,
yahi hota hai to aakhir yehi hota kyu hai,

ek jara haath barda de to pakad le daman,
unke seene me sama jayae hamari dhadkan,


itni tardap hai to fir faasla itna kyon hai,
dil-aye-barbad se nikla nahi ab tak koi,

ek lota ghar pe diya karta hai dastak koi,
aas jo toot gayi hai fir se bandhata kyon hai,


tumein mussurrahat ka kaho ya gam ka rishta,
kehte hain pyar ka rishta hai janam ka rishta,

hai janam ka jo ye rishta to badalta kyon hai,
koi ye to bataye ke hum tanha kyon hai,

hazaaron parwane mar gaye

hazaaron parwane mar gaye is raaz ko janane ke liye,
ke shama jalti hai jalane ke liye ya jal jaane ke liye,

aansu na girana tu us bewafa ke liye,
jisse kadar hi nahin tere pyar ke liye,

ponch le ye aanshu haas ke to dekh le ek baar,
kitni rangein hai ye duniya kitne khusiya hain tere liye..

ki mila apni wafaon ka yeh sila hai mujhe

mila meri wafaon ka yeh sila hai mujhe,
na tum se na hi dunia se gila hai mujhe,

jo mila hai meri kismat se hi mila hai mujhe,
na thi woh mukadar me to na usse milaya hota,

nahi koi aur shikayat bus yehi gila hai mujhe,
haadse kya kia na huye hain mere is jeevan me,

par tera chord jana sab se chubha hai mujhe,
unki nazron me hum aaj hain thehre mujrim,


ki mila apni wafaon ka yeh sila hai mujhe...

zindagi se hi mazaak kiya hai kabhi-kabhi

aapni zindagi se hi mazaak kiya hai kabhi-kabhi,
aapni maut se hi khilwaad kiya hai kabhi-kabhi,

unse hue jo hum juda, unki nahi koi khata,
khud ko hi yeh ilzaam diya hai kabhi-kabhi,

din to beet jata hai aur hi kammon me,
raaton ko unke naam kiya hai kabhi-kabhi,

aaj to ye log yahan, daulat se nata rakhte hai,
yaad rakhna yahi, paigaam diya hai kabhi-kabhi,

matlabi hai log sab, khushiyon me sath dete hain,
humnein gamon ko, aapne naam kiya hai kabhi-kabhi,

khushiyaan dekar gam liye, shikwa nahi kiya phir bhi,
aaisa bhi dekho, humnein insaaf kiya hai kabhi-kabhi,

tanhaiyon me hi dekha hoga, aksar rote hue sabko,
humne to bheed me bhi yeh kaam kiya hai kabhi-kabhi..

“Raj” duniya chord gaya

jab pehla-pehla pyar hua,
yeh dil bhi barda bekarar hua,

jaani thi mohabbat pehli baar,
khoya tha dil bhi itna ki,

har ek insan ko bhool gaya,
jo dard tha woh bhi pyara hua,

chaha tha kisi ko pehli baar,
ki usse mohabbat itni, ki..

woh humko hi aakhir chord gaye,
abhi jo itni mohabbat deni thi,

ab unka karoonga yaar main kya,
socha hai ab unko ghum me badal loon,

kyonki ghum bhi woh poora de na sake,
ki thi jo wafaien mere dil ne,

shayad kabhi unko yaad aayein,
phir dhoode agar woh mujhko,

aur miljaye agar woh tujhko to,
kehna “Raj” duniya chord gaya.

zinda nahi rah paunga tujhe bhoolane ke baad

ehsas-e-mohabbat hua unke chale jane ke baad,
bahut tardpa ye dil unke bichard jaane ke baad,

wo sath the to sab kuch mukamal lagta tha,
mere sare khawab bikhar gaye unke kho jaane ke baad,

wo mujhe bhool jaye ye mumkin ho sakta hai,
main to sab kuch bhul jata hoon unke yaad aane ke baad,

aaj bhi tera intezaar hai ussi rah par jahan,
tum mujhe chord gaye the kisi ke bulane ke baad,

tu to khush rah legi “raaj” ko bhoola ke zalim,
magar main zinda nahi rah paunga tujhe bhoolane ke baad.

bardi gairaat ki zindagi jee raha hoon main

bardi gairaat ki zindagi jee raha hoon main,
tere dar par khada pyar ki bheekh maang raha hoon main,

har muskil me sath nibhaane ka wada kiya,
par meri wafa meri sadda ka tune ye kya silla diya,

tujhe chahana meri khata hai, maalum hai mujhe,
par meri mohabbat pe uttha ker sawal, kya mila hai tujhe,

tujhse kuch maangu aisa meri koi hassrat nahi,
par tere wasste kisi sajjade me na jhukku aisa koi din nahi,

har lammhein ko maine jina chaha that tere sang,
par laga ker ilzaam chaahat pe, mere har khawaab kiye beraang..

