charcha jo aam ho gaya sare jamane mein,
takleef si hoti hai kahin aane jane mein,
pehre bitha diye unpe zalim zamane ne,
muddatein lagin thi jinke pass aane mein,
riha na hone dunga dil se unki mohabbat,
kar de zamana band chahe jail-khane mein,
bas unka dil raushan rahe, meri mohabbat se,
chiraag jale na jale gareeb khane mein,
didaar-e- subah se sham tak, ek jhalak k khatir,
ek umra gujeri hai kisi ko aazmane mein,
unko bhulana mumkin nahi lagta,
main khud bhi ro pada hoon dil ko chup karane mein.

No comments:
Post a Comment