ek choti si love story

na yeh chemistry hoti, na main student hota,
na yeh lab hoti na yeh accident hota.

abhi practical mein aaye nazar ek larki,
test tube jaisi sundar thi naak uski,

baton mein uski glucose ki mithas thi,
sanson mein ester ki khushbu bhi sath thi,

aankhon se jhalakta tha kuch iss taranh ka pyaar,
bin piye hi ho jata tha alcohol ka khumar,

benzene sa hota tha uski presence ka ehsas,
andhere mein hota tha radium ka abhas

nazrein mileen, reaction hua,
kuch iss taranh love ka production hua,

lagne lage us ke ghar ke chakkar aise,
nucleus ke charon taraf electron hon jaise,

us din hamare test ka confirmation hua,
jab uske daddy se humara introduction hua,

sun kar hamari baat woh aise uchal parde,
ignesium tube mein jaise sodium bharak uthe,

woh bole, hosh mein aao, pehchano apni aukkat,
iron mil nahin sakta kabhi gold ke sath.

yeh sun kar tutta humare armanon bhara beaker,
aur hum chup rahe benzaldehyde ka karwa ghoont pee kar,

ab us ki yaadon ke siwa humara kam chalta na tha,
aur lab mein humare dil ke siva kuch aur jalta na tha.

No comments:

Post a Comment

All Time's Favourite Posts