tere khayal teri baatein

tere khayal, teri baatein,
kati jinme humne lambi raatein,
kabhi muskuraye kabhi roye,
tere khayal, teri baatein..!

woh muskurana tumhara aur
khamosh labo se izhaar-e-mohabbat,
tere khayal, teri baatein
kati jinme humne lambi raatein...!

woh aankhon se jhalakta pyar aur
dil mein chupa hua ikraar-e-wafa tumhara,
tere khayal, teri baatein,
kati jinme humne lambi raatein..!

woh tumhari kahi-ankahi hazaaron baatein,
aur zikr-e- guftugu gairon ka,
tere khayal, teri baatein,
kati jinme humne lambi raatein..!

woh nakamyaab koshish meri tumse door jaane ki aur
phir saamne mere nazrana tumhare pyar ka,
tere khayal, teri baatein,
kati jinme humne lambi raatein..!

woh meri khamosh mohabbat pe karam aur
rehna sada mere hum-kadam tumhara,
tere khayal, teri baatein,
kati jinme humne lambi raatein..!

woh milna tumhara,
aur kehna alvida-phir milenge,
woh andaaz-e-bayan tumhare pyar ka,
tere khayal, teri baatein,
kati jinme humne lambi raatein..!! 

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts