na imtihan lo yun mera

lagta hai mano kahin nahi gaye ho tum,
paas mere baithe ho yahin kahin,
bas satane ke liye mujhko,
tum chup gaye ho kahin,

na imtihan lo yun mera,
ki chand saanse hi bachi hain meri,
kahin aisa na ho ki tum chupe raho
aur zindagi khatam ho jaaye meri,

bahut rowoge, pachtaoge,
jab sang mujhe na paoge,
sochoge yeh kya kiya tumne,
par dhoond mujhe na paoge,

sach kaha hai kisi ne yeh kabhi,
koi ho pas tumhare to 
uski kadar tumhe hoti nahi,
kahin chala jaaye woh tumse door,
to usko pane ki chahat kabhi kam hoti nahi.

agar mohabbat na huyi hoti to kya hota

agar mohabbat na huyi hoti to kya hota,
neend humein bhi aaati chain paya hota,

raat bhar hum jagate hai unki yaadon mein,
tab taare gin raaton ka guzara na hota,

guroor jo humein tha pyar ke ehssa ke na hone ka,
tab ishq ne humein iss kadar majboor na kiya hota,

na hoti humein bhi chand ki tamanna,
yoon humein agar mohabbat ne ajmaya na hota.

is raat ka ab kabhi na ant ho

intehaa ki ab hadd ho chuki ab toh koi baat ho,
is bekaraar nacheez pe bhi toh aapka nazre-e-khas ho,

chaaye hai jo badal aaj barsaat kuch aisi ho,
jism toh kya rooh tak meri barsaat mein choor aaj ho,

aapke aane se dhadkane kuch aaj apni raftaar se tez ho,
aapki mahak se hi rooh meri rubaroo bus aaj ho,

deedar mein aapke chandni raat ko bhi jalan humse aaj ho,
aapse milan ki gawahi mein chand ke saath sitaron ki baarat aaj ho,

kuch is tarah hawa chale woh bhi bechain aaj kuch ho,
kho jaye aaj jism mera jaise rooh ko meri chua tune aaj ho,

na woh lab khole na hum lab khole phir bhi baat aaj woh ho,
aaj ki raat bus aankhon se aakhon ki hi bus baat ho,

chura lu tujhko duniya se duan aaj meri bus kabool ho,
jo thame mera haath tu toh is raat ka ab kabhi na ant ho.

har khawab mein bas tujhe hi dekha

khawab dekhe..
har khawab mein yahi dekha,
tumko dekha bas tujhe hi dekha,

raat bhar main tera intezaar karta raha,
manzil ko bhool kar tera rasta dekha,

tamam umar tujhe tujhse mangta raha,
har ghadi har lamha tujhe chahta raha,

meri chahat kisi bandigi se kam nahi,
jab bhi tujhe dekha to laga pyar ka khuda dekha.

naddan hai woh

naddan hai woh, 
hairan hai woh,
khud apne hi sawalon se, 
pareshaan hai woh,
kya bataun unhein, 
ki pyar kya hota hai,
abhi sacchi mohabbat se, 
anjaan hai woh....

aakhir ussne tujhe bhi jhoot bolna sikha diya

mera dil mujh se kehta hai ki,
woh ek din wapas aayegi,

maine dil se kaha...
aakhir ussne tujhe bhi jhoot bolna sikha diya?

tum kaho to hum nilaam ho jaaye

ujaale apni yaado ke hamare saath rehne do,
na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaaye.

aarjoo tum bhi kuch rakho aarjoo hum bhi kuch rakhe,
na jaane khwaayishe umr bhar ki yehin tamaam ho jaaye.

hamaare dil mein rahete ho tum nas nas mein baithe ho,
ab yeh dil dil nahi raha koi “tirthdhaam” ho jaaye.

hum to ghar se nikle the, maykhaane mein jaane ko,
tumhari aankho mein dubey hai, chalo ek jaam ho jaaye.

tamanna phir machal gayi, tu rehnuma jo ban gayi,
ab parwah nahi hamein hargaam dil-e-nakaam ho jaaye.

uthaao naa julfo ka parda, tum nur-e-mohabbat ho jaanam.
kahi badnam mohabbat meri na sare-e-aam ho jaaye.

saare jahan mein dhundhoge, na milega “raaj” kahi tumko,
bharlo dil ke khajane tum kaho to nilaam ho jaaye.

har hisse par likha hai tumhara naam

agar dil chirne ki rasam hoti,
to dil chir ke dikha dete,
har hisse par likha hai tumhara naam,
tumhari aankhon se tumhe hi pardha dete.

aa bhi ja ki ab mera dil nahi lagta tere bina

aa bhi ja ki ab mera dil nahi lagta tere bina,
dekh ja iss dil ki kya halat ho gayi hai tere bina,

khud se jung karke haar gaya hoon tere bina,
din to kat-ta bhi nahi tha kabhi tere bina,

ab chandni ki aag se badan jalta hai tere bina,
sadiyon se pyasi rooh ko aa ke mehka ja,

kabhi juda na honge yeh tune hi kaha tha,
woh haseen wada adhura hai tere bina,

intezaar ki inteha meri jaan leti hai tere bina,
aa bhi ja ki ab mera dil nahi lagta tere bina.. 

kuch iss andaz mein raaj ko aasra de do

meri khamoshiyon ko baya de do,
bezuba ehsason ko zuba de do,
dil-aye-nada kab tak phire dar-ba-dar,
isse tum apne dil mein aashiya de do.

jhootha hi sahi milne ka guma de do,
khushi na sahi dard ka jaha de do,
na-ummid na hone de teri chahhat umr bhar,
kuch iss andaz mein raaj ko aasra de do. 