wo jiske chehare me mujhe chaand dikha karta tha

wo jiske chehare me mujhe chaand dikha karta tha,
wo shaks jo meri har baat pe maraa karti thi,


apni hatheli me mera naam pardha karti thi,
uss per phir sapno ka mahal khada kerti thi,

haan usske mere beech aker aisa hua karta tha,
wo bewajah he apni zidd pe adaa kerti thi,

har baat per mujhko shaqe-e-nigaah se dekha karti,
waise wo mujh per bharosa barda kerti thi,

jab bhi ussko meri shakl ki yaad aaya kerti,
chaand dekhne ko wo raaton me utha kerti thi,

usske saath sadak per aksar chalte chalte,
main door kaheen badalon per udaa kerta tha,

wo kabhi mujhse ek pal ki duuri na saha kerti thi,
wo jo mere liye saari duniya se ladaa kerti thi,

aaj wo shaks mere bin hi jiye jaati hai,
ye baat or hai ke humko yaad bahut wo aati hai,

ye na poocho ke wo kitna yaad aati hai,
dil kehta hai khuda jitna yaad aata hai,

aaja manhi re

ghir ke aaye badal barsha paani re,
aise me dil tujhe pukare aaja manhi re,

sadiyon se pyasi hai dil ki zameen,
sadiyon se mujhko hai teri kami,

aaja ab to aa gayi rut bhi suhani re,
aise me dil tujhe pukare aaja manhi re,

thandi thandi hawa hai ya tera aanchal,
tere balon jaise dikhte hain ye badal,

saam teri aankhon jaise lagti mastani re,
aise me dil tujhe pukare aaja manhi re,

jakham teri yadon ke barda dard de rahe hain,
kabhi aakhein nikalti hain kabhi aanshu beh rahe hain,

bardi gum si lagti hai ye zindgani re,
aise me dil tujhe pukare aaja manhi re..

apne dil ka pata nahi paata

teri duniya me dhundhta hoon magar,
apne dil ka pata nahi paata,

dewaarein mujhse tera pata puchti hain,
issliye roz ghar nahi jaata,

kacchi kaliyon ki aashiqi se phool ki dillagi behtar,
phool murjhaya kerte hain, badla nahi karte,

apne dil ka pata nahi paata,
tanhai ka libaas mere wajud ne ordh rakha hai,

guft-gu ne raasta-e-khamoshi ikhtiyaar kiya hai,
zindagi se muuh mord ker baithe hain ek taraf,

ya kahiye Raj ke maut ka he intezaar kiya hai,
maut aati hai tu nahi aata issliye roz ghar nahi jaata,

apne dil ka pata nahi paata, 

issliye roz ghar nahi jaata,

be-kasoor hoon main

saza na do mujhko, ki be-kasoor hoon main,
tham lo mujh ko,  gamo se choor hoon main,

unke pyar ne ker diya pagal sa mujhe,
aur unka kya kehna hai ki maghror hoon main

tere bin jo mar jaaon to mujhe maaf kar dena

agar main hadd se guzar jaaon to mujhe maaf kar dena,
tere dil me utar jaaon maaf kar dena,

yuhin gusse me aakar dant dena to meri aadat hai,
agar main aisa kar jaon to mujhe maaf kar dena,

raste me tujhe dekh kar tere deedaar ki khatir,
pal bhar jo thehar jaaon to mujhe maaf kar dena,

apne jazbaat se likhi hoi ye shokh gazal,
tere naam kar jaaon to mujhe maaf kar dena,

teri pal bhar ki judai mujhe jeene nahi deti,
tere bin jo mar jaaon to mujhe maaf kar dena..

jee chahata hai tere naam pe ek kitab likhon

jee chahata hai tere naam pe ek kitab likhon,
iss kitab me tere naam, tera intezaar likhon,
tujhe sharminda karne ke liye main is me,
tere aur mere pyar ka hisab likhon,

main soch soch kar paagal sa ho gaya hoon,
jhele hain jo tere gham main ne,
kaise woh jashbaat likhon...

