kaash woh gulaab ka phool jo tumne kabhi diya tha sookhne se pehle kho gaya hota

kaash woh gulaab ka phool
jo tumne kabhi diya tha,
sookhne se pehle kho gaya hota,
to aaj achanak kitaab kholne par
mere hosh kho naa gaye hote.

kaash woh bargad ke ped
jispe humara naam likha tha,
aari se kat gaya hota,
to aaj achanak usse dekh kar
mere dil par aari naa chalti.

kaash woh rassi ka jhoola
jispe kabhi hum jhoolte the,
kisi ne utaar liya hota,
to aaj achank usse dekh kar
mera chehra uttra naa hota.

kaash woh saaree tasveerein
jisme hum saath hain,
sab jal gaye hoti
to aaj achanak usse dekh kar
mere dil jalta na hota.

paise ke peeche bhagte bhagte woh apno ko peeche chord aaye the

paise ke peeche bhagte bhagte woh
apno ko peeche chord aaye the,
mil to gaya tha unhein sab kuch
par kabhi santusht nahin ho paaye the.

kho gaye the duniya ki chamak mein
so gaye the rupayon ki khanak mein,
payi thi unhone bas joothi shaan
yeh paaakar hi samajhte the woh mahaan.

zameer aatma ko bech daala tha
saara dhan isliye kaala tha,
paise se sab kuch kharid sakte hain
aisa bacchon ke dimaag mein daala tha.

insaan hokar bhi veh insaan naa the 
humne to dekhe kabhi aise hevaan naa the,
paise se kharid lenge pyaar ko
itne bhi woh paise wale balwaan naa the.

sab kuch hokar bhi woh gareeb the
koi apne naa tha aise naseeb the,
apne bhi unse door rehte the kyonki
upar se hi bas wohi shareef the.

mohabbat ek jua hai

tanhaiyon mein hamara haal woh hua hai,
bistar ki silwaton ko tumhe samajhke chua hai,

yeh jaante hue ki tum paas nahi mere,
nazron se phir bhi bachake jaam ko chua hai,

agar miloge kayamat mein to kayamat hi aaye,
subah shaam honthon pe bas yeh dua hai,

chehra dekh ke hi mera samajh jaoge,
beete dinon mere saath kya-kya hua hai,

zinda hoon kaise main yeh jaan lena,
dhardkano mein teri aawaaz ko suna hai,

samajh paya hoon ab iss khel ko,
daaon pe hai saansein.. ki mohabbat jua hai,

aa bhi jaao ab aur kitna tardpaogi,
bagiya mein dekho naya gulaab khila hua hai,

ram se bhi maanga tujhe rahim se bhi maanga,
mila de jo tujhse bas woh hi khuda hai.

tere diye zakham bharte kahan hain

tune to koi kasar chodi na thi humein maarne mein,
par pyar karne waale aasani se marte kahan hain?

shuruaat se katal hi to karte rahe ho mera,
ab teri kaatil addaon se hum darte kahaan hain?

hogi na tujhe koi taqleef meri wajah se,
aise haseen vaade hum aaj kal karte kahan hain?

jee to karta hai tu jab tak jeeye tadap tadap kar jeeye,
par bhagwaan bhi saari dua poori karte kahan hain?

chaha to bahut tujhe ek khuwaab samajh kar bhula doon,
par sanam tere diye zakham bharte kahan hain?

kabhi miloge humse to puchunga ek hi sawaal...
yeh zameer, aatma, mohabbat aakhir bikkte kahan hain? 

humne ab yeh kissa sunana chord diya

unko bhi jab apni kasme apne vaade yaad nahin,
humne bhi unke khuwabon ko sajana chord diya.

aate hain abhi bhi ashq in aankhon mein,
farq itna hai humne inko bahana chord diya.

uthti to abhi bhi hai kasak dil mein unse milne ki,
humne par ab dil par taras khana chord diya.

woh jagah woh fizaa jahan milte the kabhi,
humne ab un thikano par jaana chord diya.

woh haal kiya hai usne mere dil ka,
humne ab shama jalana chord diya.

door rehkar bhi mujhse.. khush reh lete hain,
humne ab unpar nazar lagana chord diya.

milte to abhi bhi hain kai rehnuma,
humne par ab dil lagana chord diya.

kyon kiya usne aisa mere saath,
humne ab yeh ghuthi suljhana chord diya.

khayi hain jabse usne meri jhothi kasam,
humne tabse kasam khana chord diya.

naa aana kabhi bhool se saamne mere,
humne ab unki soorat pehchana chord diya.

dekhi nahin jaati halat unki tasveeron ki,
humne unko seene se lagana chord diya.

yeh mat soch ke unhe badnaam karenge,
humne ab unpe ilzaam lagana chord diya.

maanga tha unhein kabhi har duaaon mein,
humne ab dua mein haath jordna chord diya

naa woh pyaar naa dosti nibha paaye,
humne bhi unhein ehsaas dilaana chord diya.

bharte hi nahin hai unke diye zakham,
humne ab marham lagana chord diya.

naa jaana mere hanste huye chehre par doston,
humne ab yeh kissa sunana chord diya. 

tune jo bewafai ki kya hum samajhte nahin the

tune jo bewafai ki kya hum samajhte nahin the?
yeh aur baat thi ki hum kuch kehte nahin the,

toda mere dil ko yeh samajh mein aata hai,
chhoda kyon apne dil ko, kya hum wahan rehte nahin the?

aaj lagte hon tumhein gair kitne hi acche,
kal tak meri wafaon par kya tum marte nahin the?

naa jaane kya tujhe humme pasand nahin aaya,
tere ek ek sitam ko kya hum sehte nahin the?

aaj juda hokar bhi teri aankhein khushq hain to kya
kal tak kya mere liye inse ashq behte nahin the?

milte to humein bhi the kai rehnuma,
farq itna hai ku hum dil fenka karte nahin the.

aati hai teri yaad to hum toot ke bikharne lagte hain

jab teri yaad ke zakhm bharane lagte hain,
kisi bahane tumhein phir yaad karne lagte hain,

jab kabhi woh baatein, woh mulakate yaad aati hain,
phir hum tere khyalon mein utarne lagte hain,

apni yaadon se keh do woh ab to na aaya kare,
ab aati hai teri yaad to hum toot ke bikharne lagte hain,

kabhi tum aa jaogi meri aanshuon se pighal kar,
yeh soch kar pal-pal tera intezaar karne lagte hain,

tum aati nahi ho, apni yaadon ko bhej deti ho,
yahan hasrat-e-deedar mein hum har roz aahein bharne lagte hain.

All Time's Favourite Posts