agar ho sake to mujko sammbalo

seene se mere dil ko nikalo,
khata isne ki hai isse maar dalo,

nahi yaad aayi woh kitne dino se,
zakhmon pe mere jara namak dalo,

piladi kisi ne kasam uski de kar,
agar ho sake to mujko sammbalo,

dil ko mere ab aur dard do na,
bas bhi karo mere khawbo khayalo,

roye karoge tum yaad mujhe kar ke,
raj ko uska deewana kehne walo.

chale gaye jo uth ke teri mehfil se hum

nazar nazar se chura kar kahan jaoge,
jahan bhi jaoge humko wahi paoge,

ilzam mere dil pe jo lagaya tune,
yahi jab tumko rulayea, to kahan jaoge,

nahi hai gum koi tumko juda ho ke,
yakeen ye kaise dil ko apne dilaoge,

daga diya hai mujko jo gayiron ke liye,
daga jab ye tumko deinge to kahan jaoge,

chale gaye jo uth ke teri mehfil se hum,
phir dastan apni tum kisko sunaoge.


tumhare bina din guzara kiye hum

sau naam lekar pukara kiye hum,
tumhare bina din guzara kiye hum,
behthi hawa pe likha naam humne,
khilte gulon se liya jaam humne..


na dekha hai tumne na jana hai tumne,
lehron ke labon pe likha naam humne,
aise hi khud ko sawara kiye hum,
tumhare bina din guzara kiye hum..

jahaan tum ho roshan, wahi hum andhera,
jahaan shaam ho tum, wahi hum sawera,
jahaan zindagi ne tumko pukara,
wahi humne dala apna basera,
dalte dino ka sahara liye hum,
tumhare bina din guzara kiye hum..

barosa na ho gar wafa pe hamari,
dekho hamari duniya mein aakar,
tumhare liye hi bagiya khili hai,
tumhare liye hai ujala yahan per,
ilzaam phirbi utaaye sabhi hum,
tumhare bina din guzara kiye hum..

sapne tumhare palkon main bandhe,
aashu kaha se nikale bata do,
anshoon mein baste ho tum hi hamari,
saasein bichaye kaise bata do,
veeraniyon main basera kiye hum,
tumhare bina din guzara kiye hum..

tere naam pe mar jaye

zindagi iss tarah beet jayegi kabhi soch na tha,
tu iss tarah se judaa hogi kabhi socha na tha,
dil ki tamana ab kuch bhi baki na rahi,
kya mangu ki kuch bhi ab aas na rahi,

dua hai ki bas jo bhi zindagi mile
woh pyaar se guzaar jaye,
tere naam se jeete hai,
tere naam pe mar jaye.

holle se mushkarayi thi

jab woh paas mere aayi thi,
holle se mushkarayi thi,

ek baar dekh meri taraf,

phir nazrein jhukayi thi,

haay kya khub usne dil mein,

chhurdiyan khannkayi thi,

woh chaand sa chehara, 

woh neeli aankhein,
saari duniya ki kaynaat,

uss mein sammayi thi,

socha na tha maine,

kabhi aisa bhi hoga,
zalim ek hi pal mein,

dil mera churayi thi,

jab woh paas mere aayi thi,
holle se haay,

kya khoob mushkarayi thi,

gujarish hai khuda se,

woh yun hi mushkuraate rahe,
roz roz sapno me hi sahi,
aake dil mera churaati rahe.

meri jaan kabhi meri hua karti thi

mere jazbat, mere dil ko jo chua karti thi,
meri sathi, koi meri humdum hua karti thi,

kahi door chali gayi hai woh,
meri jo humkadam kabhi hua karti thi,

ab to raste mein milne par bhi raasta badal deti hai,
woh meri dilbar, meri jaan kabhi meri hua karti thi,

jalne lagti hai ab to yeh chandni bhi,
yeh chand kis kadar madham kabhi hua karta thi.

ujrda ujrda hai yeh chaman ab to,
yahaan baharon ka mausam kabhi hua karti thi.

kaash ki kabhi aisa ho jaye

kaash ki kabhi aisa ho jaye,
aankhein band karu saamne tu aa jaaye,

pas aakar chupke se mere,
kanon mein tu kuch keh jaaye,

khil uthoon sunkar teri baatein,
aisa sapna tu mujhe dikhaaye,


bitha ke palkon ke saaye,
tujhe main saari duniya ghumaun,

tan mann ki meri baatein,
tu khud mujhe samjhaaye,


rahu harpal tere hi pehlu mein,
teri baahein mere gale ka haar ho jaaye,


bharu teri maang sitaron se yun,
mujhe tu apna dulha bulaaye,


kaash ki kabhi aisa ho jaaye,
aankhein band karu saamne tu aa jaaye.

All Time's Favourite Posts