de gayi meri zindagi ko andhere wahi,
khawish thi jisse main ujjaala likhon,


jo diye hain tu ne kanton ke bistar mujhe,
bohat mushkil hai in kanton ko gulab likhon,

mujhse jhuti tarif na ho sakegi dil ki baat me,
dukhon ke sailab ko main kaise khusiyon ka samander likhon,

ajab kasmakas me kar diya hai tune mujhe,
samajh nahi aata tere message ka kya jawab likhon,
laffz to sab hi mitta diye hain mere aanshkon ne,
apni kahaani ab main kaise be-hisab likhon,

ek ek laffz yaad hai mujhe teri guftugu ke,
khawahish hai teri har baaton ko khitab likhon,

jis ki tasweer bhi na mil saki mujh ko aye jana,
main apni kitab main kaise woh khawaab likhon,

lakhon cheharon se haseen banaya tujhe khuda ne magar,
jo mera nahi us chehare ko kaise apna likhon,

har baat to dil ki ke daali hai,
is se jyada aur kya main janab likhon....

kaatal ka yeh hi din chunna hai kyaa

tu ne yeh mashwara suna hai kya?
zindagi ishq ke siwaa hai kya!

kaatli sab sazayein ab to bataa,
aye sitamagar, mera gunaah hai kya?

aah mehfil me naa nikalne di maine ,
chhup ke rona bhi kuchh gunaah hai kya?

umar bhar na mila hai mujhko sukoon ,
maut hi aakhiri panaah hai kya?

aye mere jurm ginaane wale..
tere ghar koi aaina hai kya?

chaand itna udaas dhundh laa tu,
mujhse jada bhi koi tanhaa hai kya?

ajnabi se woh aaj baithe hain,
kaatal ka yeh hi din chunna hai kyaa ?

beeti baatein dohraanein ki aadat si ho gayi hai

beeti baatein dohraanein ki aadat si ho gayi hai,
chalte chalte ruk jaane ki aadat si ho gayi hai...

hum ko ye bhi yaad nahin, kya khoya hai kya paaya hai,
logon se dhoka khane ki, aadat si ho gayi hai...

jab dil par koi zakhm laga, khaamosh rahe yaa hasne lage,
hum ko aansoon pe jaane ki, aadat si hogayi hai...

apni to yeh aadat hai, chup rahte hain, yaa sach kahte hain...
shaayad isileye duniya wale humse hamesha khafa rahte hai...

raahi hai hum us raah ke jiski koi manzil nahin

raahi hai hum us raah ke,
jiski koi manzil nahin,
muzafir hai hum us kashti ke,
jiska koi saahil nahin...

wada kiya gaya tha humse,
har raah, har mod par saath dene ka,
aaj majdhar me hai kashti,
aur uska koi manjhi nahin...

kaha tha.. hum unki zindagi hain,
sab kuch niyochhaawar karenge hum par,
doosron ki khaatir jeewan se alag kiya,
aaj jeewan hai, lekin jeewan saathi nahin...

unke har labz amrit ki vaani samjhe,
sach maan kar dil me utaare,
nadaan the jo itna bhi nahin samjhe,
yeh duniya gairon ki hai apni nahin...

humare dil pe kya gujari,
yeh usne poochha tak nahin,
waade kiye kyon the,
yeh humne poochha nahin...

duniya me jis se aatma jurde,
dhoondte hai log jeewan bhar,
yeh anmol ratan paya hum dono ne,
unko iski keemat hi nahin...

chidiya chug gayi hai sara khet,
ab kuch ho sakta nahin.
apni to duniya hi loot gayi
unki ooff tak nikli nahin...

kitna mushkil hai ye aadmi ke liye

aanshuon ko chupana hassi ke liye,
kitna muskil hai ye aadmi ke liye.

meri zindagi mein ghamon ka hi basera hai,
dukhon ke sath hi sham aur sabera hai,

nikal aate hein aanshoo iss bebasi ke liye,
niraas ke andhere kabhi mitne ka naam nahi lete,

jitne pal aate sab ek naya dard hi dete hain,
koi kuch karta nahi meri khushi ke liye,

aate hain paas magar hath chorde jate hai,
jinhe chaha wahi mere hath chorde jate hai,

koi sahara na mila meri bekasi ke liye,
kitna mushkil hai ye aadmi ke liye.

waqt aane pe tamaashaayi ban jaate hain yahi log

jisko bhoolne ki koshish karte hain hum,
yaad usi ki dilaate hain yahi log...


ek to kehte hain ki muskurate raho,
phir jikar uska chherd kar rulate hain yahi log...

pehle to kaha mujhse ki yeh raasta teekh hai,
hum chale to har kadam pe ungaliyaan uthaate hain yahi log...

