tum kaho to hum nilaam ho jaaye

ujaale apni yaado ke hamare saath rehne do,
na jaane kis gali mein zindagi ki shaam ho jaaye.

aarjoo tum bhi kuch rakho aarjoo hum bhi kuch rakhe,
na jaane khwaayishe umr bhar ki yehin tamaam ho jaaye.

hamaare dil mein rahete ho tum nas nas mein baithe ho,
ab yeh dil dil nahi raha koi “tirthdhaam” ho jaaye.

hum to ghar se nikle the, maykhaane mein jaane ko,
tumhari aankho mein dubey hai, chalo ek jaam ho jaaye.

tamanna phir machal gayi, tu rehnuma jo ban gayi,
ab parwah nahi hamein hargaam dil-e-nakaam ho jaaye.

uthaao naa julfo ka parda, tum nur-e-mohabbat ho jaanam.
kahi badnam mohabbat meri na sare-e-aam ho jaaye.

saare jahan mein dhundhoge, na milega “raaj” kahi tumko,
bharlo dil ke khajane tum kaho to nilaam ho jaaye.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts