mujhe kuch waqt do monika

tum mere darwaaje par dastak naa diya karo,
main apne khwaabon se ubar nahi paata,

main kho gaya hoon kisi or hi duniya mein,
tumhare laakh jagaane se uth nahi paata,

tumhare phone ke massege bhi milte hain magar,
main unke jawaab mein kuch bhi likh nahi paata,

kuch iss kadar se bard gayi hai tannhai meri,
ke mujhe mere siva kuch nazar nahi aata,

ho sake to mujhe waqt do sambhalne ka,
mujh mein kuch kam hai hausla badalne ka,

main apne aap se mil loon to tum ko dhondunga,
main ek umr se khudko hi sunn nahi paata,

meri is berukhi ko samjho monika,
mujhe kuch waqt do,
bhool paau main un kadavi baaton ko.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts