kuch pal saath chale to jaana,
maine jatan kiye to lakhon,
rasta hai jaana pehchana,
saanso ko sur de jaata hai,
tera youn sapano mein aanaa.
maine jatan kiye to lakhon,
mann ne meet tumhi ko maana,
ab to haath thaam lene do,
aur kaho na.. kuch kaho na.
sau janam ka saath apna,
sau janam ka saath apna,
sans ka dhadkan se jaise,
aas ka jeevan se jaise,
kaise kate saal solah,
shyam ki jogan ke jaise,
jhoot ke parde na dhoondo,
sach kaho na.. kuch kaho na.
ek dooje ke liye hum,
haath mein kangan ke jaise,
ek dooje ke liye hum,
haath mein kangan ke jaise,
pyaas mein sawan ke jaise,
roop ko darpan ke jaise,
bhakt ko bhagwan ke jaise,
jheel si simte na baitho,
kuch kaho na.. kuch kaho na.
jaanata hoon thak gayi ho,
jaanata hoon thak gayi ho,
umr ke lambe safar se,
saanp se dashte shahar se,
aas se aur aanshuon se,
bheed ke gahare bhawanar se,
waqt phirta hai suno,
itna daro na.. kuch kaho na.
kis tarah ladati rahi ho,
kis tarah ladati rahi ho,
pyaas se parchhaiyon se,
neend se , angdaiyon se,
maut se aur zindagi se,
teej se, tanahaiyon se,
sab tapasya tord dalo,
ab saho na.. kuch kaho na.
No comments:
Post a Comment