kahani us insaan ki jo sabka tha

ye wo kahani hai jo, kabhi naa khatam hone ke liye shuru huyi,
ye wo dastaan hai jo, darde ehsaas ki shihaayi se likhi gayi,

ye wo hakikat hain jo, kabhi hakikat ban naa payi,
ye wo raj ka dil hai jo, sunkar bhi ansuni kar di gayi,

kahani us insaan ki jo sabka tha,
kahani us vyakti ki jiska koi sath nahi,

kahani uski, jiski koi kahani nahi,
kahani uski, jiski koi bachi nishani nahi,

pyaar karna jiska imman tha,
gayiro ke liye jo har waqt pareshan tha,
shikan mathe par dusro ki jiski hoti thi,
zindagi dujo ke liye jisne kho di thi,

hakikat jo kabhi ban naa paya,
khilne se pahle hi murjhaya,
jiya jo sada auro ke liye,
zarurat pardi to mar naa paya,

khuda ke pas jo dua bankar ke jata tha,
gham ke badle jo khushiyan le ata tha,

batta jahan me itna ki kuch pas naa bacha,
dard, gam, tanhai ke siva kuch khas naa bacha,

gayiro ke liye khushiyon ki jo karta tha dua,
khuda bhi har waqt jiski sunta tha iltiza,
wafa karne ki jisko har waqt mili saza,
kahani us insaan ki jab nam thi har fizza,

tanhaiyon se aksar jo baatein kiya karta tha,
khushiyon ko din jo gamo ko raate diya karta tha,
bayigano ko jo ek, naya rishta diya karta tha,
hassti aankho se kabhi-kabhi, jo barsate kiya karta tha,

tanhaiyan jiski baahon me angdaayi liya karti thi,
ghamo se jiske liye, khushiyan lardayi kiya karti thi,
wo kesa tha, kesa naa tha, wo jaisa bhi tha kya kahein,
har dil me uske naam ki ek yaad joya karti thi...

daastan ek kore kaagaz ki

likhana jo chaha maine aaj,
woh daastan kuch meri hai,
sochata hu kaise likhu,
daastan ek kore kaagaz ki...

jeene ka hunnar naa aaya hai mujhko,
marne ke fann se hoon main bekhabar,
tanha si meri zindagi jaise,
daastan ek kore kaagaz ki...

na koi kahani likhi gayi isspe,
na hi koi rang paaya hai isko,
kuch panno ki bhi nahi hai yeh,
daastan ek kore kaagaz ki...

kat rahi hai berang aur sunni,
zindagi iss kore kagaz ki,
koi na isko samajh paaya hai,
daastan ek kore kaagaz ki...

jab main duniya se door chala jaaunga

jab main duniya se door chala jaaunga,
kabhi laut ker nahi aaunga....

hansste huwe lamnho ko, jab yaad karogi tum
har pal tum rowogi, fariyaad karogi tum

ek dard jo uthega, in beeti lammho ka
anshoo bhi chalkenge, mujhe yaad karogi tum

tere ishq churane ko, koi agge barhega jab
dil dhak se dhardkega, mujhe yaad karogi tum

sir rakh kar takiye me, chup chaap se rowogi
palkein bhi bheegayengi, mujhe yaad karogi tum

in tannha raato me, koi haath jo thammega
tum tehar ke sochogi, mujhe yaad karogi tum
nahin bhool sakogi kabhi, mujhe yaad rakhogi tum
jab main duniya se door chala jaaunga,
kabhi laut ker nahi aaunga....

apne hi aashkon me beh gaya hoon

yun to apne hi aashkon me beh gaya hoon,
phir bhi yaro tanha – tanha sa reh gaya hoon,

ban gaya mohtazz dil unki nazar ka,
main fakeer -e- yaar bann ke reh gaya hoon,

zindagi ki shakal me hoon ek bejaan,
toota dil hai, jaan fanah, main lut gaya hoon,

hona to wahi hai jo wo chahegi,
main to bus kirdar bann ke reh gaya hoon,

zakhami to dono hue baraber the,
wo chale gaye aur main tardapta reh gaya hoon,

roo pardata hoon bus jara si baat per,
shayad main thorda sa naadaan reh gaya hoon,

ishq teri dooriyaa … kya kehna!!
pas aake bhi tauba kar ke reh gaya hoon,

ek daur tha main bhi barda khuddar tha,
per kya karun majboor bannke reh gaya hoon,

ye haal hai mera naakam ho ker ishq me,
jaise koi maat kha ker reh gaya hoon...!!



hara bhi to apne dil se,
apne hi pyar me fass ker reh gaya hoon .

lab pe zakham bhi to hassi maloom hoti hai

yeh kissne ker diya sab doston se mujh ko begaana,
mujhe ab dosti bhi dushmani maloom hoti hai,
main roona apna rota hoon to wo hass hass ke sunte hain,
unhein dil ki lagi ek dillagi maloom hoti hai,
agar himmat kare insaan to phir kya nahi bas me,
yeh hai kam himmati jo bebassi maloom hoti hai,
na jaaye meri iss bebassi per dekhne waale,
ki lab pe zakham bhi to hassi maloom hoti hai..

tere leye khud ko baar baar jalana pardta hai

duniya ki nazro se gumme mahobbat chupana pardta hai,
mehfil me aanshoo naa nikal parde issleye muskuran pardta hai,

laakh samjhaya maine iss dil ko per kya karun,
jab bhi tu pukare mujhe aanaa pardta hai,

tumne to tord diya mohabbat ka wadaa,
badnaam naa ho jaaoo tum kahin,
isleye wo wada bhi hum hi ko nibhana pardta hai,

kya karu tu hai hi aisi ki,
tere leye khud ko baar baar  jalana pardta hai..

tere leye khud ko baar baar jalana pardta hai

duniya ki nazro se gumme mahobbat chupana pardta hai,
mehfil me aanshoo naa nikal parde issleye muskuran pardta hai,

laakh samjhaya maine iss dil ko per kya karun,
jab bhi tu pukare mujhe aanaa pardta hai,

tumne to tord diya mohabbat ka wadaa,
badnaam naa ho jaaoo tum kahin,
isleye wo wada bhi hum hi ko nibhana pardta hai,

kya karu tu hai hi aisi ki,
tere leye khud ko baar baar  jalana pardta hai..

All Time's Favourite Posts