khade rahe zindagi pe yahi sochte hain ab hum,
kyon apni hi kahi baat se mukkar jaate hain yahi log...

yoon to kehne ko har kadam pe mere saath hain yeh,
par waqt aane pe tamaashaayi ban jaate hain yahi log...

kisko maaloom tha din yeh bhi aayenge

kisko maaloom tha din yeh bhi aayenge,
unki ek jhalak ko nain taras jayenge,
haal yeh kaisa hai? saal yeh kaisa hai?
ek ek pal lamba, ek saal jaisa hai...

dil ka kya hai phir manaa lenge,
humein dard-e-dil ki kya dawaa denge?
mann machla hai yoon ki mushkil sambhalna hai,
phir unke aaghosh me khone ki tammana hai...

baahon me unki jab pure armaan humare honge,
aur bhi haseen tab saare yeh nazaare honge,
unpe dil-o-jaan lutaane ko jee chaahta hai,
paas unke aake na jaane ko jee chaahta hai...

jazbaat ubhar kar aakhon me na aane denge,
palkon pe kaapte hue sitaare na girne denge,
zaahir dabi mohabbat unpe ab karni nahin hai,
warna judaai seh na paayenge humein yakeen hai...

apni haalat main bayan karoon kaise

apni haalat main bayan karoon kaise,
yaad ka shaam dil ko dastta hai,

aahatein goonjti hain kano me,
meri aankhon me koi basta hai...

main tumhein dhoondhne kahan jaaoon,
koi manzil na koi rashta hai,
teri bahein meri manzil hai,
dil musafir aur pyaar rasta hai..

waqt aankhon me tham gaya ho jaise,
ek pal ek saal lagta hai,
mere khwaabon ki sans toot na jaye,
aa bhi jaao ke aas toot na jaye..

paane ki aarzu me

paane ki aarzu me,
jiye to the bahut,
aanshu hi na nikale,
roya to the bahut.

pal bhar ke liye unhone,
aazmaya bhi tha mujhe,

apna hi na bana sake jise,
chaha tha to bahut...!

jab maine mohabbat ki aur mujhe mohabbat me dard mile

jab maine mohabbat ki aur mujhe mohabbat me dard mile,
to mujhe laga thorde se zakham hain,
jald hi bhar jayege...

lekin us waqt mujhe kya khabar tha,
ke mohabbat me mile rog jaan lewa hote hain..

ab to doctor ne bhi iss dil ko kaat ker alag kerne ko kah diya,
par mujhe marna pasand hai,
main is dil ka operation nahi kerwaunga,
jis dilme kabhi mera pyar basta tha....

main likhta nahin hoon yeh shabd

main likhta nahin hoon yeh shabd,
shayari karne ke liye,
hain in me chhipe kuch dard, kuch tanhaai,
aur kuch aansoon, jo anjaane hi nikal aaye...

pardh sako to padho, in shabdon me chhipe,
ek dard ko, ahsaas ko ko,
yaa jaise andhere me rote,
ek bache ki pukar ko...

bas itna bata do

tumhein mujhse gilla kyu,
bas itna bata do,
mannaun kis tarah tum ko,
mujhe itna to batla do,

agar ab ho sake tum se,
to ye ahsaan farma do,
meri manzil mohabbat hai,
mujhe manzil pe pohncha do,

tumhari aankho me aanshu,
mujhe acche nahi lagte,
tumhare narm honton pe,
gille ache nahi lagate.

tumhare muskurane se,
mera dil bhi muskurata hai,
tumhare rooth jane se,
mera dil toot jata hai...

yeh saathi humara na tha

dokhon ke is sagar me,
rahat ko koi kinara na tha,
tha main majhdhar me,
chaahat ka koi sahara na tha,


door kahin ek din ek pal,
ek saathi ka aasra dikha,
aur phir main rah gaya akela,
yeh saathi... humara na tha

wo kisi aur ka kya hogi

chale jane do us bewafa ko kisi gair ki bahon me..
itni chahat ke baad jo meri na huyi,
wo kisi aur ka kya hogi.

mujhe apne gum me shaamil kar lena

chaahe mujhe apni khushiyo se door rakh lo,
mujhe apne gum me shaamil kar lena,

bhale hi baha lo aankho se aanshu,
magar mujhe uss sasgar ka sahil kar lena,

jante hai tumhein duniya ki sari khushiya nahi de sakte,
tum mujhse bas chand hassi haasil kar lena,

aana kuch pal ke liye, do phool hi daal jana,
bas itni si khwahish hai, meri lash ko is kabil kar jana..!!

All Time's Favourite Posts