main aur meri aavaaragi

phirate hain kab se darbadar.. ab iss nagar ab us nagar,
ek dusare ke hamsafar.. main aur meri aavaaragi,

naa aashana har rahguzar.. naa meharbaan hai ek nazar,
jaayein to ab jaayein kidhar
.. main aur meri aavaaragi, 

hum bhi kabhi aabaad the.. aise kahaan barbaad the,
be-fikr the aazaad the.. mashoor the dilshaad the,

woh chaal aisi chal gaye.. hum bujh gaye dil jal gaya,
nikale jala ke apanaa ghar
.. main aur meri aavaaragi, 

thi jis ki baatein dilnashi.. usse ajab thi guftaguu,
phir yun huaa woh kho gayi aur mujh ko zid si ho gayi,
laayenge us ko dhuund kar
.. main aur meri aavaaragi, 

yeh dil hi tha jo sah gaya.. woh baat aisi keh gaya,
kahane ko phir kya rah gaya.. ashkon ka dariya beh gaya,

jab keh kar woh dilbar gaye, unke liye hum mar gaye,
rote hain us ko raat bhar
.. main aur meri aavaaragi, 

ab ghum uthaayein kis liye.. yeh dil jalaayein kis liye?
aanshu bahaayein kis liye.. yuun jaan gawaayein kis liye?

peshaa na ho jis ka sitam.. dhundenge ab aisa sanam,
hoha kahin to kargar
.. main aur meri aavaaragi, 

aasaar hain sab khot ke.. imkaan hain sab chot ke,
ghar band hain sab kot ke.. ab khatam hai sab totake,

kismat ka sab yeh khel hai.. andher hi andher hai,
aise hue hain beasar
.. main aur meri aavaaragi, 

jab humdam-o-humraaz tha.. tab aur hi andaaz tha,
ab soz hai tab saaz tha.. ab sharm hai tab naaz tha,

ab mujh se ho to ho bhi kya.. ho saath woh to bhi kya?
ek behunar ek besabar
.. main aur meri aavaaragi.

yeh lamhein bhool kar bhi rihayi nahi dete

khamoshi hai itni ki ,
yeh nagmein sunayi nahi dete,
gujar gaya hai waqt itna ki,
yeh zakham ab dikhayi nahi dete,

nazarein dhundhti hai jinhein raat din,
ab woh khawaab mein bhi dikhayi nahi dete,
waqt ki zanzeer mein uljha hua hoon,
yeh lamhein bhool kar bhi rihayi nahi dete. 

ab kya kare?

jab dard nikal naa paaye, sukh jaaye.. to kya kare?
ashk paani ki jagah lahoon barsaaye.. to kya kare?

dhadkan aur zindagi ka kitna hota gehara naata,
dhadkan hi kaanto sa chubhta jaaye.. to kya kare?

rim-jhim barish ka paani pallavit kare har dil ko,
woh jab tufaan ka aagaz kar chaaye.. to kya kare?

andhere se dara mann chikh kar bulaata apane ko,
jo apani chaaya ko bhi dekh na paaye.. to kya kare?

ek apana ek sapana zindagi ke do rukh ban gaye,
sapne ki khushi bhi bichhadane aaye.. to kya kare?

aalam yeh aisa ghir raha, dard ko tannha sahane ka,
dar se maut bhi apane saath na le jaaye.. to kya kare?

aanshuon ko jalaakar, khush hote rahein kai dino se,
ab yeh ashk bhi mera mazaak udaaye.. to kya kare?

apni hi talaash mein ghoomate rahe kaanto mein bhi,
khood ka wajood hi prasshn uthaaye.. to kya kare?

kaun bachayiga ek kagaz ki naou ko

main lahron ke saath behta gaya,
aayegi dhup ek din yeh kahta gaya,

toofan mein jab thoda sambhal gaya,
tez baarish mein mera wajood ghul gaya,

ghul kar maine mitti se marne ki jagah mangi,
par mujhe chord kar woh lahro ke sang bhagi,

dekha maine tab akela uss dubte gaon ko
insaan mar gaye jab,
kaun bachayiga ek kagaz ki naou ko? 

dard bata kar apna hum ne logo ko hale dil sunaya hai

dard bata kar apna hum ne
logo ko hale dil sunaya hai,

kuch huye mere ghum mein shaamil
to koi muskuraya hai,

kisi ne sath diya kuch kadmon ka
to kisi ne pal mein thukraya hai,

kisi ne umr bhar ka rishta banaya
to kisi ne chand lamhon mein hi bhulaya hai,

na jaane kya khata huyi mujhse
jo mujhe maut ka farmaan sunaya hai,

aaj lagta hai khuda meharbaan ho gaya mujhse
ki mera yaar khud mujhse milne aya hai..

wafaein keh ke jafaein karna na kisi ko aaye.. to tum se sikhe

wafaein keh ke jafaein karna
na kisi ko aaye.. to tum se sikhe,
koi dil se apni pehli mohabbat
bhula na paaye.. to tum se sikhe.

saath dene ki kashmein khaa ke
saath chalne ke waade kar ke,
do chaar kadam bas chal ke koi
palatna chaahe.. to tum se sikhe.

main bekhabar tha, na jaan paaya
ki iss bholi lardki mein barra hunar hai,
ishq ke saude mein nafaa nuksaan
koi samajhna chaahe.. to tum se sikhe.

jee chahe jab tak khelo diloon se
tumhare liye to sab dil-lagi hai,
kisi ke khwaboon ko maut de kar
koi hasna chahe.. to tum se sikhe.

falsafa-e-mohabbat se anjaan ban kar
sab jaan kar bhi nadaan ban kar,
koi kisi ki hasti ko barbaad kar ke
khud basnaa chah.. to tum se sikhe.

jaane kya khwaish hai iss dil ki

jaane kya khwaish hai iss dil ki,
woh andhyion mein diya jala raha hai,

chhoti si baat nahin lagti yeh par
woh behte paani mein aag laga raha hai,

koi sunta nahin hai phir bhi
woh apna haal-e-dil suna raha hai,

saahil se lagkar tooti kashti mein baitha
woh mujhko toofanon se dara raha hai,

chord kar saath khushi ka jaate huye,
woh kehta ghum usse bula raha hai,

kaid mein tha ek panchhi abb tak,
woh khamoshi se usko urda raha hai,

zamana kya hai woh mujhko bata raha hai,
woh har ek rang uska mujhko dikha raha hai,

iss kadar bhi kya rukhsat karta hai koi?
woh maazi ko dariya mein baha raha hai. 

All Time's Favourite Posts