tere bagair kaise jiye jaa rahe hain hum

dil humse poochta hai kayi baar aye sanam, 
tere bagair kaise jiye jaa rahe hain hum?

hasrat ko humne roka, dil ko bada.. manaya, 
armaan ruk na paye, tera pyaar kheech laya, 

tere dil mein jaan banke rahenge teri kasam, 
tumse bichad ke hum yeh din kis tarah guzaare?

teri yaad ke bharose, tere pyaar ke sahare, 
kuch bhi kahe zamana, chahat na hogi kam,

hum bhi yeh soch kar hairaan hain sanam, 
tere bagair kaise jiye ja rahe hain hum? 

kab tak hum yuhi judai ka dard sahenge

kab tak rahenge chup yuhi, kuch bhi na kahenge,
yuhi khamosh baith ek duje ko dekha karenge.

jhil-mil raat bhi sitaron ke aagosh mein chali,
kab tak hum yuhi judai ka dard sahenge.

jo baat tere dil mein hai wahi iss dil mein dabi hai,
ab kab talak tannha hum yuhi aahein bharenge.

ikkrar teri aankhon mein hai izhar kyu nahi hota,
kab tak yuhi hum iss zalim jamane se darenge.

ab yeh mel bhi kaisa jo chand labzon ke nazar ho,
ab to nigahon mein hi har baat karenge.

tu bhi na kuch kehna mujhe, hum bhi na kahenge,
tere in kap-kapate lab ki hi bhasha hum sunenge.

gar izhar e muhabbat itna mushkil hai mere humdum,
bina izhar hi hum tujhe mohabbat bhi karenge.

kaash iss dil ki aawaz untak pahuch jaaye

kaash dil ki aawaz ka itna asar ho jaata,
kaash dil ki aawaz un tak pahuch jaata,

saari umar zindagi se door rahe,
teri khushi ke liye tujse door rahe,

aab tujhe hi meri yaad na aayi,
teri yaad mein nikal pare mere aanshu,
kitne zakhm sahe hain humne tere pyaar mein,

talash karo yeh mil jaaye koi mera jaisa,
zindagi ka har rukh badal denge hawa jaisa,
magar humari tarah tumhein kaun chahega?

dil ko hai tujhse na milne ka yakin,
tujhse milne ki dua apni jagah,
yeh kudha mujhe apne pyaar se mila de,
bas tujhe paane ki umeed liya karte hain.

jaane kaun

muunh ki baatein sune har koi,
dil kaa dard na jaane kaun,

aawaazon ke baazaaron mein,
khamoshi pehachaane kaun.

sadiyon sadiyon wahi tamaasha,
rasta da rasta lambi khaayi,

lekin jab hum mil jaate the,
kho jaata hai jaane kaun.

woh mera aainaa thi,
main uski parchhaai tha,

mere hi ghar mein rahti hai,
mujh jaisa hi jaane kaun.

kirat kirat halka saa suraj,
palak palak khulti nindein,

yun hi dil pighal raha hai,
zarraa-zarraa jaane kaun.

karke wada tera muker jana

kitna mushkil hai khud ko samjhana
ya apne aap ko samajh pana.

hadse ki tarah hi lagta hai
tootna dil ka ya fisal jana.

koi hairat nahi dastoor hai yeh
waqt ke sath mein badal jana.

yehi hai apne raaj ka gawah
dekh mujhko tera sambhal jana.

bayan karti hai teri bebashi ko
badalke karwatein simat jaana.

barda afsosh paida karta hai
jubaan se baat ka nikal jana.

monika.. kaise bhool sakta hoon
karke wada tera muker jana.

yon humein akela na kijiye

iss dil ka yoon imtihaan na lijiye,
humein yoon marne ka farmaan na dijiye,

iss zindagi ne bahot aajmaya hai,
yon humein akela na kijiye,

mushkilon se sambhala hai ye dil,
iske jeene ka sahara mat lijiye

yeh zeher pina barda aasaan hoga

aapse yoon door jana aasaan na hoga,
tumse nazare churana aasaan na hoga,

jo saath gujare the woh lamhe,
unka ehsaas kabhi kam na hoga,

inn aankhon mein se behti 
yaadon ka sailaab,
rok pana aasaan na hoga,

umar bhar saath chalne ka waada karke,
yoon ajnabi ban jana aasaan na hoga,

aye pyar teri khushi ke liye,
hass kar maut ko gale lagana aasaan na hoga,

par jo hai mujhe jaan se bhi pyara,
uske liye yeh zeher pina barda aasaan hoga.

All Time's Favourite Posts