is raat ka ab kabhi na ant ho

intehaa ki ab hadd ho chuki ab toh koi baat ho,
is bekaraar nacheez pe bhi toh aapka nazre-e-khas ho,

chaaye hai jo badal aaj barsaat kuch aisi ho,
jism toh kya rooh tak meri barsaat mein choor aaj ho,

aapke aane se dhadkane kuch aaj apni raftaar se tez ho,
aapki mahak se hi rooh meri rubaroo bus aaj ho,

deedar mein aapke chandni raat ko bhi jalan humse aaj ho,
aapse milan ki gawahi mein chand ke saath sitaron ki baarat aaj ho,

kuch is tarah hawa chale woh bhi bechain aaj kuch ho,
kho jaye aaj jism mera jaise rooh ko meri chua tune aaj ho,

na woh lab khole na hum lab khole phir bhi baat aaj woh ho,
aaj ki raat bus aankhon se aakhon ki hi bus baat ho,

chura lu tujhko duniya se duan aaj meri bus kabool ho,
jo thame mera haath tu toh is raat ka ab kabhi na ant ho.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts