itna intezaar karana acha nahi hota hai

tere liye aye dost main kya tha kya ho gaya,
tere waade ko pura karne ko main sab bhool gaya,

tune kaha tha hansaana sabko aane tak mere,
sab ko hansate hansaate ab to main ro chala.

tere liye kabhi main bawarchi bana yaha par,
tere liye kabhi gadha bhi banna pada,

tere liye kabhi sab ne banaya pagal mujhe,
pagal ab banke main to pagal khane chala,

tere kahne pe sher bhi chupaya main ne,
ab sab ne milkar mujhe bakra hai banaya,

tu na kahta ki sab ko hansa humesha ke liye,
to main aaj na rota sab ki khushi ke liye,

jaldi se aa ki dil aur nahi sahta yeh sab kuch,
ab to main purana raaj tera banna chahta hoon,

chal nahi bhi aaya to main aisa hi rahuga,
teri khtir jo bhi yeh banaye banta rahunga,

par dil mein ek aas hai tere aane ki mujhe,
kab se dil bekraar hai yeh batane ko tujhe,

itna intezaar karana acha nahi hota hai,
tu jaanta hai dost tera kitna rota hai.

hum na kahenge apni mohabbat ka raaz unse

hum na kahenge apni mohabbat ka raaz unse,
chhupa lenge har mausam khyal ki baat unse,

kahte hain ishq aankho se baya hota hai,
kaise puchhenge yeh sawalat unse,

kyu hum apne ishq ka izhaar kare unse,
bahon mein lekar samjhenge har baat unse,

bas woh honge aur hum, na hoga koi darmiya,
mitenge sab faasale, jab milenge hathon mein hath unse,

daman mein hamare na hoga ghamo ka saya,
jab honge sare sikwe gile door unse,

dooriya na rahengi, do jismon ke darmiya,
jab mahkegi khushi ki sougat unse,

hum na kahenge apni mohabbat ka raaz unse,
chhupa lenge har mausam khyal ki baat unse.

dheere dheere umar kat jaati hai

dheere dheere umar kat jaati hai,
jeewan yaadon ki pushtak ban jaati hai,

kabhi kisi ki yaad bahut tadpaati hai,
aur kabhi yaadon ke sahare zindagi kat jaati hai. 

yeh ghadi hai shayed izhaar ki

kuch khumaar yahan par chhaya hai,
jo nazar yahan par aaya hai.

sandesh se baatein kerne ka
andaaz naya ek aaya hai.

yahan khili khili kisi ki jaan hai,
wahan mand mand muskaan hai,

yeh ghadi hai shayed izhaar ki,
ya saajish hai yeh pyaar ki?  

bas aisi koi aa jaaye

yun khilna chahta hoon gulshan ki tarah main,
ki yeh zindagi bahaar ban jaaye,

dekhun usse to palke hi na kholun phir main,
bas aisi koi aa jaaye.

haan dekhunga bas usko hi main,
ki jab tak woh dil mein na bas jaaye,

haan rahe woh dil mein hardum mere,
bas aisi koi aa jaaye.

pehechaana jaaye usse naam se mere,
aur naam uska pehechaan meri ban jaaye,

bas khoyi rahe woh hurdum mujh mein,
bas aisi koi aa jaaye.

ek choti si love story

na yeh chemistry hoti, na main student hota,
na yeh lab hoti na yeh accident hota.

abhi practical mein aaye nazar ek larki,
test tube jaisi sundar thi naak uski,

baton mein uski glucose ki mithas thi,
sanson mein ester ki khushbu bhi sath thi,

aankhon se jhalakta tha kuch iss taranh ka pyaar,
bin piye hi ho jata tha alcohol ka khumar,

benzene sa hota tha uski presence ka ehsas,
andhere mein hota tha radium ka abhas

nazrein mileen, reaction hua,
kuch iss taranh love ka production hua,

lagne lage us ke ghar ke chakkar aise,
nucleus ke charon taraf electron hon jaise,

us din hamare test ka confirmation hua,
jab uske daddy se humara introduction hua,

sun kar hamari baat woh aise uchal parde,
ignesium tube mein jaise sodium bharak uthe,

woh bole, hosh mein aao, pehchano apni aukkat,
iron mil nahin sakta kabhi gold ke sath.

yeh sun kar tutta humare armanon bhara beaker,
aur hum chup rahe benzaldehyde ka karwa ghoont pee kar,

ab us ki yaadon ke siwa humara kam chalta na tha,
aur lab mein humare dil ke siva kuch aur jalta na tha.

ek dost ka rishta

ek dost ka rishta hi hota hai saccha,
na woh do-mukhi, na woh swarthy, 

na usse kuch paane ki chaah, 
na usse kuch dene ki takleef,

bas woh to hota hai ek
niswarth chhalakta hua rishta.

jis-se tum kuch chhupate nahi,
jiska marham bina mange hi pa lete ho kabhi.

jiska saath hi hota hai har mord par sambal,
jiske saath tum baant lete ho kai baatein unkahi. 

aye dost woh ek dost hi to hai saccha iss jahan mein,
pati-patni, bhai-behan, bacche aur

baki sab rishte jo aaj swarth se hai bhare,
kuch na kuch umeed humse liye huye. 

koi nahi samajhta humari bekrariya,
har koi hai saath mein bas khushiyan hi baatta.

ek bas dost hi hai jo har sukh-dukh mein apne saath hai,
varna iss duniya mein to aye-dost jeena hi bekar hai.

All Time's Favourite Posts