aao mil ke iss jahan ke dard ko baantein

jism ke ek kone mein dil hai hum sabke paas,
maloom nahi zinda hai ya marr gaya iss ka ehsaas,

samajhte hain hum sab khud ko darya dil,
lekin raah mein ek chota bacha gaya mujhe mil,

uss ne meri puri soch badal di,
mere ehsas ko ek nai zindagi di,

woh masoom sa bacha sadak kinare kuch dhoond raha tha,
sardi ke maare woh buri tarha thatharr raha tha,

poochne par pata chala dhoond raha tha woh kuch khaane ko,
main ne kaha kyun zehar dhoond rahe ho marr jaane ko,

tan pe kuch phate huye kapde the uss ne pehne,
haath mera thaam kar laga woh kehne,

bhaiya bohat dino se kuch khaya nahi hai,
sarr pe mere maan baap ka saaya nahi hai,

ro rahi hai bhook ke maare meri teen saal ki behna,
kuch khaaye baghair mushkil hai usska chup rehna,

yeh sunn ke mera kaleja phat gaya,
reh gaya main bas sakte mein khada,

sochne laga ho sakta hai duniya mein itna dard kaise,
yeh soch kar usske hath mein thama diye main ne kuch paise,

khushi se woh bola, kuch kaam doge to karoonga,
saari umr aapko duaayein deta rahoonga,

usski khuddaari mere dil ko choo gayi,
dard mein usski himmat mere dil mein utar gayi,

maine usse poocha pardhne kaha jaate ho,
woh bola sahab kyun ghareeb ka mazaak urdate ho,

ban-na chahta hoon doctor ek sacha,
kar sake ilaaz bin paison ke bhi acha,

kuch soch kar unn dono ko main ghar le aaya,
usski zindagi sanwaarne ka maksad dil mein banaya.

mere bharose ko uss ne pura kar dikhaya,
apni mehnat se ek accha aadmi ban ke saamne aaya,

khushi ke maare main phoola nahi samaaya,
mere pair chuwe uss ne, main ne usse gale se lagaya,

yeh wakiya mere dil pe sawaal gehra kar gaya,
sochne par majboor kiya,
kya insaan apne ehsasa mein marr gaya,

kitne bache hain jinhe koi sahara mil jaaye,
ek acha shehri aur insaan ban ke woh dikhlaye,

kitne lachaar hain log, jinki zindagi ek andhera hai,
unhein zaroorat hai hamari, hum unnka sawera hain,

mere dil mein sirf ek sawaal hai,
pardhe likhe hain hum phir bhi,
bhoole hain insaniyat ke khayaal ko,

aao mil ke iss jahan ke dard ko baantein
dard ke sookhe jungle ko pyaar se kaatein.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts