na karo naadani humein chahne ki

tere dil mein meri tamanna bahut hai,
par dil pe humne khaye zakhm bahoot hai,

teri aankhon mein tasveer meri basi hai,
par humari aankhon mein ashkon ki lehar chupi hai,

tujh mein aag bahoot hai mohabat ki,
par hum mein garmaiysh ki kami bahut hai,

na karo naadani humein chahne ki,
ki aapke dil mein armaano ka samundar umada hua hai.

tum ho roshni ka ujaala,
par hum andhere mein gum ho chuke hain,

yeh nahin kehte humein mohabat nahin tumse,
par tujhe apnana meri kismat mein nahin hai,

agar ho sake to yeh ehsaan karna,
har janam humein apni mohabat ka nazrana adda karna,

ek tu hi tu hai
jiski tamanna mein dil yeh betaab bahoot hai.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts