ek ajab khwaish ka ehsas dilati hai tumhari aankhein,
bhoole lamhon ko yaad dilati hai tumhari aankhein,
ek ajab sa nasha hota hai tum se nazrein milane par,
door se hi chahat ka jaam peelati hai tumhari aankhein,
ghaneri palkein dekh unhein chhune ki hasrat jagti hai,
dil ko din-raat tardpati hai yeh tumhari aankhein,
saara jahan mujhe un aakhon mein nazar aata hai,
ek mohabbat ki dastaan batati hai tumhari aankhein,
kash tum samajh pati khawaish-e-dil “raaj“ ki,
jane kyun nahi raaj-e-dil batati hai tumhari aankhein.

No comments:
Post a Comment