iss pagal dil ko itna tu dard dilaya na kar

naam likh-likh kar mera mitaya na kar,
iss tarah tu apna gussa dikhaya na kar,

deewana log kahne lage hain ab mujhe,
inn aankhon mein har pal samaya na kar,

ho gaya main ruswa shehar mein tere,
meri tasveer tum sab ko dikhaya na kar,

kanp-kapane lage lab kabhi jo tere agar,
naam mera apne labon pe sazaya na kar,

aadmi hoon magar main koi farishta nahi,
yun andheron mein mujh ko bulaya na kar,

gairon ko dekhe tu kabhi jal jaye dil mera,
iss pagal dil ko itna tu dard dilaya na kar.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts