mayus hain dil, jaane kaun sa gham hai

khamosh hai jubaan, dhadkane maddham hai,
mayus hain dil, jaane kaun sa gham hai.

door tak nishaan nahi kisi ke paas hone ka,
har taraf faila tannhai ka mausam hai.

door ja kar bhi hum bhool na paaye tujhko,
itne gehre teri yaadon ke zakham hain.

do pal thehar jaa mere saath aye dost,
meri dil ki mitti abhi tak nam hai.

khamosh hai jubaan, dhadkane maddham hai,
mayus hai dil, jaane kaun sa gham hai.

kya karoon jatan apni bewaf-e-saanso ka,
bhoj si zindagi jin saano ka reham hai.

do phool leke woh ayenge aanshu bahane,
meri samadhi ko aaj tak yeh weham hai.

maut ke baad bhi teri yaad aati rahi humko,
badnasibi hai meri ya mohabbat ka karam hai.

jeete ji to so na sake kabhi chain ki neend,
aur marne ke baad yeh ajeeb sitam hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts