tera raaj kaise guzarega har lamha tanhai ka

dil kaise seh payega dard judaai ka,
mujhko maar dalega tera gham bewafai ka,

tere bagair tannha jeena mushkil hai,
tera raaj kaise guzarega har lamha tanhai ka,

ashkon se silsila iss kadar jurd gaya,
hadh tak nibhayenge yeh rishta ruswai ka,

raah takte rahe kayi din tak unki,
aas yun lagaya hai wafa se harjai ka,

meri arthi par sukhe do phool hi rakh dena,
khuda ko batlayenge yeh ehsaan saudai ka,

tere khair ki dua ab bhi maangte hain,
haath jab uthayega deewana teri parchhai ka.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts