simti huyi yeh ghadiya phir se naa bikhar jaaye,
iss raat mein jee lein hum, iss raat mein maar jaaye,
ab subha naa aa paaye, aaon yeh duwa mange,
iss raat ke har pal se raatein hi ubhar jaaye,
duniya ki nigahe ab hum tak na pahunch paaye,
taaron mein basi chal kar, dharti mein utar jaaye,
haalat ke teeron se chhalni hai badan aapne,
paas aaon ke seeno ke kuch zakhm to bhar jaaye,
aagein bhi andhera hai, peechhe bhi andhera hai,
aapni hai wohi saanse, jo saath guzar jaaye,
bichhri huyi ruhon ka yeh mel suhana hai,
iss mel ka kuch ehsaan, jismon pe bhi kar jaaye,
taarsein huye jaazbon ko ab aur naa taarsao,
tum sine pe sar rakh do, aur bahon mein mere tu bhar jaaye.

No comments:
Post a Comment