maa woh shabd hai jisme kaaynat samayi hai

maa woh shabd hai jisme kaaynat samayi hai,
jiski kokh mein suru hua tha zindagi ka safar,
jiski godh mein kholi thi aankhein pehli baar,
jiski nazaron se hi duniya ko dekha tha, jaana tha,
jiski ungaliyan pakkd kar chalna sikha tha pehli baar.

ussi ne hamari khud ke karayi thi pehchaan,
duniya ka samana karna bhi ussi ne sikhaya,
janam se hi dard se shuru hua tha rishta hamara,
shayed har dard pe isleye nikalta hai shabd maa har baar.

maa ki zindagi hoti hai bachhe mein samayi,
par bade hote hi door ho jati hai raahe uski zindagi ki,
bhula deta hai iss shabd ki ehmiyat apni byastata mein kahi,
phir achhanak kahi se sunayi deti hai aawaz maa,
aakhein bhar aati hai bas dhaar dhaar.

maa ka karz nahi chukka sakta kabhi koi iss duniya mein,
bhagwan se bhi bada hai maa ka darza iss duniya mein,
na hoti woh to na basta yeh sansar kabhi,
na hogi woh to bhi khatam ho jaayega sansar yeh sabhi.

kehta hai isleye raaj.. jaago abhi bhi waqt hai,
na karo sharm-saar apni jannani ko,
na karo atyachhar aurrat ke astitwa par
na maaro beti ke ansh ko yun har baar,

nahi to ek din tarash jaayega maa ke ehsaas ko hi yeh sara sansar,
kyuki maa woh shabd hai jisme kayanat samayi hai...



मां वो शब्द है जिसमे कायनात समाई है…
जिसकी कोख मे शुरु हुआ था जिन्दगी का सफर,
जिसकी गोद मे खोली थी आखें पहली बार,
जिसकी नजरो से ही दुनिया को देखा था, जाना था,
जिसकी उन्गलियां पकड कर चलना सीखा था पहली बार !!

उसी ने हमारी खुद से करायी थी पेह्चान,
दुनिया का समना करना भी उसी ने सिखाया,
जनम से ही दर्द से शुरु हुआ था रिश्ता हमारा,
शायद हर दर्द पे ईसीलिये निकलता है शब्द मां हर बार !!

मां की जिन्दगी होती है उसके बच्चे मे समायी,
पर बडे होते ही दूर हो जाती है राहे उसकी जिन्दगी की,
भुला देता है इस शब्द की एहमियत अपनी व्यस्तता मे कही,
फिर अचानक कही से सुनाई देती है आवाज मां,
आखें भर आती है बस धार धार !!

मां का कर्ज नही चुका सकता कभी कोई इस दुनिया मे,
भगवान से भी बडा है मां क दर्जा इस दुनिया मे,
ना होती वो तो ना बसता ये सन्सार कभी,
ना होगी वो तो भी खत्म हो जाएगा सन्सार ये सभी !!

कहता है इसलिए राज .. जागो अब भी वक्त है,
ना करो शर्मसार अपनी जननी को,
ना करो अत्याचार औरत के अस्तित्व पर,
न मारो बेटी के अन्श को यु हर बार.

नही तो इक दिन तरस जाएगा मां के एह्सास को ही ये सारा सन्सार !!
क्योकि मां वो शब्द है जिसमे कायनात समाई है…

aye monika

tute khawabon ko pairo tale
raundhte chale jaa rahe hain,
khud se aapne kadmon ke
nishan saaja rahe hain,

kya sawal karein zindagi se,
kya aab bhi paheliya bujhate rahe,
teri bandgi mein aye monika,
khud ko jalate jaa rahe hain,

aab kya kare umeed ki
iss kali raat ke baad ujaala hoga,
chand khushiyo ke sahare,
kafan aapna bana rahe hain.

chord gaye woh humein tannha jaate jaate

kya tha mera kasoor, mujhe bata kar to jaate,
koi kahani logo ko suna ke to jaate.

maine socha mera dil tum lautta ke jaaoge,
jaan bhi liye jaa rahe ho jaate jaate.

kitne spane dekhe jinke khaatir,
chord gaye woh humein tannha jaate jaate.

if you love me then take me back

I am told to say that's when I leave
it's not about what I want but what I need,

I need to know
I just got to hear you say that you don't love,
things are different don't deny
look at me now don't tell me lies,

your feelings are gone
you don't feel the same as before,
tell me to my face that
you don't love me anymore.

if you say there is someone else,
 just let me know,
if you want me gone, I will just go.

if you love me then quit the act
if you love me then take me back.

dil mein meri yehi aas hai

dil mein apne, jagah teri banayi kuch khaas hai,
rahe door kitna bhi, sang mere tera ehsaas hai,

chaahe aankhein humari khuli ho yaa band,
har pal har jagah, paaya tumhe dil ke paas hai,

ho bhi gaye ghadi bhar ko hum ek dooje se juda,
par humare dil mein, tumhari jagah hamesha khaas hai,

har pal main maangoon dua khushiyon ki teri,
muskurata tujhe dekhoon harpal, dil mein yehi aas hai.

aapke dil mein yaad banke aaunga

jeevan mein aapke zindagi banke aaunga,
dil mein tumhari dhardkan banke aaunga.

mujhe bhulne ki bhool mat karna,
unhi bhulo mein main hi yaad banke aaunga.

aankho mein na rakhna itni nafrat unhi,
aankho mein main aanshu banke aaunga.

mana ki aap hum se door ho par,
main hi aapke milan ka swapna banke aaunga.

agar mujhe bhulne ki koshish karoge to,
sari koshish na kaam hongi,

jab main yeh duniya chhord ke jaunga,
tab aapke dil mein yaad banke aaunga. 

All Time's Favourite Posts