kismat ka likha hum badal nahi sakte

rona to hum bahut chahte hain,
par takdeer dekho.. hum ro nahi sakte,

dil ko hum majboor nahi karna chahte hain,
par dil ki baat zubaan par laa nahi sakte,

aankho se hum bahut kuch kehna chahte hain,
par humari aankhein palkon ka bojh utha nahi sakte,

chahat to hum bahut karna chahte hain,
par humari chahat koi pehchaan nahi sakte,

sab ke liye hum duaa to bahut karte hain,
par khud ke liye hum duaa kar nahi sakte,

rab ko kya manjoor hai, jaanana chahte hain,
par yeh rab ki manjoori hum jaan nahi sakte,

kismat to sabhi likhwake duniya mein aate hai,n
par kismat ka likha hum badal nahi sakte.

mujh ko mere chahane wale hi na samjh sake

mujh ko mere chahane wale hi na samjh sake,
aankhon mein chupa dard, ankahi dastaan hoon mein to,

har kisi ki koi na koi manzil jarur hoti hai,
jiski koi manzil nahi woh raasta hoon mein to.

yun roz tardap-tardap kar marne se accha hai

hum to nikle the ghar se ek dost banane ke liye,
duniya mein ek poudha pyaar ka ugane ke liye,

suna tha iss raah per lakhoon mar mitte,
hum chale the lekar tamnna ussi raah ko apnane ke liye,

zindagi veeraan thi bina kisi humsafar ke,
sang lena tha koi humsafar sath nibhane ke liye,

andheroon ke darmiyaan ujjala bahut kam milta hai,
khud ko hi mitta baitha unki mehfil ko sajane ke liye,

kaise bhool jayein unke liye raat din tardpte hain,
aayein the zami par hum to unko paane ke liye,

juthe vaadon kasmon se kabhi pyaar nibhayi nahi jati,
yeh to woh rista hai jisme sadiyan beet jati hai banane ke liye,

amir hokar mehalon mein rahne se kya fayda,
chota sa dil hi khafi tha unko dil mein basane ke liye,

maykhanoon mein jakar logo ko pitte dheka hai,
unki yeh aakhen hi kafi thi umar bhar pilane ke liye,

yun roz tardap-tardap kar marne se accha hai,
ek hi baar aaja tu raj ko jalane ke liye !!

kyun raaj ki zindagi aaj bewafa ban gayi hai

woh kehte the ki aapki zindagi humari hai,
to kyun aaj unki zindagi koi aur ban gaya hai,

woh kahte the ki aap humein jaan se bhi pyare ho,
to kyun aaj koi aur unko pyara ho gaya hai,

fiza mein bhi na khili thi aisi kali sirf mere baag mein thi,
to kyun aaj kisi aur ke baagon mein woh khil rahi hai,

raaj ne to unki mohabbat ko sajda kiya tha,
to kyo aaj wo hi mohabbat raaj se bewafa kar gayi hai,

karta hai raaj shayar alvida zindagi ko,
kyun raaj ki zindagi aaj bewafa ban gayi hai.

tanhai mein aksar beeta waqt yaad aata hai

zindagi mein aisa waqt aksar aata hai,
ki apne hi dil tord ke gehre zakham de jaate hain,

humse sab rishta tord ke waqt ke saath badal jaate hai,
kehte hain waqt har zakham bhar deta hai,

waqt har cheez mita deta hai,
aur bitaye huye haseen lamhein waqt bhula deta hai,

par yeh waqt hi to hai jo,
aksar bitey huye lamhein yaad dilata hai,

tanhai mein aksar yahi waqt yaad aata hai,

nahi bhula sakte unn yaadon ko,
kyuki waqt khud hi unki yaad dilata hai.

har thokar par yeh sochta rehta hoon

chehare par muskaan liye huye bhi main to rota rahta hoon,
khwaabo mein to unse mil shaku, isiliye mein to sota rehta hoon,

kisi ko kuch fark nahi pardta, aur fursat bhi nahi ki sune meri aawaaz,
yaaro isiliye kabhi bhi... kahi bhi kuchh bhi main bolta rehta hoon,

nasha to karta hoon aur pe ke hosh bhi kho deta hoon auro k tarah,
par sharaab ki jagah gam pe k main dolta rehta hoon,

bahut kuch tabaah ho chuka hai, meri yahi ek aadat ki wajah se,
phir bhi na jaane kyu, har baat ko main apane hi taraazu se tolta rehta hoon,

kitna pyaara tha, aur maasoom bhi tha, pata nahi kaha kho gaya,
iss duniya ke mele mein ab bhi main apane aap ko khojata raheta hoon,

lardakhadaane lage hain ab to mere kadam zindagi ka bojh uthaate uthaate,
kab yeh safar khatm hoga, har thokar par yeh sochta rehta hoon,

baatein karna aur us par amal karna, yeh do alag alag pahelu hai yaaro,
kahne ko to main bhi bahut achha aur pyaara baatein bolta rehta hoon. 

koi nahi apne iss dil ko samjha paya

zindagi ke iss safar mein khud ko maine tanha paya,
yun to sab hai pas mere, yeh dard kaisa samjh na aaya,

toot jaate hain har riste jordne se pehle hi,
aisa kyun hota hai, iss sawal ka jawaab abtak dhoond na paya,

jamm gaye sab aanshoo mere yun hi apne aap,
koi nahi apne iss dil ko samjha paya.

All Time's Favourite Posts